Wa-alaykum as-salaam; justujo Khan... maaf kijiey ga, kuch zabaan behek gai. nazar bhi kuch aari ho gai hai. Likha kuch hota hai, dikta kuch hai.
Kher, aap aye, meherbaani hai. Aji, hamaari zabaan peh khoosh nahin hoieay...jo kuch aata hai woh saamne hazir karteiN haiN. Ulti ya seedhi ki parwah nahi kijiey.
Ab zara meiN kuch aas paas ki khabar looN... aap tashreef rakhey rahiey...nazaarey kijiey.
HaaN to Azaad Khan, err, AA: Aap ney kia farmaaya, janaabe-waala? Do chutki us safoof ki jo meiN Khan Sahib ki nazar karooN ga? Ulta ho jaay ga, ulta. Khan ki jaan hai. Yeh to munjan bhi nisvaar se karta hai. Ab socho, se shakhs ko jo safoof ghumai ga who ek bhala admi ka kia kachumar nikaaley ga. Aray naik-zaadeh, kuch khof karo.... Dhimaagh ko t-hikaaney laagana hai to ek qawaam ka paan kha lo. Tum sidhey kharey raho gey aur dunya ulti. Hilay nahin keh tum be ultay.
Han ji Huzoore-waala khaana...matlab... Khan Sahib: Pehelay kuch tabsara aur nuqta-cheeni:
"aap nay bhi do chaar chutkiyaaN layleni theeN" - sahi kehenay ka treeqa nahiN hai.
"kaar azmooda" - barey dinoN key baad suna hai.
"naak, aankh aur mazeed sub kuch kholnay kay liye" - ab meiN aap ki fikar ko kia kahooN. Dil chahata hai keh nazaar utar looN.
"mazeed bar aaN" - hooN....mazeed baraaN... mazeed yani aur, baaraaN yani bar ya takleef ya zoor. Yeh kuch meray liye naya hai. Tor keh zara sa samajh meiN aaraha hai lekin phir bhi madad chaahiey is kay liye.
"gaaRhi urdu" - Sahi zabaan meiN - Saqeel urdu
Ab meri saza bhugtaai: Soldier - Fauji, askari, sipaahi,
Aray, salaam AA: Pan khatam hua. :D
HaaN to miaN yeh kia behudgi ho rahi hai? Khan Sahib ko...laa-hol walaa-quat... meiN to aesi gandi baat sooch bhi nahi sakta. HaN, agar tumhaiN is ki ziyaada khabar hai to woh doosri baat hai. Ab Khan Sahib, yeh jo aap bahar ki baateiN undar laaraheN haiN na woh kuch sahi nahiN hai meri nazar meiN. Ab aap behtar jaantey haiN.
"meri tind kuch ziyada hi chamak rahi thi" - meiN kuch samjha nahiN. Maloom hai kiya likha hai. Sooch raha hoon keh agar baal haiN to.....ya? Hmmmmmm. Is ki wazahat (salees/asaan zabaan meiN: safai) chahiey.
"lashkaray maar rahi thi" - lagta hai keh kabhi suna hua hoga...ziada anjaana nahi lagta: lashkaray. Jumley meiN samjh gaya lekin bazaate-khub (asaan zabaan meiN: akeley meiN/by itself) samajh meiN nahiN aata.
"tab-e-nazara" - tab = vaar?
"aap ke dhagay mai larrkiyan hi larrkiyan piro doon ga. " - Allah kheir karey. Hijra banna hai kia? Khan key liye is say bari kia baat ho sakti hai. Ab unki dukti rag peh ungli to na rakho. Museebat ho gai to kaun bachay ga.:D Parion ka guzar nahin door door aur aap huzoor bilawajeh hava day raheN haiN.
To hazraat, yeh to hogi aaj ki taaleem-e-balighan. Kuch socha tha key poonchoN ga key aap log apni apni daastaan sunaeN jis meiN Urdu ki kamzori ka haal ho.
Shab-ba-kher. Teen baj rahey haiN. Jaldi sey paroos meiN ek nazar maaron aur phir apna boriya-bistar suNmbhaaloon.