Qibla neeem kay shajar kay saaey talay bethaay Hakeem oool jallool yaani biraatherm Shalwaar huzzoor!
Iss say pehlay kay main mozoou ki taraf guftugu ka rukh pheroon, mujhay “saaey talay” per aik milli naghma yaad ayaaa:
gungunaatay huaay arz kia hay:
~Dehnchu Dehnchu~ (Galla saaf karnay kee sureelie awaaz)
*Iss perchamm kay saay talay hum aik hain
hum aik hain…
toonnn tarrooonn tarroon toon tarrronnnn
Iss perchamm kay saay talay hum aik hain
hum aik hain…
toonn tarrooon tarroonnn toon tarrroonnnn
*
haan tau Ala Hazrat “izzat” kay paasbaan bhai Shalwaar Mudda Zilla hu! Shaadi ki aqsaam kay zimn main app nay banday ko intehaaie shash-o-panj main mubtilla kar kay qabz kay saath saath Nisyaan, Khifaqaan, aur deegar Qalbi bemmarioun main mubtalaa karnay main koie kasar nahin chorri… Laikin yeh Banda-e-farmaan bardaar apni si pooree koshish karay ga aur iss baat main koi kasar nahin utttha rakhay gaa kay muaamlay kee tehh tak pohnchnay main koie Daqeeqa-e-faro-guzaasht naa ho…
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
Tau aey Khwaaja Himmar parasst!! Meray jiger kay ajeeb-o-ghareeb tukkrray!Qissa iss Gadhay ka yeh hay kay zaman-o-makkan per aik tairaana nazar daalie aur yeh haqeeqat na sirf tasht az baam huie bulkay Azhar Minush shams bhee huie kay yeh Ahmaq, namaaqool, nahanjaar, paaji, Gadha kissi bhee shaadi ki qism per mukammal taur per kissi bhee zawaiyeh aur nukta-e-nazr say fit nahin betthtaa
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/teary.gif
…
Waisay tairaana nazar per aik sher yaad ayaa:
Aey Tair-e-Lahorie, uss rizq say mout achie
Jiss rizq say aataa ho pervaaz main sirf khota hee
behr haal, baat yeh hay aey Hakeem-e-daanaa kay woh Shaadi kay jiss main do (2) bachay khushaal gharaanaa ki mad aur shiq porrie hoti hay woh iss gadhay kay bus kee baat nahin kioun kay yeh bus aik gadha hay… aur doosrie qisam shaada iss liyeh “Not Applicable” hay kay gadha bay Olaad hay
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/frown.gif
tau Zillay Shalwaarie! baraa-e-mehr baanie jaldie say shaadi ki koie teesri qism eeejaad kijeyeh yaa dhoondiyeh kiounkay ab tau pet main marorrr bhee utthnay laggie hay
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/crying.gif
Muaamla haath say niklata dikhaaie parrta hay… kuch kijyeh maray colorful Nicker walay tabeeb sahib aur kuch “khameera jaat,” “majoonaat,” neez kuch “mehloolaat” hee tajweez-o-inayat kijeyhhh…
ain nawazish ho geee!
faqat!
Dushmanon ki bad duaaon say martaa hua aik intenhaaie shareef aur maasoom sa aur bahut hee cute Gadha!
ah! sigh
Ab tau ghabraa kay kehtay hain kay bathroom jaaien gay
Wahan bhee chain naa payaa tau kidher jaaeingay???
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/teary3.gif
[This message has been edited by Gadha (edited May 13, 2002).]