It’s not a difficult game to play. The rule is that after this message everyone should post everything in urdu transliterion and if someone make mistake of talking in english then he should teach others a new word.
You can talk ne thing and everything.
Haan to yeh bataiyay kay aap log kaisa mehsoos kar rahey haiN?
salamm..
boohut hi acha mehsoos ker rahay hein hum janab..app sunain..:D..kaise hein?..kaisi ja rahi hai zindagi ki gari aur kia kia mashagil hein apke ajj kul?..;)..hum to yahan kisi ko bhi nahin jantay..
..waja kuch youn hai kaih hum ne jub yeh gupshup ka muhallah apnaya tha to hum ne auron ki terhan apna taruff nahin kerwaya tha isliey hum ajj tuk na kisi ko jaan sakay na hi koi humko jaan saka..
Assalamo Alaikum..... khan sahab.. bohat hi acha cheez shroo ki hay aap nay.. may bilkul sahee mehsoos kar rahee hoon balkay khushi mehsoos kar rahee hoon kay yeh poora mazmoon hi urdu bolnay kay oopar hay... munna ji.. yahan bhee kuch yehi soor-te-haal hay.. mujhay bhee yahan log nahee jantay.. woh kia hay kay may nay jab yahan aana shroo ki tha na to may nay bhee aap hi ki tarha apna tarruf nahee karwaya tha.. issi liye mera nahee khial kay mujhay yahan koi janta hay ya hoga :) hahah waisay munna, aap nay koi angraizi ka alfaz istaimal nahee kia...waisay khan sahib agli baar na aap bhee urdu may hi likhye ga :) acha kher.. may 15 saal ki hoon.. aur toronto say hoon.. asal may karachi say hoon..aur yahan 10 jamat may hoon.. acha kher baqi agli martaba likhoon gi.. Khuda Hafiz ! :)
Aap logon ki urdu to masha allah bohat hi suthri hai. Mujhay to dar lagta hai kay kaheen koi ghalti na kar baithooN. Hum nay bhi arsa hoa urdu saheeh tarah say kissi say naheeN boli. Yeh angrezi subh o shaam bool bool kay tu hamaray jabdooN meiN dard sa honay laga hai. Hum bhi apna taaruf saheeh taur say kara naheen sakay. Khair, koi der naheen hoi. Hum yehan Goroon kay mulk meiN rehtay aur kaam kartay haiN.
Assalamo Alaikum !!! ji shukria khan sahib !!! aap ki urdu bhee bohat hi achee hay !.. lagta hay yahan ziyada tar loog farangion kay mulk may hi reh rahay hain.. ahhaha waisay yeh alfaz farangi may nay aik pakistani dramay say seekha tha ;) !!! hahaha ! bohat hi zabardast word lagta hay.. okie khan sahib aap soye.. phir baad may aap say baat cheet ho gi.. may bhee ja hi rahee hoon.. Khuda Hafiz
munna hazir hai..shukeriya sadia je..:flower:..mera khayal hai hamari thori thori guftagu-o-shaneed hoti rahi hai icq aur MSN par..yaad hoga appko..mera naam dJ_ArSh hai aur mein pakbeat.com ka webmaster hon..khushi hui app se milker..mein hon to lahore se lakin ziada ersa mera guzra hai middle east mein aur ab kuch ersay se yahan hon toronto mein..umer meri hai ikees [21] saal aur perhta hon devry mein..:D..music sunay aur bajanay ka shauk hai..sath sath shairi ka zooq bhi rakhta hon..:)..
acha jee ab phir baad mein mulaqat hogi in gupshup ke hungamon mein..
Salam dosto,
ghalti to mujh se bhi ye hi hue ke aaj tak apna taruf hi nahi karaya. Kher. Ab kia karana ......:(
aur ye khel to bohat hi acha shuro kia aap logon ne. Baki batain agli dafa.
haan ji bilkul…mashallah mashallah aap ki urdu waqai boht achi hai…sada salaamat rahe ji aap ki urdu ;)…buri to meri bhi nahin hai..pata hai mere 73 marks aae thay urdu mein, 100 mein se…(abhi tak yaqeen nahin aata kaise aagae ;)..kher…mein keh rahi thi ke urdu to meri bhi buri nahin bas ji magar kya karen zara ghaib dimag log hein to ghaltyan karna hamari aadat hai! :)..
acha ji chalen aap ka hissa 98% ke bajae 89% karlete hein magar 50% per na jaen…wo to phir “jeem darja” hojae ga naa…
Munna .. ji ji.. mujhay yaad aa gia.. aap wohi hain na msn aur icq walay !!! well mindless aap to haar gai .. plz to angraizi ka alfaz hay !!! aab lagta hay may hi jeetoon gi ;) Khush aamdeed sajal behn... acha kher aap nay pehlay apna tarruf nahee karwaya to kia hooa... aap aab apna tarruf karwa sakti hain ! :) farwa.. meri urdu bhee kafi achee hay.. aab aap ko 50/50 kay bajai.. 3 hissay karnay hongay :) hahah mera hisab kafi kamzor hay to issi liye aap khood hi hisab laga kar bata dain kay har aik kay hissay may kitna kitna ai ga... :) acha baqi baad may.. ! :)
ehehhehe.. mindless behn/bhai.. aap ka akhri moqa bhee haath say nikal gia.. chalain aap nay jeem darja kay matlab angraizi may to bata dia.. laikin yeh jo aap nay (i guess) istaimal kia na .. aap ka akhiri wala moqa bhee chala gia ;)
[quote]
Originally posted by Sadiaa:
*Munna .. ji ji.. mujhay yaad aa gia.. aap wohi hain na msn aur icq walay !!! well mindless aap to haar gai .. plz to angraizi ka alfaz hay !!! aab lagta hay may hi jeetoon gi ;) Khush aamdeed sajal behn... acha kher aap nay pehlay apna tarruf nahee karwaya to kia hooa... aap aab apna tarruf karwa sakti hain ! :) farwa.. meri urdu bhee kafi achee hay.. aab aap ko 50/50 kay bajai.. 3 hissay karnay hongay :) hahah mera hisab kafi kamzor hay to issi liye aap khood hi hisab laga kar bata dain kay har aik kay hissay may kitna kitna ai ga... :) acha baqi baad may.. ! :) *
[/quote]
hehe sadia jee..apka moqa bhi gaya.."
!!! well mindless aap to haar gai .. plz to angraizi "..==>>WELL<<== ungrazi ka lafz hai..;)
Rub Rakha
te
KH
dJ_ArSH
pakbeat.com
ik nazer ke liey umer bher..umer bher ke liey ik nazer..
[This message has been edited by ^_^MuNNa^^ (edited November 04, 2000).]