Aik dhaga

Main nay aik dhaga urdu kay naam karnay ki jasarat ki hai. Aaiye apni zaban Urdu main baat karain…such mano bohat hi peyaari zaban hai. Waisay to tamam zabanoon ki apni ehmiyat hai laikin Urdu…keya baat hai Urdu ki. Behtay dharoon ki si rawani aur baad-e-naseem si lateef zaban hai.

Mera sawal, keya aap nay kabhi apni zaban sekhnay ki koshish ki hai? Ya aap is kay baray main ehsaas-e-kamtari ka shikar hain.

Re: Aik dhaga

wah kya advertising ho rahi hai :D oho "advertising" ko urdu mein kya kehte hain?

Re: Aik dhaga

Advertising ko Ishtehaar bazi kehtay hain..............aur kuchh???

Waisay Advertising naheen Advert hota hai. Advertisment bhi ghalat lafz hai.

Mujhhay sirf Urdu naheen, English par bhi uboor hai laikin Urdu meri bohat hi pasandida zaban hai.

Re: Aik dhaga

:clap: taaliyan.

so kya ho raha hai aaj kal :hula:

Re: Aik dhaga

Mughe Urdu ati hai khala :dimpak:

btw yeh naseem aur lateef kon hain :expressionless:

Re: Aik dhaga

mujhe neend aa rahi hai :yawn:
lekin sonay ko dil nahin kar raha hai :stuck_out_tongue:

Re: Aik dhaga

Shukriya.

Aaj kal main parhati hoon. Main funnoon-e-latifa(Art, kuchh Urdu nadanoon kay liye) ki ustad hoon.

Re: Aik dhaga

Naseem naheen Baad-e-Naseem.

Lateef ka matlab khafeef…yaani bareeq aur kum kaseef.

Re: Aik dhaga

urdu parhaati ho kya?

Re: Aik dhaga

Achha, tau phir Allah Hafiz, Shab-a-khair.

Agar jagna chahain to aap ka kair maqdam.:slight_smile:

Re: Aik dhaga

Urdu likhna sikhati hoon. Urdu khattati ki ustaad bhi hoon. Waisay zabanoon main Angeraizi parhati hoon…:slight_smile:

Re: Aik dhaga

oh ghalat class main agaya main :smack:

  • miss yeh kg1 kis taraf hai *

Re: Aik dhaga

Betaa, aap kay dahnay haath ki taraf.

Re: Aik dhaga

ok ji, mein jaa rahi hoon!
Apna khayal rakhna, shaba kheir :wave:

Re: Aik dhaga

dahnay :konfused: yeh konse haath hotay hain mere pass to 2 hi haath hain aik seedha aik ulta :bummer:

Re: Aik dhaga

Awwwwwwww, achha ji..................Shub-a-khair.

Re: Aik dhaga

Betaa (Main apnay shagirdoon ko Betaa hi kehti hoon), dahnay ka matlab Seedha haath. Aam tau pay lafz dayan istamal hota hai laikin asl lafz dahna hai…:slight_smile:

Re: Aik dhaga

mere khyal se teacher taur word hota hi :slight_smile:

Re: Aik dhaga

Maaf karna betaa, likhtay waqt koi lafz chhoot geya hoga.

Re: Aik dhaga

aap apni ainak saath rakha karen na ab to larakhpan ka daur a chuka hai apka :)