Destinee
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hoonh.gif
Late NFAK
mangte hai.n karam unka sadaa maang rahe hai.n
din raat Madeene ki du’aa maang rahe hai
husn pe jinke jag matwaala naam hai jinka kamliwaala
samajh me.n rakhte hai mahshar me.n moodkhaane ki hum
naaz jis baat pe hai, wo baat yahi hai ki hum
unke mangte hai.n , unke mangte hai.n
ham hai ghulam, unki ghulaami pe naaz hai
do dakhne hamko dekhke maalik se ye kahaa “E maalik hame choD”
mangte hai iske mangte hai
nigahe.n karam se ham ko na dekh
aiy dekhnewaalo.n hame has has ke na dekho, kyaa pata nahee.n ke hum
mangte khaali haath haath na laute
kitni nilii khairaat na poocho
unka karam phir unka karam hai
unka karam ki baat na poocho
kal maang rahe hai.n na salaa maang rahe hai.n
jaisa hai Ghani vaisi ataa maang rahe hai.n
wo to aisa hai ghani
khud …
zaraa unka duniyaa me.n rahnaa to dekho
wo patthar ka takiya aur khaali kamariya
wo to aisa hain ghani
zamane ko deto magar ghar me.n faq hai
khudai ka malik ghar baiThe khaali
koi mera mahboob sa duniya me.n nahee.n hai
baiThaa hai jaTaa-id magar arsh-nasheen hai
har naimat-e-konain hai daaman me.n hamaare
ham sadkaa-e-mahboob-e-khuda maang rahe hai.n
yoo.n khogaye sarkaar ke altaaf-o-karam me.n
ye bhee to nahee.n hosh ke kyaa maang rahe hai
aiy dard-e-mohabbat abhi kuch aur fazoo ho
deewaane taDapne ki adaa maang rahe hai
sarkaar ka sadkaa
meri sarkaar ka sadkaa
ye zameen ye aasmaan ye me.n kalaam ka
dono jahaan ka noor mohammed ke roop me.n
quraan ka sha’oor mohammed ke roop me.n
allah ka zuhoor mohammed ke roop me.n
sach hai ke ye tagaiyur-e-duniya khuda se hai
lekin ka-e-nath faqat mustafa se hai
mohtaaj-o-ghani, shah-o-gada maang rahe hain
ab laaj tere haath hai, Aiy rahmat-e-konain
Gam ke maare hai, be-sahaare hai
kuch bhi hai, aaka ham tumaare hai
ab laaj tere haath hai e rahmat-e-konain
madfan ko Madeene me.n jagah maang rahe hai.n
asraar karam ke faqat un par hi khule hai
ko’i Daata bane, ko’i Khwaaja bane
ko’i Vos bane, ko’i Dehli me jaake Nizaami bane
ko’i Ganj-e-Shakar ba-khuda ho gaya
asraar karam ke faqat un par hi khule hai
jo teri waseele se du’aa maang rahe hai
daavaan -e -amal me.n koi dekhi nahee.n khaalid
basnaate mohammed ka silaa maang rahe hai
*“na maiN momin vich masiitaaN, na maiN muusaa, na fir’aun!”
*
[This message has been edited by Ali_R (edited October 11, 2001).]