Zindagi khawab-e-pareshaan say

http://i42.tinypic.com/luszb.jpg

Re: Zindagi khawab-e-pareshaan say

Ye bata tera bichaRne ka irada to nahin. wah uncle wah aunty :k:

Re: Zindagi khawab-e-pareshaan say

Pooch lena achha hota hai

Re: Zindagi khawab-e-pareshaan say

Baar baar poochna bichaRne ki targheeb bhi to deta hai

Re: Zindagi khawab-e-pareshaan say

Shayad woh uss say peecha churana chatee ho. isharay dey rahee hai

Re: Zindagi khawab-e-pareshaan say

Uncle kabhi kabhar yun bhi to hota hai ke hum jis se peecha chuRana chahte hain aur chuRa bhi lete hain, bad main pata chalta hai ke wohi zindagi main sab se ihm tha

Re: Zindagi khawab-e-pareshaan say

Subah subah itna falsfa? Bhai meray abhi toh mein nay nashta bhi nahin kiya, aisee statement koh kahan say hazam karun ga. :hmmm:

Re: Zindagi khawab-e-pareshaan say

Nashta karne ke bad bataiye ga. I’m serious :snooty:

Re: Zindagi khawab-e-pareshaan say

EB - whats with you and your liking for these feminist poetry :D

Re: Zindagi khawab-e-pareshaan say

bohat aala
it seems somthing missing like
hai ishaq magr itna zayada to nahi

Re: Zindagi khawab-e-pareshaan say

uncle ki naram dili aur kia?

Re: Zindagi khawab-e-pareshaan say

Qateel Shifai and Ahmed Nadeem Qasmi are not feminist. :D

Re: Zindagi khawab-e-pareshaan say

:crying: itni poetry

Re: Zindagi khawab-e-pareshaan say

isi statement ka nashta kar lein na!

Re: Zindagi khawab-e-pareshaan say

uncle ko heavy nashta mana hai :hehe:

Re: Zindagi khawab-e-pareshaan say

statement k 2 hissy kr lein na

Re: Zindagi khawab-e-pareshaan say

BichaRne pe Hazrat Joan Aliya ka ek shair yaad agya … kehtay haiN

Bohat Nazdeek aaTi ja’rahi ho
BichaRne ka Irada karlia kia

:hinna:

Re: Zindagi khawab-e-pareshaan say

:hmmm: Nazdeekiyan bichaRne ka sabab kab bunti hain?

Re: Zindagi khawab-e-pareshaan say

Jab nazdeekiyaN zaida hojain tu hum jayse kuch logh Bore hojate haiN :slight_smile: or phir bichaR jate haiN

Re: Zindagi khawab-e-pareshaan say

Matlab insaan un logon se bhi bore ho jata hain, jin ke bare main wo samjhta hai ke un ke bagher guzara nahin :(