[QUOTE]
Originally posted by Gadha:
** waisay Aap ki aqal-e-aziz kee shar passandaana resha dawaanioun per aap ko daad dainay ka aur apna sir peetnay kaa shadeed dil chaahata hay…
kaho to aik poori jootiyon ki almari app kae nazar ker doon takae sara gubar nikal layen app, apnae app ko mar mar ker
**Lo bataao! yaani yeh ab bhee samajhtee hain kay Gadhay, Gadhay nahin hotay, chaalbaz hotay hain…
Aap kia hongee agar raaqim khud hee chaalbaz hay tau???
or gadhay kuch gaanay bhi roz gaaya karro achay achay say like “ZOR LAGA KAY HAYYAAAAAAAAAAAAAAA” or “AATEEE NAHEEEEEEEN”…and “KUCH KUCH HOTA HAIIIIIIIIIIIIIIIIIII”
ganon ka asar insaan ki rooh kay saath hota hai , or rooh ka asar insaan kay jisam kay saah, or jisam ka taluq aap kay us beemari kay saatho hota hai…tay Aho
so show some motivation gaana gayooo cheekho pukaroooo ZOR LAGA KAY HAYAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAA
Masla-e-Qabz ki chand wajoohat(meri 5 saal research ki mehnat ki aik jhillak):
1)khaanay main ziyada FIBER na hona
2)ziyada PAANI na peena
3)ziyada Ghaas khaa lena
3)excersise bohat kam karna
4)Duwayon par ho?? like antispasmodics??? narotica...ya kissi or kisam ka NASHA???
5)kissi kuwaari GADHI kay saath CHOYI-MOYI karna
6)yaa "downloading" position main hona ; pregnent (which u r not)
7)BAASI-GHAAS khaana, or kha kar SIDE POSITION walay angle par LAIT jaana
patayo ye sab nishaaniaan tumahray jissam mai kaisee hain??? any problems?????
jo sab say common waja hai QABZ ki wo hoti hai BURRI DIET or bohat kam EXCERSIZE karna...
patayo in may say sab cheezain sahi hai???
[This message has been edited by Arnold Shalwaar Nicker (edited February 04, 2002).]
pata nahin mundraja baala misra main nay kioun aur kiss wajah-e-takhmeeah say safha-e-qirtaas per raqam karnay ki jurrat kee hay????... Laikin ab jub kehh hee diaa hay tau app nay suun bhee lia hay....
*
Maray aziz!
kia hay tu Tariq Aziz?
tu kharra door hay
woh ibn-e-batoota ka bhoot hay
ayaa hoon barri door say
ghistaa huaa joota
main ibn-e-batoota
main ibn-e-batoota
*
Zamana-e-haazir kay maray ham asr Hakeem Boo Ali Ibn-e-Seena yaani Nicker tau hay paass per shalwaar bhee lay laina!
Aapp ka shora-e-afaaq nuskha-e-keemia az silsila-e-seena ba seena intehaiee kaargar saabit huaa.. aur iss charind-e-bay zubbaan kee akloti zubaan apnay khaliq-e-haqeeqi say milnay ki tammana dil may lay ker reh gaiee kiounkay rooh qafs-e-unsari say perwaaz na kar sakki... (waaziah rahay kay Gadha intehaaie safaie passand makhlooq hay kiounkay yeh apni issi wahid zubaan say apni naak kay mehz do (2) nathnoun main saffaie kaa kaam waqtan fa waqtan ba khoobee sir anjaam deta rehta hay).
laikin ab haalat yeh hay kay:
*Qabz tau jaata rahaa per
Qabz ki shikayat naa gaiee
*
Iss qabz ki itni aadat si parr gayyie thee kay ab iss kay baghair khud ko bay hud tanhaa aur akaila aur tabiat ko apni gham naak-o-alam naak-o-tarab naak sa mehsos karta hoon....
Umeed wasiq hay kay jald hee moujooda halat kee aadat bhee ba assaani parr jaannay kay qavi imkaan hay...
Ab masa'la yeh darpaish hay Hakeem-e-Ana'am kay shoomi-e-qismat say iss nazr-e-bad laggay Gadhay ko *Jullab lag chukay hain...*
aur ab sirf itna thorra hee likh paayaa hoon kay zarrorat kay teht muamla-e-jood-o-jafa ko munqata kiay baghair koie chaara dikhaaie nahin detaaa....
tau phir ijaazat dijiyeh....
Logoun ko hansaanay kay gham main tarrapta hua kaaienaat ka wahid Gadha
Hum bhee moonh main *zubaan rakhtay hain
kaash poocho kay mudd'da'aa kia hay?
*
~~~~~ ~~~~~
Zara yeh to bataao
Tum ne mujh say ziada zindagi ki
Baharain daikhee hain
Dunya ke nashaib-o-faraz say bakhoobi waqif ho
Yeh dunya itni zalim
Khudgharz aur behiss kyon hai?
Jis main tum bhi shamil ho :~( ~~~~~ ~~~~~