Aik dhaga

Re: Aik dhaga

ayeen sare urdu sirf pehle h epost me likhe the kiya!! baad mai KHATTAM ho gae :hoonh:

Re: Aik dhaga

jitni ati thi bole di :p

Re: Aik dhaga

kabhi pakistan mey school jany ka moqa nhai mila is liya urdu likh nahi ati, haan al bata pherna kud seehka hey :)

Re: Aik dhaga

Agar aap tafseelan har jawab parhain tau aap ko andaza hoga keh is dhaagay mein sirf Urdu hi mein baat cheet ho rahi hai.

Ghalti ho gayi…:slight_smile:

Main nay kaha thha keh a Agar aap ko Farsi aati hai to aap us mein baat kiyon naheen kartay?

Agar aap Urdu likhna seekhnay kay kuwahishmand hain tau mujhhay bataiye. Main aap ki madad kar sakti hoon. Aur aap kay liye yeh muft hoga, JL kay liye naheen.

Re: Aik dhaga

yahaaN tau **lafaz lafaz kaa tulfaz ghalt **ho rahaa hai :stuck_out_tongue:

waisaY, yeh asli pari kaa dhaga hai naa :cool: ?

Re: Aik dhaga

wat'z tulfaz?

Re: Aik dhaga

ghalt bol gaYe :bailan:

Re: Aik dhaga

bolnay mai hard nahi hai:snooty: lakin iss ka matlab kia hai?

Re: Aik dhaga

Talafuz hota hai…:bailan:

Ji, Asli aur Pari kehnay ka shukriya…:blush:

Re: Aik dhaga

pehlaY apnaa Talaffuz theek karo phir khud lag pataa jaaye gaa… **Ghalat **ko **ghalt **bolna choR dau aur **lafz **kee izzat karo :flower1:

Re: Aik dhaga

ustaani saahiba, ghalati ho gaYee…

aaj kal kaY zamaanay maiN poori duniyaa maiN sirf :mash: aik aap hee tau bachi haiN, Allama Iqbal kee waaris :silly:

Re: Aik dhaga

Khud Ghalat ko Ghalt keh rahain hain…:snooty:

Re: Aik dhaga

sirf aap :alhamd: ghalat ko Saheeh keh sakti haiN

:jhanda:

Re: Aik dhaga

Shukriya, Urdu bolna koyi aasan kaam naheen hai…:slight_smile:

Re: Aik dhaga

now u r konfusin me:mudhosh:
.
.
.
.
PS: wat’z tulfaz n talaffuz?:bummer:
.
.
.
.
PS2: talaffuz meanz ikhlaq, right?

Re: Aik dhaga

hamaari 15 karoR awaam kitnaa mushkil kaam kar rahi hai

:jazak:

Re: Aik dhaga

^lolzzz, n 15 karor se zaida hogyi hai na ab tou?

Re: Aik dhaga

beTa!

Tallafuz = Pronounciation…

I was just quoting a misr’a of Inyat Ali Khan:

Full Qit’a which I have shared here gazillions times, goes like:

MeraY madarsaY saY laY jaYeN apnaY baiTay ko
Jo kaam dooN yeh ussaY ghalt sul’t kartaa hai

issaY tau theek see urdu talak naheeN aati
Lafaz, Lafaz kaa tulfaz yeh ghalt kartaa hai

Re: Aik dhaga

:clap: ok thanx :slight_smile:

Re: Aik dhaga

Pronunciation darust lafz hai…:). Angeraizi par bhi oboor hai.