zindagi aa, teray armaan badal kar daikhain

Re: zindagi aa, teray armaan badal kar daikhain

hmm…baat to sach hy magar baat hy ruswa`e ki…
**
Agar Hum Waqiaa Kam Hoslaa Hotay Muhabbat Mein
Marz Bharne Se Pehlay Dawa Tabdeel Kar Letay

Tumharay Sath Chalne Per Jo Dil Raazi Nahin Hota
Bohat Pehlay Hum Apna Faisala Tabdeel Kar Letay

Tumhari Tarah Jeenay Ka Hunar Aata to Phir Shayed
Makaan Apna wohi Rakhtay Pata Tabdeel Kar Letay

Judaai Bhi Na Hoti Zindagi Bhi Sahal Ho Jati
Jo Ek Dusray Se Masla Tabdeel Kar Letay

Bohat Dundlaa Geya Hai Yaadoon Ki Rim Jhim Mein Dil Saada
Woh Mil Jata To Hum Bhi Aaina Tabdeel Kar Letay.**