ANAA President Amna buttar Attacked by Police

Re: ANAA President Amna buttar Attacked by Police

*Jazak Allah Khair Dawa i dil. *

Hamain aap ka naam bohat pasand aya dawa i dil is say pata chalta hai aap mazhabi nature kay/ki hain. Dawa to dil sirf suchchai ya Allah ka hi kar sakta hai. Aap ko naam jub bhi daikhti thi post main bohat achcha lugta tha.

Shukria aap ka bohat bar'a aap nain unjanay main hamari bohat bar'i madad kar di hai wo yay kay chating, email aur posting on forum pay kay mutaalliq hamaray zahan main kai sawal thay jo samajh say bahar thay undaza laganay main itnay ghalat naheen lug rahay thay aur hum wo kaam kar rahay thay per shuk tha.

Aap kay website kay link pay hamain apnay sawal ka mukummal jawab mil gaya.

Kai saal say is maamlay main parayshan thay.

Wo yay tha kay kia female ko male ya female (jo sn say pata naheen chalta, jhoot bhi boltay hain yani lar'ka lar'ki bun kar aur lar'ki lar'ka bun kar chat ya posting kartain hain ya kai aur wajoohat hoti hain security reason kay tor par asliaat naheen batani hoti hai) bahar haal ko bhi masla ho chating ya emailing ya forum posting karna chahyay ya naheen.

Main kisi say bhi chating emailing aur forum pay baat karti thi ub tuk is liaay kay mera muaaqaf ya soch tha kay jub tuk hum khud koi ghalat bat na karain, payparda hum inkay samnay naheen aa saktay web pay, awaz naheen suntay to phir kar saktain hain email chating or talking by post.

Bohat achcha jawab mil gaya jis nain hamaray dil ko itminaan bakhsha aur ankhon aur dimagh ko roshnai.

Yay hi wajah hai kay hamaray dil main hamaysha yay baat khatakti thi hum chahtay thay aik aisa website kholay jo sirf females kay liaay ho Jazak Allah hum kamyab ho gain hain aur hum nain apni aik website khol li hai ub hum chhatain hain achchi balkay bahtareen females ko dawat dain aur chalain kal hum nain forum pay apna web address post kar dia tha to hamain warning mil gai.