Aik dhaga

Re: Aik dhaga

4000 tou mai de doon ga lakin karaya nahi de sakta, n online tution ki itni fees:hoonh:

Re: Aik dhaga

Ji...............ROTFL.

Online tution ki fee sirf 1000 rupay hai. Laikin bashart yeh kay ada bhi ho.

Re: Aik dhaga

who'z Ji?
ada hogi fees but u've to kome it to pick it up:p

Re: Aik dhaga

Ji main tameez say kehti hoon.

Hmmm, agar aap Amrika mein rehtay hain to mera Western Union say munslik bank mein account hai. Aap uskay zariye adayegi kar saktay hain.

Re: Aik dhaga

to yeh thread farsi ka nahin urdu ka hai mish :snooty: dono nahin aik hi chalta hai kisi ko yeh kehte suna hai mere ustaad ka naam safia hai ?

Ainak wala ustad ziyada zaheen hota hai :stuck_out_tongue:

home doc :eek:

Re: Aik dhaga

Beta, Urdu zaban ki takmeel main Farsi aur Arbi ka bohat haath hai. Urdu ka rasm-ul-khat Farsi rasm-ulkhat hai…Is liye darust Urdu jananay kay liye in do zabano ka ilm zaroori hai. Teesara hisa Hindi ka ata hai. Kiyon kay Urdu ki masadir aur fiqroon ki banawat Hindi say makhooz hai. HAI lafz Hindi main hota hai, Arbi ya Farsi main naheen.

Ainak ka matlab kamzoriye nazar hona hai. Nazar ka taluq dimagh say hai, iska matlab howa kay dimagh ka koi masla hai. Alhamd-u-lillah kay mujhhay ainak naheen lagi.:slight_smile:

Homoepathic Doctor…not Home.

Re: Aik dhaga

khala jaan yeh zabaano ke kab se haath pair hone lage ? :expressionless:
to phir pehli ghalati to apke yeh ki hai ke thread ka topic hi gahalt rakha hai jab apko pata hai urdu kai zabano ka mufhoom hai to apko sari zabane mension karni chaiye thi :snooty:

apke kehne ka muksad yeh hai ke jo ainak pehante hain woh beaqal hain ?

aunty ki clinic kahan hai :stuck_out_tongue: ?

Re: Aik dhaga

Ga

Is dhagay ka unwaan bilkul darust hai. Bohat say ilfaaz jo Farsi aur Arbi say kasheeda hain, unka mafhoom Urdu mein faraq hai. Jaisay Zung, Farsi mein iska matlab Ghanti hota hai aur Urdu mein Lohay par anay wala peela safoof. Qamees Arbi mein Daman ko kehtay hain jubkay Urdu mein poray Kurtay ko Qamees kehtay hain.

Ammi ka clinic ussi sheher mein hai jahan main rehti hoon. Hum dono aik hi ghar mein rehtay hain…:slight_smile:

Ab ainak beech mein mutt lana.

Re: Aik dhaga

aap ziyadti kar rahi hain arbi aur farsi ke saath :bummer: apko sab ka hissa bara bara dena hoga means sab ki importance :snooty:

wow aap aik hi ghar main ho :stuck_out_tongue:

apke ghar main koi ainak nahin pehanta ?

Re: Aik dhaga

Main nay agar Arbi Farsi, Hindi, Balochi, Punjabi, Pashto, Sindhi aur Saraiki likhni shurro kardi to aap kay liye masla ho jaye ga.....................unka tarjumma karna.

Re: Aik dhaga

go a head mughe sirf arbi aur farsi nahin ati aur thori bahut pashto baki sab ati hain :p

Re: Aik dhaga

Kheli khoob. Shuma ra sawal kardand. Een ra Farsi ast wa shumma nami dani Farsi.

Re: Aik dhaga

bahut khoob. tumse sawal karti hon, tumhen farsi ati hai yah nahin ?
m i rite ?

Re: Aik dhaga

lakin meri wester Union walo se larayi hai, moneygram walay chalay ge?

Re: Aik dhaga

Annn annnnnnnn, Ghalat. Main nay kaha thha, Bohat Khoob Tum nay is ka poochha hai. Yeh Farsi hai aur tumhain Farsi naheen aati.

Har kisi say larayi??? Bohat hi burri baat hai. Moneygram main nay pehli bar sunna hai…:konfused:

Re: Aik dhaga

nahinnnnnnnnnnnnnnnnnnnnn yeh kaise hogaya main farsi bole leta hon :(

Re: Aik dhaga

meri nahi larayi kisi se:snooty: sab ki mujh se laray hai:bummer: moneygram bhi westernunion ki tarah hai 10 min mai money transfer ho jati hai:rotato:

Re: Aik dhaga

khurram

Nakhair. Shumma na dani Farsi. Gar shumma dani to chay kar summa na guftand dar zaban-e-een?

:rolleyes:

Proof…:stuck_out_tongue:

Re: Aik dhaga

jab 1st fees milay gi proof bhi mil jaye ga:halo:

Re: Aik dhaga

Nakhair. Shumma na dani Farsi. Gar shumma dani to chay kar summa na guftand dar zaban-e-een?

Nahin, tumhen farsi nahin ati. ager tumhen ati hai to tumhen bolna chaiye rawaani se :p