[quote]
Originally posted by Farwa:
**ooyyyyyeeee yea kya bay immani ho rehi hai. Khan sahib agar inaam ghar mein he rekhna tha to hamain khailnay ko kyun keha?
**
[/quote]
====
Array Farwa, yeh aap ko kis nay khabar kardi? Mein nay to saadia say kaha tha kay kissi ko batana naheen.
ohhhhmmm......waisay, aap kay naam Farwa kay kiya maani haiN? Mujhay jahan tuk yaad padta hai farwa kay maani motay kay hotay hain. Bhai aap tu bohat he ajeeb o ghareeb ladki haiN apnay aap ko khood hi mota keh rahi hain ;) :D:
oye khan sahib mujay mota keha
koi baat nehin mein aap ko is liyay kuch nein kehon gee kyun kay inaam aap kay paas hai aur abi tak meri siraf aik ghalti howee hai, yaad rekhna. Aur keho to muthi garam kar don kis ko nehin pata chalya ga
Farwa.. woh heheeheh bhai nay to mujhay pehlay hi inaam dainay ka wada kar lia hay.. agar aap ko inaam chaheye to muthi yahan garam kar sakti hain ;) $100-$500 theek rahain gay ;)
Ya allah itni khawarri!
Aur khan sahib aur sadia yea aap log acha nehin kar rehay wesay. Yea to baki sab kay sath serra sar ziyyadati hai.
Mein hartaal karon gee
Bhook hartaal (shaiad)
ya main pali par urdu urdu khail rahi hoon.
acha laga app ki batain sun kar
º¤., ¸¸,.¤º¨¨¨¤i wrote ur name in the sky but the wind blew it away...i wrote ur name in the ocean but the waves washed it away..I have written your name in the heart, so thats where it Stayº¤., ¸¸,.¤º¨¨¨¤
[quote]
Originally posted by Sadiaa:
**hahahahah...farwa.. behn.. aisa karain bhook hartal kar dain.. waisy bhee may zalim hoon.. aap aisi si bhooki bethi reh jain gi.. hahahaha :) :) :)
**
[/quote]
Zalim larki meine keha tha shaiid bhook hartaal karon, pakka nehin keha tha. magar ab mujay pata hai koi faida nehin, is liyay nehin karon gee.
Tum donon behan bhai koi aur he bandobast karna paray ga :D
Life is a game; either be a player or get played.
[This message has been edited by Farwa (edited November 07, 2000).]
[quote]
Originally posted by Farwa:
** Zalim larki meine keha tha shaiid bhook hartaal karon, pakka nehin keha tha. magar ab mujay pata hai koi faida nehin, is liyay nehin karon gee.
Tum donon behan bhai koi aur he bandobast karna paray ga :D
**
[/quote]
ehehheehhehe.. zara ehtiyat say behna .. yeh na ho kay kaheen hum ko aap ka bandobast karna par jai..aap ko itna asan say tareeqa bataya tha.. $100-$500 day dain ;) eehhe aap ko koi phir kuch nahee kahay ga aur inaam bhee poora poora aap ka ho jai ga.. naheee aap ko bhook hartal karni paray gi !!! eheheh aap nay kaha tha.. ab koi shayad agar magar nahee.. bas kal say aap bhook hartal par ja rahee hain ;)
Originally posted by khan_sahib:
sadia = plz, nick, well, word, plz
munna = flower, dj, webmaster, middle east, pakbeat.com
mindless = plz, marks, i guess
madscientist = edit, police
farwa= time out
mystery gal= but
munda pakistani= game
cat woman= idea
====
Farwa, hum say thodi si ghalti hogaee jis ki hum aap say muafi chahtay hain. Hoa uuN kay hamari bhi urdu thodi si kamzoor hoti jaa rahi hai aur hum nay farwa ka matlab mota bata diya jabkay farba ka matlab mota hota hai. ghalti ki hum muafi chahtay hain.
jahan tuk baat hai inaam ki to jo bhi ooper diaye gaye angrezi alfaz kay saheeh urdu maani bataye ga wo hi jeetay ga. kuch alfaz thoday mushkil hain lekin agar aap nay unkii urdu bana dali tu urdu per aapka bohat ehsan hoga.
Ab mein sadia ki baaton ki waja se thori thori maayoos ho gaee hon. :(
Mein tumhain itnay dollar kehan se laa kar don, mein to abi khood ghar walon se jaib kharach laitee hon. Ab mein koi wazeefa shoro karti hon ;P
Khan sahib wo jo upar waalay ilfaaz hain, unka tarjama to pehlay sab nay kar diya hai, ab koi naeay ilfaaz bathao.
Farwa, mayoosi gunnah hoti hai, aap apni tag o du kiye jao inshaalah jeet mehnat karnay waloon ki hi hogi.
Aap nay likha hai kay logoon nay tu in alfaz ki angrezi bata di hay magar hamein khabr tak na hoi. Chaliaye aap dubara mandarja zail alfaz ki angrezi bata dain.
[quote]
Originally posted by khan_sahib:
**Farwa, mayoosi gunnah hoti hai, aap apni tag o du kiye jao inshaalah jeet mehnat karnay waloon ki hi hogi.
Aap nay likha hai kay logoon nay tu in alfaz ki angrezi bata di hay magar hamein khabr tak na hoi. Chaliaye aap dubara mandarja zail alfaz ki angrezi bata dain.
farwa behn aap mayhoos na hon.. aisa kartay hain agar inaam mil gia na to hum dono inaam ko taqseem kar lain gay... may aap ki madad karnay ki koshish karti hoon
**dj=\B]iss ka to aap khood hi bata dain...laikin koshish karti hoon.. ummm... ganay wagera ka host .. aab yeh host ko urdu mai.. may nahee bol sakti :(
**webmaster=\B] internet par safhay bananay wala.. aur woh jis ko in sahfay bananay may maharat hasil ho
**middle east=\B] beech wala shumal
**pakbeat.com=\B] iss ka to tarjuma nahee ho sakta.. kiyoon kay yeh to NAAM HAY ! internet kay aik safhay ka naam
**police=\B] sipahi !!!
**dj=\B]iss ka to aap khood hi bata dain...laikin koshish karti hoon.. ummm... ganay wagera ka host .. aab yeh host ko urdu mai.. may nahee bol sakti :(
**webmaster=\B] internet par safhay bananay wala.. aur woh jis ko in sahfay bananay may maharat hasil ho
**middle east=\B] beech wala shumal
**pakbeat.com=\B] iss ka to tarjuma nahee ho sakta.. kiyoon kay yeh to NAAM HAY ! internet kay aik safhay ka naam
**police=\B] sipahi !!!
**
[/quote]
===
aap ka tarjuma padh ker hansi kay maaray pait mein bal padh gaye hain. Khaas tur par middle east ko jo tarjuma kiya hai uss ki tu shayed koi misaal na ho. middle east ko urdu mein mashriq-e-wusta kehtay hein.
webmaster ko aap log web mahir keh saktay hein kiyoon kay web tu naam hay or master kay maani mahir kay hotay hai. Bataiyay kaisa laga hamara tarjuma. dj ka koi chota sa lafz hona chahiye magar hamari samajh mein naheen aa raha hai. Aap log hi koi tadbeer karain.
[quote]
Originally posted by khan_sahib:
dj, webmaster, middle east, pakbeat.com, police**
[/quote]
dj= daal jeem ;p webmaster= jaal ka ustad ;p pakbeat.com= hhhhmmmm yea aik aisay ghar ka pata hai, jehan par aapko pakistan kay mutallak kuch khabrain milti hain, aur, aur bohat c cheezon ka pata chalta hai ;p middle east masharak-e-wasta policeyea un logon ka naam hai jo logon ko pakratay hain, aur hawaalaat mein band kartay hain ;p
kya khayal hai :D
Life is a game; either be a player or get played.
[This message has been edited by Farwa (edited November 08, 2000).]
hahahah... khan bhai !! hasnay ki zaroorat nahee.. may nay koshish to ki thee na :( aur kafi hadh tak sahee bhee batai thay :( sirf aik do may thori si ghalti ho gai :(