ameen
aur yahi baat iss Warrior ko bhi apnay Purkhoon say milli hay kah kabhi gardan naheen jhukani siwai Allah ta’lla kay aagay …
yah chand dinoon key paraishanian hain phir daikhna aik din hum sub akhtay ho kar dushman ko lalkarain gaiy :jhanada:
hum sirf aik rahnuma ka intizaar kar rahay hain ju hum sub ko yakja karay
Lekin waissay apnee kaum ko mazboot rakna humara farz hain...
Masha Allah shadee ke waqt tho muje bohat pareshanee thee ke shayd muje aab adat phool ne chahyeh insaan saree umar tho Faris naheen rehsaktha.
Lekin muje apnee Begum aur uske handaan se bohat honsla mila aur wo muje par bohat khush hain akhir dunya ko maro goli apne aap ko kisee kilye naheen badalna..
Hum ko saab Allah ikatah honeh kee toufeeq dien.
Shayaad isee etefaak se humaree kaum mein aj na tho kaal koy Ma ka Lal rahunama hosaktha hain.
Lekin saab se pehley hume apne aap mein yeh mohabath aur jazbaat payda karnee hain.
M<erey Dost Allah tumharee mehnat kabool farmay aur ki din hum dunno ik dusreh ke saath purrey Pakistan ka chakkar karengay...
InshaAllah Faris .... but don't worry jub bhi koi aisa waqat aaya to tum daikhna tamam qoum akhtha ho kar muqabala karay gi ..... Mujhay yaqeen hay kah aik muslamaan kabhi jitna bhi deen say door ho jai aik waqat woh wapus aat hay aur dosroon say kaheen ziyada jazbay say Islama key khatir larta hay .......
Allah hum sub ko aik qoum key tarah jeenay key toufeeq day (ameen)
sunnno iss haftay ko hamara cricket match aik dafa phir Indians kay sath hay aur woh apni shikasat lainay kay liye bay chain hain aur hum unn kay zakhmoon par namak dallnay kay liye bay chain hain
InshaAllah mein to unn key kilyaan (wickets) kahr ka doon ga aur mairay chakkay to mashhoor hain … mein all rounder hoon aur yaqeen karo uss waqat bilkul maidan-e-jang ka saman hota hay jub hamara match hota hay … bangali umpire hotay hain aur unn baycharoon key hallat daikhnay walli hoti hain jub mabadoulat apeal mustarid honay par apni moochoon ko tao day kar unn key taraf khounkhwar nigahoon say ghortay hain