Aao Urdu Urdu KhailaiN

Well, i learnt urdu at home n also in skool for bout 11 yrs... n now only talk in urdu at home as they dont teach urdu here in toronto..... how bout the rest...


===========
One falsehood spoils a thousand truths.
===========
Howzzaaaaaaaaat !!!

acha ji..to ye hazir hai angrezi alfaz ka tarjuma

plz=bara-he-mehrbani
marks=aadaad
I guess=mera khayal hai

bas khan sahab ab to mein jeet gai naa :p


** Of all the things I've lost^^^I miss my MIND the most!**

oooo khan sabhi..:(:frowning:
ki kerday paye’ooooo…

hon mein “DJ” non ki likhan urdu wich..

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/crying.gif

pakbeat.com ..ki likhan??..koi mashwara?..

fata fuut dasso te sawab kamao..:smiley:

rub rakha
" " ArsH
_____________ [address]


ik nazer ke liey umer bher..umer bher ke liey ik nazer..

sadiaa, yeh aap ko kiya hoa, kaheen koi nasha waghera tu naheen shuroo kardiya kay eik dum urdu say angrezi mein baat cheet shuroo kardi.

Mindless, number = aadad, lekin marks ko aadad naheen balkay nishanaat kehtay. Lo aap nay bhi ghalti kardi,

munna yaar bohat tang kartay ho, agar yeh khail khailna hai to phir peechay jawabaat jo logon nay likhay hein wu padho. mera khayal hai kay kissi nay in alfaz ki pehlay hi angrezi banadi hai.

DOSTO! ABHI TUK AAP KI TARAFA SAY KOI SALAH NAHEEN MILI KAY KAUN SAY MAOZOO PER BAAT KI JAYE.

[This message has been edited by khan_sahib (edited November 10, 2000).]

khan sahab ab etni to riayat de den naa....etna to zulm na karen nanhi si jaan per :(


** Of all the things I've lost^^^I miss my MIND the most!**

Khan Sahib.. bhai aap hi nay to mujhay kuch khanay ko dia tha .. yaad hay.. meray khial say aap nay jaan boojh kar koi nashay wali cheez day di thee :( takay may haar jaoon ! :( iss liye aab aap mujhay dobara say moqa dain gay !!!


===============
One falsehood spoils a thousand truths.
*=
=============*=
Howzzaaaaaaaaat !!!

YES YOU SHOULD NO WRITE ENGLISH URDU MIX

Khan Sahib.. lol aap ko sharam nahee ati.. behn ko nashay wali cheezain daitay hooay.. lol.. aap ko to sharam say chulloo bhar pani may doob marna chaheye ;)


===============
One falsehood spoils a thousand truths.
*=
=============*=
Howzzaaaaaaaaat !!!

AOA

ji khwatino hazraat hum aap ki anjuman(punjabi anjuman yaad aai naa?) main pahli baar shirkat ferma rahy haan.hum ko gup shup bohet pasand hy kiyoon na hum iss gup shup main apny bachpan ka hissa bhi rakhin??
kessa?theek tu theek,nahin tu na sahi.
ok ab chalty haan,dekhain gy kab waqwt sath deta hy tu tabhi aain gy,
sab k liye dua
ALLAH HAFIZ :)


Allah Tuba.

[quote]
Originally posted by Sadiaa:
**Khan Sahib.. lol aap ko sharam nahee ati.. behn ko nashay wali cheezain daitay hooay.. lol.. aap ko to sharam say chulloo bhar pani may doob marna chaheye ;)

**
[/quote]

array hamari behna kiya toronto mein chullo bhar pani kay ilawa kuch pani naheen hai aur kiya pani ka behana bana kay moon hi naheen dhooti ho. haan yaad aya aap nay lol ki angrezi bhi batani hai.

Mera khayal hai kay hum log is khail ko ab naya rukh dein aur jis kissi kay bhi dimagh mein koi mushkil angrezi ka lafz ho ussay wo yehan likhay aur phir doosray log uski urdu bananay ki koshish karain.

kiya khayal hai

:eek:
khan sahib kuch te khuda da khoof keroo..tuada khayal ai mein hon sara kuch perhan jo aithay likhaya gaya ai..thoray bebay jay bano te apay dass dayo..:)..

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif

baqi kerooo aish te pao pungray!..:stuck_out_tongue:

Rub Rakha

ArsH [naam hi kafi hai..;)]

paaaaaak-dherkan/terzz [NuQtA] kaam.


ik nazer ke liey umer bher..umer bher ke liey ik nazer..

Munna........ barai mehrbani zara urdu may tarjuma kar do :( punjabi meray sar kay oopar say guzar jaati hay :(
Khan bhai... lol= ummmm.... aap khud hi bata dain na.. baray hoshyar bantay hain ! LOL
BARAI MEHRBANI... AGAR LOGON KA JAAL SAFHA (WEBSITE) HAY TO ZARA PATA BATA DAIN... THORAY SAY ACHAY JAAL SAFHAY (WEBSITES) CHAHEYEYAIN AUR THORI SI APNI JAAL SAFHA(WEBSITE) PAR BHEE DAALNI HAIN :) Shukria !!! :)


===============
One falsehood spoils a thousand truths.
*=
=============*=
Howzzaaaaaaaaat !!!

SALAAM & HELLO TO ALL !!!

Meiri shaam mein unhoon ney aa kar,
Meiri undheiri zindagi mein ujaala kar diya,

Par unhoon ney mujh nacheez ko,
Apni zulfoon ki chaaoon mein,
Rehney aur zindagi guzaarney ka moka' nahi diya...

Thankyou,

Yours Sincerely,
ZEESHAN_PAKISTANI

zeeshan beta, kiya zeyada pee lee thi kay ghalti kay maaray likhna kaheen aur tha aur likh kaheen aur.

Yaa phir aap ka naam bhi bhai bhulakar hai aur bhoolnay ka sab say bada inaam jeeta hai. Khair koi baat naheen agar apni chaddi pehnna naheen bhoolay :) :)

array hum thoday din kay liye kiya gaye kay sub logon nay khail hi chod diya. .......

khel maiN aap jaisay musif ki to zarorat hoti hi hai na janab.

jabb aap hi nahin maujood to becharay khilaari kiss kay paas insaaf karwanay kay liye jaa paayeN gay.

meray paas aanay say to rahay na.

maiN to inn ki puhanch say hi door buhat door hooN .

waisay khan saahib,

yeh shauq kahaN say chuaraya?? :wink:

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/kiss.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/kiss.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/kiss.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/kiss.gif


beyond the horizont°°°my heart is gone

haan to kheil kioon ruk geyi…

merei khayaal main kfi weqfa tha…

weisay main to search ker rehi thi kuch aur yeh “thread” :frowning:

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif

dhagha mil geya

haan to kioon nei kheil kheiltay rehain…hain :slight_smile:


“The only way to have a friend is to be one.”

==
Pakistani Sahiba, khush amdaid, lekin apnay to “search” likh ker pehli ghalti kar di hai. Aur mein eik haftay kay liye kiya gaya kay hamari behna (sadiaa sahiba) nay cyber nikah hi kar daala. pata naheen aaj kal kay bachoon ko kiya hoo gaya hai kay bhai ko bhee khabar nahee ki.

aaj bohat din baad idhar ai hoon.. hahaha bhai.. Khushaamdeed..kahan chalay gai thay aap ?!?!?! aur bhai mera nikah kahan say ho gia ?!!??! aap baray bhai hain meray aap ki ijazat kay baghair to may nikkah karnay say rahee :wink: ehehe woh to kisi aur ka nikkah hooa.. aur aap nay bilawajay meray oopar dal dia

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/crying.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/crying.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/crying.gif


===============
One falsehood spoils a thousand truths.
==
=============
Howzzaaaaaaaaat !!!

Saadia ji shhadi pe mujhe bhi bolana mat bhuliye ga .ek kashmiri dal lake ka nazara pesh kar raha hoon .urdu meine ,umeed hai koi aur zaban isse meine naa nazar ayeye gi.
Shikaare mein hum dono the, aur jheel ke upar ek chaand. Main moongfali
kha raha tha jo woh apne aanchal mein abba se chhupa kar laayee thee.
Main be-sabr tha saamne us bepanah husn ke. Jaise hi main usko choomne
ke liye utha, shikaara jor se dagmagaya. Woh khilkhila ke hansi, boli -
‘tum idhar aaoge to shikara doob jaayega.’
Main ba-tahasha mein bola - ‘To kya karoon’.

‘Doob jaane do’ - woh phir khikhilayee.


Negahe Marde Momin Se Badal Jate Hai Taqdeeren