Zindagii Jab waabal !

Zindagii jab waabal hotee hai
Shairi bay me’sa’al hotee hai

tuj ko bhool or kisi janib daikay
dil ke kaab yeah majaal hote hai

hountt hain band kawa’ron ke terah
or Ankh .rus’wa’ay haaal hote hai

Ankh karta hoN band .mein jab’be
tuh muja’jism khayal hotee hai

Tujsay Bichara .tuh. dil yeh jana hai
Yaad bee kia janjaal hotee hai

Aysa Jag’ra kay Phir Reha na hoowa
kia Mohaabaat be Jaaal hote hai ?

Din tu bas Uljanon mein Kattah hai
Raat pur’saanay haal hotee hai

jo kay daik’ay bina he kee ja’ay
Woh mohaabat kamal hote hai

jaysay Tarpay hai machli bin pani
Hijir mein woh mesaal hote hai

Jab be hotee hai, tuj say baat mere
shaab woh shab’bay Visal hote hai

Suraatain rah gahein bas duniya mein
Seeraat tu khaaal khaal hotee hai

meree udasiyon mein bahar kay Rang
zindagii kyon Jamal kohtee hai ?

darj meltee hai joh in shairoon mein
Kafiyaat has’bay haaal hoteee hai

(Aliyish)

Re: Zindagii Jab waabal !

Cool… another good post aliyish :slight_smile:

Jab be hotee hai, tuj say baat mere
shaab woh shab’bay Visal hote hai

Very creative :k:

meree udasiyon mein bahar kay Rang
zindagii kyon Jamal kohtee hai ?

achaa khaasaa “hoti hai” kee zabardast girdaan jaa rahi thee, “khotee hai” kahaaN saY aa gayaa.. not that it loses the rythm, or qafiya but I would’ve liked to see “hotee hai” here as well …:slight_smile:

Re: Zindagii Jab waabal !

Dun worry abhee woh rkopra ata hoo ga:) woh kohta , kohtheee or Hotee sab english mein bara.bar translate karday ga:)

Re: Zindagii Jab waabal !

1st shair made me laugh :D

let me read the rest :P

Re: Zindagii Jab waabal !

very nice :k:

is shair mai kuch confusion hai

Aysa Jag’ra kay Phir Reha na hoowa
kia Mohaabaat be Jaaal hote hai

jagra fight?

or

jakra .. stuck? hmm ya jo bhi english hoti hai iski :smiley:

Re: Zindagii Jab waabal !

Its jaak'raa !

Re: Zindagii Jab waabal !

well if ya beamed on 1st verse , Tu ap ka bee haaal Ghalib wala hoga ' Mushkilaain itnii par.ee , muj pay kay asshaaan ho'gain .

Re: Zindagii Jab waabal !

zabarduat ghazal.....................
bohat achee lagee.........:)khaas tor par pehlashair is awesome:)

Re: Zindagii Jab waabal !

wah sahib... bohat achi ghazal hai
quoted shair achay hain aur bolded ones to bohat hi achay hain

Re: Zindagii Jab waabal !

Zindagii jab waabal hotee hai
Shairi bay me’sa’al hotee hai

nice :k:

Re: Zindagii Jab waabal !

Ankh karta hoN band .mein jab'be
tuh muja'jism khayal hotee hai

nice, Aliyish.
best,
Dushwari

Re: Zindagii Jab waabal !

jo kay daik'ay bina he kee ja'ay
Woh mohaabat kamal hote hai

nice. khobsuret ghazal :)

Re: Zindagii Jab waabal !

Mashallah Aliyish, you have quite a talent. Good post

Re: Zindagii Jab waabal !

*jo kay daik'ay bina he kee ja'ay *

***Woh mohaabat kamal hote hai* **

**sigh ...ker kay daykhee hay kabhi ya sirf misra zayhan main aya hay ?**

*duniya walay bewakoof kehtay hain aysay kamal pasandoon ko :- (*

Re: Zindagii Jab waabal !

^^ Aa'jeee ! Jii daikaa hai . mardaykha hai . hum nay sab kuch kar'daika hai ! Ghazal ka Akhri shair parlia hota tu sawal na phochtheen !

darj meltee hai joh in shairoon mein
Kafiyaat has'bay haaal hoteee hai

Aaadab arz hai !

Re: Zindagii Jab waabal !

Kia karhain , Tariq bahi . Is Aashiiqi mein tu Izaa.Tay SaadaaT bee ga'ee :)

Re: Zindagii Jab waabal !

Shukriya Hazraat . Wooh seeraat wala shair . Apnay app mein ek noha hai . Aj kaal log kuch zaida hee suuraat pasand ho chalay hain ! Ushi pay Tawaju or ushi ko banaya sanwaraa jata hai !

Re: Zindagii Jab waabal !

Thanks Dush :)

Shair kissi haad taak Momin khan momin kay us Shair say mu'tasir hai kay

Tum meray pass Hotay hoo GoYa
Jab kohi Dosra nahiii hoata

Re: Zindagii Jab waabal !

Shukriya . Agay bee parlain :) wooh bee guzaray laa.iq hain !

Re: Zindagii Jab waabal !

Thanks Kid :slight_smile: