Aao Urdu Urdu KhailaiN

Azad andaz wale; salam. Tumhari tehreer padh kar ek dum say kuch khayal aagaya kisi wajhey say. Bachpan meiN jab kuch saal Karachi meiN rahey the to ek cheez khaayi thi kaee baar: sheer-maal. Pata nahin kabhi zindagi meiN mileiN gey ya nahiN. Pooray ikatees saal ho gaey haiN khay hua. Khayal karo to lagta hai keh maza abhi bhi moNh mein hai.

Khoosh amded. karachi say humaara bhi ta'alooq hai. Abhi bhi yaad hai apna mohalla.

[quote]
Originally posted by jannu:
**Azad andaz wale; salam. Tumhari tehreer padh kar ek dum say kuch khayal aagaya kisi wajhey say. Bachpan meiN jab kuch saal Karachi meiN rahey the to ek cheez khaayi thi kaee baar: sheer-maal. Pata nahin kabhi zindagi meiN mileiN gey ya nahiN. Pooray ikatees saal ho gaey haiN khay hua. Khayal karo to lagta hai keh maza abhi bhi moNh mein hai.

Khoosh amded. karachi say humaara bhi ta'alooq hai. Abhi bhi yaad hai apna mohalla.**
[/quote]

walaikum salam,

khair koi salam qabool nahiN kar raha tha to meiN nay socha kay yeh azad andaaz wala errmmm......takhalus bhi khood hi istaimaal kar looN. waisay bhi naam ab zara baRa ho gaya hai jo kay mandarja zail hai

hazrat peer khan sahib azad khayal curly locks baRay darbaar waalay. :)

[quote]
Originally posted by khan_sahib:
** walaikum salam,

khair koi salam qabool nahiN kar raha tha to meiN nay socha kay yeh azad andaaz wala errmmm......takhalus bhi khood hi istaimaal kar looN. waisay bhi naam ab zara baRa ho gaya hai jo kay mandarja zail hai

hazrat peer khan sahib azad khayal curly locks baRay darbaar waalay. :)

**
[/quote]

Pehlay to Wasalam bhai Jannu ke liyay. Unn ki iss khawahish ka izhar kafi sacha or seedha hai, Q-K main bhi bazat-e-khood nashatay mai sheermaal woh bhi doodh pati ke saath rughbat se nosh kerta tha. Halim ke saath bhi sheer-mal kafi lutf deta tha or Nihari kay to kya hi kehnay hain!
Hum asal main apnay watan ko inhi choti choti cheezon se gahir mumalik mai yad rakhatay hain. Or mujhay pata hai keh uss dhaii rupay (Rs 2.5) walay sheer maal ki khatir mai eak din panch-so pond (£500) wali ticket khareed ker apni mitti ko sajda kernay jaa pohonchoon ga. Meray liyay woh mitti bohat azeem hai jis ne meri Maa ko apnay ander samoya hua hai. Yeh mohabat ke daway nahi hain yeh eak paet ki pukar hai jo Burger, Donner or shawarmay kha kha ker thak chuka hai.
Hain or Khan Sahib yar yeh Azad Andaz Wala takhaluss aap rakh lo meri taraf se tohfa samjh ker (ger qabool eqdaz theheray!!).
Mainay apnay liyay kuch or soch liya hai. Neechay parrh lijiya.
Kher Andesh
Azad Andaziya


--I know I'll be a King One day, When Im Dead, They Gonna take me on their shoulders, Just like a King--

[This message has been edited by freestylla (edited June 11, 2001).]

[quote]
Originally posted by freestylla:
** Pehlay to Wasalam bhai Jannu ke liyay. Unn ki iss khawahish ka izhar kafi sacha or seedha hai, Q-K main bhi bazat-e-khood nashatay mai sheermaal woh bhi doodh pati ke saath rughbat se nosh kerta tha. Halim ke saath bhi sheer-mal kafi lutf deta tha or Nihari kay to kya hi kehnay hain!
Hum asal main apnay watan ko inhi choti choti cheezon se gahir mumalik mai yad rakhatay hain. Or mujhay pata hai keh uss dhaii rupay (Rs 2.5) walay sheer maal ki khatir mai eak din panch-so pond (£500) wali ticket khareed ker apni mitti ko sajda kernay jaa pohonchoon ga. Meray liyay woh mitti bohat azeem hai jis ne meri Maa ko apnay ander samoya hua hai. Yeh mohabat ke daway nahi hain yeh eak paet ki pukar hai jo Burger, Donner or shawarmay kha kha ker thak chuka hai.
Hain or Khan Sahib yar yeh Azad Andaz Wala takhaluss aap rakh lo meri taraf se tohfa samjh ker (ger qabool eqdaz theheray!!).
Mainay apnay liyay kuch or soch liya hai. Neechay parrh lijiya.
Kher Andesh
Azad Andaziya

**
[/quote]

haeN, yeh meiN nay jo itna lamba choRa jawab likha tha woh kahaN gaya.

khair azad andaziye, aap nay kuch ghaltiyan ki heiN

ticket
burger
doner
pond :D

[quote]
Originally posted by khan_sahib:
**haeN, yeh meiN nay jo itna lamba choRa jawab likha tha woh kahaN gaya.

khair azad andaziye, aap nay kuch ghaltiyan ki heiN

ticket
burger
doner
pond :D**
[/quote]

Oho bhaiyo maafi ka khawastgar hoon, bara-e-meherbani meray pichlay maktoob mai inn alfaz ko urdu mai iss tarah parrhain.

Ticket = Hawaii Parchi ya Ijjazati Ruqqa
Burger = Bun Kabab
Doner = Kababi Bharri Roti ya naan
Pond = Yar khan sahib pond to pond hi hota hai jaisay dallar dallar hota hai waisay pond pond hota hai. :D


--I know I'll be a King One day, When Im Dead, They Gonna take me on their shoulders, Just like a King--

dekhtey ankhon ko bismah ka salam pohnchein. mujeh pata hai kay suntein kanon nahin ho sakta kiyon kay mein bo nahin rahe aur app log sun nahin rahay. wesay mein boltey boltey kehtein chaloon kay yeh kaafi acha thread (mujeh thread ki urdu nahin ati ;)) shuru kya gya hai. aur meray khial say kaafi faida mund sabit hoga. aur khas tor per meray liye, kiyon kay mujeh jeson ki urdu achi nahin.

acha ab tak kafi acha ja raha hai. agay agay dekhtein hein kya hota. aur haan yaad aya wesay mein ne bhi apna gupshup per taruf nahin kerwaya tha. khair is k liye tu ab kaafi der ho gai. agli dafa tak sub ko bismah ka

Allah hafiz! :)

bismah, ghalti to aap say ho gayee hai "thread" ki urdu ooper dee gayee hai. isay "dhaaga" ya "Dori" kehtay heiN :)

ab is dhagay kay qanoon kay mutabiq aap ko eik adad angrezi lafz ki urdu banani paRay gi. aap khood koi lafz Dhoond kar uski urdu bana Daliye

hmm acha ab is qanoon kay mutabiq meri shamat ayee. koi bat nahin mein aik say zaida engresi ilfaz ka mutlab bata deti hoon.
mein thoray din phelay he seekhein hein.

amendment = tarmeem
approval = manzoori
regularity = baqaidgee. :)

hmmmmmmm hum imroz soch rahe thay ke patta nahin iz roz kaunse kaam anjaam dene paRenge aur dekkhiye ke hum ne kya kuchh socha huwa tha aur kya kuchh ho gya hai. banday ka ishaara gupshup ki london waali mehmaani ki taraf tha ke ajab baat hai ke woh shakhs jis ka yeh khyaal tha ab wohi nahin jaa paayega [balke yoon kehna chaahiye ke filhaal meri wahaan tashreef aawarii dushwaar lagtee hai albatta fardaa kay haal ko kawn jaanta hai]
bas itna hi kehna tha aur aap doston ki hawsla afzaee aur qeemtee waqt zaaya karne keliye maazrat chahita hoon :)

[quote]
Originally posted by Bismah:
**
amendment = tarmeem
approval = manzoori
regularity = baqaidgee. :)**
[/quote]

kamaal kar dia aap nay. MeiN nay yeh lafz sunay huay they lekin aaj saaf samujh meiN aye. Manzoori aur baqaidgee to ma'aloom thi lekin tarmeem nahiN. Suna hua tha pehelay. Bohat khoob.

bismah, bohat bohat shukria :angoTha ooper dikhan: :)

jannu, hamaree badshaahat meiN rahaingay to aish karaingay. ja bacha niswaar ki eik dibbiya bhej day :D

shukriya logo! :)
lagta hai yeh urdu kehlenay ka shoq jald he khutum ho gya kiyon kay yeh dhaga general kay sufay per neechay tha. ho sakta hai logo ko urdu likhna kuch zaida hee mushkil lag raha ho begher kise enrezi lafz istamal kernay kay. mujeh tu bohat he mushkil lagta hai. lekin is ka yeh mutlab tu nahi kay is dhagay ko bhool he jaya jaye.

[quote]
Originally posted by Bismah:
shukriya logo! :)
lagta hai yeh urdu kehlenay ka shoq jald he khutum ho gya kiyon kay yeh dhaga general kay sufay per neechay tha. ho sakta hai logo ko urdu likhna kuch zaida hee mushkil lag raha ho begher kise enrezi lafz istamal kernay kay. mujeh tu bohat he mushkil lagta hai. lekin is ka yeh mutlab tu nahi kay is dhagay ko bhool he jaya jaye.

[/quote]

Aray, bismah... kia baat kahi hai. Dil ko lag gai. Lekin masla yeh hai "Kia baat kareiN? Khan ko to niswaar chaahiey.

Khan, agar bhijwaa di na meiN ney to ek chutki idhar daalni hogi, ek chutki udhar or ek chutki........ kheir chhoreiN... nashaa to baad meiN charhey gay woh aakhri chutki ziaadah phudkaaey gi.... :D

Wesay, Khan, tum wasey hi kuch kam phudakti ho jo niswaar bhiwaai jaaey?

Bismah ka gila apni jaga durust hai magar ab meiN bhi apna sar har jaga nahiN phoR sakta. kia karooN kuch madad chahiye hai har jaga Taang aRana itna Aasan kaam nahiN hai. iss kay liye bohat zeyada faltoo dimaagh yaa eik adad niswaar ki dabbiya chahiye

jannu, phudaknay ki taaqat Allah miaN nay kuch ziyada hi balkay zaroorat say ziyada hi daydee hai. yahaN gupshup kay qahwah aDDay par sherrybaba ki salgirah walay dhaagay meiN "pareshaN", "khaas machlee" aur ammarr kay ilawa doosray guppioN say dimagh khapana paRta hai to doosri taraf "khas konay walay kamray" meiN kuch logoN ki dum pakaR kay rakhnee paRti hai warna woh log to bus unka bas chalay to nangay ho kay naachnay lagaiN. kuch zimma daaraan ki "barqee-Daak" :D (kaisa hai?) ko jawabaat bhi dena hotay heiN; maghaz maari bhi karna paRti hai. doosri taraf ahmadjee aur khwateen nay lahoo pia hoa hai. X_communist ko apni "Qawah-aDDa(Cafe-istan) kay dhaagay meiN apni saltanat ka paRa hoa hai. guppioN ko eik "unwaan" tajweez karnay kay liye kia daydiya unhooN nay uski woh durgat banai hai kay Allah mua'afi.

ab bhala batayiye kay mujhay niswaar ki zaroorat hai kay nahiN. aap log bhi thoRi si niswaar soongha karaiN sehat kay liye achi hoti hai (doosrooN ki sehat kay liye, aap ka Allah malik hai) :p lagta aisa hai kay aap log neend ki goliyaaN laykar so gaye haiN :D

Salam bhaiyo (main bheno bhola nahi hoon bas waisay hi nahi likha)
Pehlay to janab khan_sahib aap ne iss dori ki bunyad dal ker humain (belkah mujhay) bohat hi takleef mai daal diya hai. Mabadolat nay abhi abhi madrasay pohanch ker apnay salana imtihanat ka mansooba barayay tadrees (time table) wasool kiya hi tha keh iss Jadooi Dabay (computer) or iss mai mojood Duniyay Gha’eb (internet) ko istamaal kernay ka khayal aaya. Ab jab iss ko chabi di or eak do dibriyan (mouse clicks) idhar udhar ghumayin or teen char ubharat (buttons) dabayay to samnay aap ki dori khul gai. Ab iss ke siwa koi chara nahi raha keh eak bar phir aap ko pukar bethain, to lijiyay janab ab mujhay bhugtiyay.
Imtihan wimtihan jain bharr jhonknay, apni Urdu se wabastagi ka bharam to qaim rahey ga na!!
Eak do kunda-e-na’tarash ooper yeh samajh rahey thay yeh dori band ho jayay gi, to janab humari dori urdu mai kat to sakti hai magar band nahi ho sakti

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif

Agay ka haal apany Muntazamim (Admin) sahib janain. Aap ke doosri Mahafil (Boards, Forums) mai mojood doriyon ke jawab mai jo ahbab or kuch naik bibiyan irsaliyan daltay hain woh mujhay hairan belkeh pareshan kernay ke liyay kafi hain. Inn ko kya museebat hai keh woh aap per be jaa tanqeed karen. Or aap ke murshid ko yeh baat bilkul bhi gawara nahi. Magar ker bhi kya saktay hain? Tael dekahin or Taeli ki beti Daekhain wala hisab hai (mahawrah ghalt likhnay ki ma’afi chahta hoon, magar aadat se majboor hoon).
Koi baat nahi aglay irsaliyay mai unn ka bhi hisab chukka doon ga. Abhi to meray peechay kharra hua mera Engrez Muallim yeh samjh raha hai keh mai kio jasoos hoon jo apnay watan koi khuffia pegham irsal ker raha hai.
Iss liyay dobarah hazri doonga. Tab tak
Rab Rakha (Mujhay pata hai keh Urdu nahi Punjabi hai magar her achay khanay ko thodda asli ghee ka tarrkah bhi lagana perrta hai!!)
Mukhlis
Aazad Andazia


–I know I’ll be a King One day, When Im Dead, They Gonna take me on their shoulders, Just like a King–

Bhai, aap donoN ney khoob likah. Maza aagaya tehreer parh key. Mein zara rung meiN nahiN hoon, kaam peh thora sa waqt nikaal keh zara say parh raha hooN. Wesay, Khan sahib, aap ko soney ko bhi milta hai ya...? MeiN samajhta tha kay meiN masroof hooN lekin aap kay saamne to meiN kuch bhi nahiN. Sherrybaba ka to maidaan itna lumba hai keh soocha us ki taraf dheyaan he na deiN to achha hai.

Baaqi baad meiN. Mera baap agaya hai....

HaaN, to ab meiN ghar peh hooN lekin ab bohat raat ho chuki hai. Jaaney sey pehelay kehna chaheta tha keh AA ko kuch kahooN: Yaar tum ney bohat achha likha. Kaafi maza aya parh key.

Nisvaar Khan: barq Dak? Hmm...
AA: irsaliya? Hmm...

Ab mera demaagh ma'oof hora hai aur subha nokri peh jana hai.

Shab-bakhayr

[quote]
Originally posted by jannu:
**HaaN, to ab meiN ghar peh hooN lekin ab bohat raat ho chuki hai. Jaaney sey pehelay kehna chaheta tha keh AA ko kuch kahooN: Yaar tum ney bohat achha likha. Kaafi maza aya parh key.

AA: irsaliya? Hmm...

**
[/quote]

meray bhai agar urdu ki lughat kahin kareeb mai parri apni kismat ko kos rahi hai to uss ki gard jharro or Alif ke mudarjat mai dekho iss ka matlab.
Chalo main hi tumhara waqt bacha deta hoon.
*Irsaliya *= Chota pegham ya mukhtasir chithi (Reply, Replies, Answers etc)


--I know I'll be a King One day, When Im Dead, They Gonna take me on their shoulders, Just like a King--

[quote]
Originally posted by freestylla:
** meray bhai agar urdu ki lughat kahin kareeb mai parri apni kismat ko kos rahi hai to uss ki gard jharro or Alif ke mudarjat mai dekho iss ka matlab.
Chalo main hi tumhara waqt bacha deta hoon.
*Irsaliya *= Chota pegham ya mukhtasir chithi (Reply, Replies, Answers etc)

**
[/quote]

nahiN bhai!! Irsaliya (Post) meray khayal say Jawabiya(Reply) ko naem-ul-badal nahin ho sakta. chota paigam ya baRa paigham paigham hi rahayga :)