Aik dhaga

Re: Aik dhaga

abb tumhay jootay parhein gein :hehe:

Re: Aik dhaga

BWaaaahhhhhhhhhahahahahahahahahah :rotfl: :rotfl:

Ullooooooooooo kahin kaaaaa :rotfl:

P.S

Please aap iss muqaddas thread main aisi posts na karain :slight_smile:
Bay Adabi hoti hay :slight_smile:
Dhaga Dhagi pay koi aur Thread khool lain :slight_smile:

Re: Aik dhaga

Jaisa aap ka hukm Uncle Bhanday :)

Re: Aik dhaga

Na na, main jootay ka istamal naheen karti…danti hoon. Itnay barray bachay ko marna koi danishmandi naheen.

Chucha James Bhaand, shukriya ji.

Re: Aik dhaga

np moonh maangi fees doon ga

Re: Aik dhaga

CLASSIC :k: :rotfl:

Re: Aik dhaga

:slight_smile: jee durust irshaad farmayaa

Re: Aik dhaga

aapnay urdu lughat khud khareedi hai, yaan tohfay mein mili hai?

Re: Aik dhaga

Chalain theek hai…2000 rupay mahana.

Dhagiiiiiii???

Yeh aap nay kis ki taraf ishara kiya hai???

Re: Aik dhaga

Ji humain Urdu lughat warsay (asl lafz Warsa hota hai Wirsa naheen) main mili hai apnay Dada/Nana jaan say…Dr Allama Iqbal.

:expressionless:

Re: Aik dhaga

WAH KIYAA KHOOB DHAGA HAI SAHEB

Ustaad e roohani shayer e mashriq hakeemul ummat allama doctor sir mohammed iqbal (r.a) k gharanay ki kissi hasti say yeahi ummeed ki jasakti hai,
urdu e mua'lla ki khidmat jis tarah buzurgoN nay ki woh unn ka khas-sa thee.
Apnay ta-eeN jiss had tak ho sakay kiya jayay. kam az kam iss ehsaas e kamtari ko to khatm kiyaa ja sakta hai k urdu bolna koee kasr e shan naheeN

shayad k utar jayay teray dil main meri baat::

Re: Aik dhaga

Nawazish, karam, shukriya. Adaab.

Waisay main Angeraizi school main parhati hoon jahan Urdu bolnay par pabandi hai. Laikin apni zaban ki khidmat ka jazba mujhhay chain naheen lainay daita.

Urdu bolna, bulkay Ala aur darust urdu bolna Kasr-e-Shaan naheen bulkay Turra-e-Imtiyaaz hota hai.

Re: Aik dhaga

ustaad ? main to aap ko female samjhta tha :eek: phir woh school hi nahin hai jahan aik ainak wala teacher hai :snooty:

aap konse hakeem se dawa leti or letay hain ?

Re: Aik dhaga

ainak wala teacher nahi hota - ainak wala jinn hota hay :devil:

Re: Aik dhaga

laiken yeh jo ustaad aunty hain na inki ishkool main ainak wala teacher hai :p

Re: Aik dhaga

NOPE… I SPEAK URDU AT HOME… SO YEAH… I MEAN EVEN THOUGH I AM NOT IN PAK… BUT STILL I KNOW IT ALL.. ALMOST:D

Re: Aik dhaga

Beta, Ustaad Farsi main mard aur khatoon dono kay liye istamaal hota hai. Asl main yeh Arabi lafz hai “Ustaaz” is liye is ki jama “Asatiza” hoti hai.

Haan baaz oqaat Urdu main Khatoon Ustaad kay liye Ustaani ka lafz mustamil hota hai, laikin chaltay dono hai.

Ustaad honay kay liye ainak naheen ilm ki zaroorat hoti hai.

Main apni Ammi say dawa laiti hoon. Woh Homoe Doctor hain…:slight_smile:

Re: Aik dhaga

Hmmmm, achhi baat hai. Laikin aap nay saari baat to angeraizi main ki hai…!

Re: Aik dhaga

ghar par parhanay aye gi app ya mujhay tution center ana paray ga??

Re: Aik dhaga

Online tution...........:) Ya phir tution kay markaz main. Ghar aa kar parhanay ki fees dugni hogi, yaani 4000 rupay. Karaya bhi shamil hoga.