main pahli baar apnay bhai kay ghar ka floor # ko bhool gayee thee kal
mujhay fever tha bohat..aur bhook bhi lag rahee thee lunch jo skip kardia tha uski wajah sey deemagh kaam nahi kar raha tha.. (excuses )
aur iss wali kaifiyat ki wajah sey main bhool gayee kah meray bhai kiss floor par rahtay hain.. main 10th floor par jaa kar 1004 apt par knock karnay lagi…ek moti cheeni aunty nay door open kia..aur uski sher jaisi moti billi ko dekh kar main darr hi gayee..
phir waapis lobby main aai..mujhay laga kah 10th floor haunted hai.. sab kuch change lag raha tha..
jitni duain yaad theen sab parh daali, thori dari , thori ronay wali shakal horahee thee
5 times buzzer denay kay baad meri niece nay phone uthaya tab pata chala kah konsa floor hai
cheeni ki sher jaisi billi thee itni baree moti billi main nay kabhi apni life main nahi dekhi woh mujhay ghoor kay dekh rahee thee..usi ko tou dekh kar main darr gayee thee
raabika:mujhay daantaiN nahi pareen, kyun kah aisay kaam main roz roz nahi kartee bass sab logoN nay kaha “dania tum nay hadd kardi aakhir bhai kay ghar ka # nahi pata”
LP:yaar classes ka rasta tou main roz bhool jaati thee.. yahan colleges hi itnay bhool bhulaiyya type hotay hain.. phir ek nishani bana li tou ab aisa nahi hota