Aao Urdu Urdu KhailaiN

azad munna, bohat khoob lekin yeh kahan say churaya aur yeh shikara kiya cheez hai.

sadiaa, muafi jinab, jab aap nay aapkiammanat ka nikah karaya to hum nay aap ka naam ghalti say parh liya. Issi liey kehtay hain zeyada parhna naheen chahiye.

[quote]
Originally posted by khan_sahib:
**azad munna, bohat khoob lekin yeh kahan say churaya aur yeh shikara kiya cheez hai.

sadiaa, muafi jinab, jab aap nay aapkiammanat ka nikah karaya to hum nay aap ka naam ghalti say parh liya. Issi liey kehtay hain zeyada parhna naheen chahiye.**
[/quote]

Kyon Saheb Shikara nahi jante aap?Kabhi Kashmir meine DAL lake pe shair kar ke aayen tub pata chal jayega.

Ab etne bhi to bewaqoof nahi haine ke do jumla urdu meine nahi bol ya likh saken.Agar aur koi galte aap ko nazar aye ho to kahen ge


Negahe Marde Momin Se Badal Jate Hai Taqdeeren

[quote]
Originally posted by khan_sahib:
**azad munna, bohat khoob lekin yeh kahan say churaya aur yeh shikara kiya cheez hai.

sadiaa, muafi jinab, jab aap nay aapkiammanat ka nikah karaya to hum nay aap ka naam ghalti say parh liya. Issi liey kehtay hain zeyada parhna naheen chahiye.**
[/quote]

eheheh..koi baat nahee bhai ghaltiaan hoti rehti hain :) waisay nikah maynay nahee.. confuse sahab nay parhwaya tha :D


===============
One falsehood spoils a thousand truths.
*=
=============*=
Howzzaaaaaaaaat !!!

Khan Sahib pehley upni urdu ki too tashi farma ley. Aik jaga aap tehreer farmatey hain naiy alfaz tarruf kara do Khan Sahib naiy alfaz mutarif kara dey hotta hi.

waisay yey moozun ap ney accha talash farmiaya hey. Accha aub Khuda Hafiz

Uffff… itni gaarhi gaarhi urdu main kesay kaam chalay ga.. aadhi baat samujh main aaati hay or aadhi nahin … ab jo baat sumujh main nahin arahi uss ko kesay sumjhain !!! :confused: .. koi asaan si .. gulabi si

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/blush.gif

urdu nahin hay ?!?! LoL


~* I am always in trouble, but it’s so much fun. *~

aadab arz hay logon..

sab say pehlay to khan sahab, bhaee, bahutttttttttttttttttt hi zabardast mauzoo pakra aapnay yar.. hamnay idhar udhar sar pakhta tha gupshup par aa kar .. ke yaar urdu par bhee koee dhaga hay ya nahin .. khair, ye wala DHAGA dekh kar dil-o-jaan ko THANDAKKKKKKKKKKKK mehsoos huee ke wah ji wah, qadardaan log maujood hain abhi.. mera matlab hay ke aisee jadeed dunya main bhee ke jis main laaltain ke bajaaye ab LAPAK DANDA jalta hay (tubelight) aur MASHQAA'AAB JASAASA ko MASHQAA'AAB JASAASA ke bajaaye magnifying glass bola jaata hay... khair, . ... chaltay chaltay ek adad shair maarta chaloon aap logon ke liyay (ji nahin, shairnee bewa nahin hogi):) itminaan rakhain :

chehra tha mera, nigaahain thee uski,
khamoshi main bhee, wo baatain thee uski,
mere chehray pe ghazal likhti gayee,
shair kehti huee nigaahain uski.........

khair, agar kisee nay GHALTI say bhee pooch liya ne ke oh bhai PAGAL/NA-SAMJAH (CoNFuSED), ye chehra kiska hay jiss per shair kaha giya hay? to yaaro, meri to shaamat aa jayegi .. iss liyyay main bhagta hoon .. :)

dastakhatt takk ka tarjuma karna para:

hamesha muskuraatay rahain, chaahay kitnay hi udaas kyoon na hon, kyoonke aapko nahin pata ke KONN aapki muskuraahat-say-mohabbat karr jaaye...


Never frown, even when your are sad,because you never know who is falling in love with your smile.

jo ke itna acha tarjuma nahin tha .. khair, pegham pahunch giya ..


Never frown, even when your are sad,because you never know who is falling in love with your smile.

walaikum adaab jinaab,

zarra nawazi ka shukriya, aap ki urdu to mashaallah bohat zeyada hi pukhta maloom deti hai. hatta kay mujhey bhi yeh alfaaz nahin maloom thay lagta hai aap inaam kay haqdaar hojayen gay.

Khan bhai !!! eheheheh :slight_smile: Adaab kay jawab may Taslimat nahee kehtay !? meray khial say eheheh agar kehtay hain to meri urdu aap say acheeeeeee ho gaiiiiiii ! :smiley: aur yeh na bhoolain kay inaam mujhi ko milna hay

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smash.gif

apna wada na bhoolain… aap nay bohat pehlay hi mujhay denay ko kaha tha

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smash.gif

! aab baimani nahee chalnay wali .. inaam sirf aur sirf mujhay milay ga… ! :smiley: :smiley: ehhehe


===============
One falsehood spoils a thousand truths.
==
=============
Howzzaaaaaaaaat !!!

warna aap kiya kar laingee? sarr tann say juda farmaa daingee, inko TAKNEEKI MADADD ka torture dilwaanay ke liyay bulwaayengi (technical support ke liyay CALL - not part of post) ya phir inko garamm tail main jhonkaingee? :)


tapish sooraj ki hoti hay
jalna zameen ko parta hai
qusoor ankhoon ka hota hai
tarapna dil ko parta hai....

adaab o salaam bajaa laane kay baad awwaleen tau janaab biradar e mukarram Khan Sahib ko mubarak-bad deni chahiye ke uss ne kya achoota mazmoon chunaa hai hamaare is bazme gupshup keliye :) subhan Allah...

accha mere aziz dosto aap log apnii ahwaal pursi bhi karte chalein saath saath...:)

iss muwzo'e sukhan ka aik aur faidah yeh bhi hai ke hum sab ki urdu mein izaafah ho jaaye ga

bas itna hi kehna tha...

taa jawaab e aaindah,

banda e naacheez

aap ka

Asif :)

izaafat: aap logon mein se kawn kawn hazraat o khawateen gupshup ki dawat e london mein shirkat farmaayenge? :)

mohtaram ki tashreef matawwaqqo hay kiya? ;-)


tapish sooraj ki hoti hay
jalna zameen ko parta hai
qusoor ankhoon ka hota hai
tarapna dil ko parta hai....

[quote]
Originally posted by khan_sahib:
**Masha allah,

.

nick ki mera khayal kay koi urdu naheen hai. Aap kay liyay yeh sunehri moqaa hai kay koi accha sa urdu ka lafz aaaaaammmm.... taaruf karadain. Yeh aap ka urdu zaban pay bada ehsaan ho ga.

khuda hafiz**
[/quote]

Khan Sahib Ji Nick Ka urdu lafz hay Takhulus;

Baray aye urdu urdu khailnay walay.

Wasey mujhay Munni ka afsoos hay bechari
ko urdu nahi aati wo to khail he nahi sakti.

hain? ye konsa ajeeb-o-ameer khail ho raha hai yahaan? kher asal khilaree to abb aya hai.. ap log chaheyn to apna boria bistar samet kar apnee tashreef le kar is dhagey se nikal jayen.

maloom hota hai key mohtaram chakrayey huye ko urdu jharney ka buhat shauq hai.. inkey toe chabee-gattey(keyboard) say na sirif urdu nikal rahee hai.. bulkey itnee nikal rahee hai kay charoun taraf bhee tapak rahee hai..

mohtaram holaye huye.. apko pata naheen kay tel mein jhonkna kee tarah kee sazain buhat asaan hotee hain.. mein to kehta houn kay khan sahib kee shadee kar dee jayay.. sarey badley ek dafa mein hee utar jayen ge.. aur banda bhee ta-ummar azzeeyat mein phans jaye ga.

chonkey 'lol' buhat ziyada istamal hota hai.. mein mandarjazel kuch badal apke liye pesh karta hoon.

ZDQ (Zor Dar Qehqaha)
BNB (Bateese Nikalayee Bahir)
HAH (Hansee aarahee hai)

upar 'aur' bahir
ZDQ

[This message has been edited by ammarr (edited June 06, 2001).]

ZZZDDDDDDDDQQQQQQQQQQQQQ ammarr miyan ..

aapki CHAABUKDASTII ko buhat achiiiiii tarah maan gaye hamm .. aapki chabee-gattey(keyboard) kay lohay ko hamm AAJ maan gaye hain chanda.. hamm ko yaqeen hay ke isee tarah aap apnay maan baap ka naam roshan kartay gaye to kisee na kisee dinn zaroor aap par sooraj ka ilzaam rakh kar usee hisaab say kamayee-CHUNGEE (income-tax) liya jayega.. :BNB:


tapish sooraj ki hoti hay
jalna zameen ko parta hai
qusoor ankhoon ka hota hai
tarapna dil ko parta hai....

ye khail to meri samajh say kuch bahar hai. buss yehi samajh may aaya hai kay urdu may baat karni hay aur shayad koi naya lafz bhi kehna hay shayad. Aik dafa ka zikr hay meri aik ustani kehnay lagain kay hum loog angrayzi kay ilfaz buhut istaymal kartay hain..kia aap may say kisi ko pata hai kai hum loog jisay bulb kehtay hain..usay kia kaha jata hay..puri jamat aik dosray ki shakal daiknay lagi..aur phir ustani ji nay kaha ke bulb ko lapak shoon kehtay hain..to aap logon may say jin khawateen o hazrat ko ya nahin pata hay to wo aj ye seekh lain..aur jub dil chahay apni urdu ka rob kisi per jama saktay hain..

yeh to urdu zuban ka course lag raha hai....

Mefil to salaam;

Banda aaj kaal musfroof hai zindagi kay kaamoN meiN. Nokri, parhai, bachooN ki chhutiaN, wagheira wagheira. Abi is guftago meiN hissa lenay ka moqa nihiN milaa hai lekin kuch teesray safhay ko jo parha to tabiyat khush hogi. ammar, bohat achi lughat istamaal ki aap nay. Aur bhi logoN ko parha, maza aaya.

Thoda ta'aruf: meiN amrika meiN rehta hooN, pathanoN ke darmian meiN (ishaara samajhe?) Amrika das saal ki umar meiN aya tha. Ab meri ek aulaad baara saal ki hai. Ghar meiN ungrezi bolneiN ka dastoor nahiN tha. Is liey apni lughat sey ta'alooq raha. Aur issi liay zabaan sirf salees aati hai. Yahan kafi ashkhaas ney koshish ki apni zabaan ka izhaar karney ki. Dil kaafi khoosh hua.

Zara sanjeeda nukta: Pakistan say tagreeban sat-taaice saal sey alag hoN. Jaisa mohavra hai keh: door ke dhool sohane?, isi tarha mujhe apney mulk sey mohbat hai. Khair woh to ek alag mozoo hai. Door reh key mujhe ab yeh mehsoos hota hai key Urdu meiN waqayee ek chaashni hai. Jo baat urdu meiN kahi jaasakti hai us ka maza hi ek alag ho ta hai.

Mujhe Urdu likhni nahiN aati. Taqreeban aadhi sey ziaadah parh sakta hooN. Ab meiN apney bachooN peh zoor deta hooN keh woh Urdu boleiN.

Maaf kijeay ga, zara ziyada waqt leylia hai. Chalte chalte ek baat kehena chahata hooN: MeiN samajta hooN keh woh log jo Pakistan se pal barh kar nikley haiN aur apni zabaan ko qaaym rakhney meiN kaamiyaab rahey hoN, wohi Pakistan ki pehchaan or shanaakht ko qaaym rakhneiN meiN alambardaar rahaiN gey. Jo log gilli-danda khel raheiN haiN yahaN peh (jis meiN mayN bhi shaamil hooN) woh sirf apney aap ko jhootey dilaasey deteiN haiN keh woh Pakistani haiN. Pakistan ki pehchaan kia hay? Zabaan (jo bhi zabaan aap bolte haiN) aur rusmo-riwaaj jinka zabaan sey behud ta'aloog hai.

mazeed aaindah, Insha-Allah;
Khuda Hafiz


Do unto others as you would have them do unto you...

Bhai Khan Sahib,
Adaaab-o-Tasleemat Qabool karain.
Aap ne jiss tarah gup shup mai Urdu ki Dori nikali hai or baki saathiyon ne uss mai apnay apnay alfaz ke moti piroyay hain, woh waqai qabal-e-tehseen hain. Nihayat khushi hoti hai or kai dafa yeh baat dil ko lagti hai keh hum eak doosri zaban mai apni piyari qaumi zaban likhtay ya boltay hain.
Iss ke ilawa mujhay apnay dossray sathiyon ka zoq-o-shok dekh ker bohat mussarat hui (or hairat bhi) keh hum mai abhi bhi apni zaban se payar ka jazba baki hai.
Woh saathi jo Urdu bolna to jaantay hian magar parrhnay mai unn ko dushwari hoti hai unn ke liyay yeh bohat hi acha moqah hai ke woh iss Dori mai irsal kiyay gayay jawabat or mohabat namay ghor se parrhain takeh kam-ez-kam woh Engrezi mai Urdu liknay Parrhnay ke Qabil hojain.
Meri iss arzi mai sirf aap ki or iss Dori ki barrai maqsood thi iss liyay mainay zara takal’luff se kaam liyay hai. Inshallah agli hazri per takal’luff bartaraf rakh ker apni Karachi wali Taporri urdu boloon ga :).
Sab ka Kher-khawah (kham-khawah)
Azad Andaz Wala {Freestylla

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif

}


–I know I’ll be a King One day, When Im Dead, They Gonna take me on their shoulders, Just like a King–

masha allah masha allah,

aap logoN nay to kamal hi kar diya hai. meiN baad mein apnay khayalat say aashkar karooN ga.

waisay ammar nay maidan maar liya hai *moonh khol kay hansna:

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif

ZIMMA DARAAN!!! KHUDA KAY LIYE IS DHAGAY KO KEHWA KHANAY MUT PHAINK DEEJIYE GA KIYOONKAY YEH MALBARIOON KI BAKWAS KA MOZOO NAHIN BALKAY EIK SANJEEDA KAWISH HAI TA KAY HUM JAISAY LOG URDU JAISEE MEETHI ZABAN KO YAAD RAKH SAKHAIN. SHUKRIA