enter10
1
**zindagi aa, teray armaan badal kar daikhain
dil mai thhehra huwa mehmaan badl kar daikhain
aik ummeed ki surat mai mila hai koii
khaak ho janay ka imkaan badal kar daikhain
jiss ne bakhsha hamain pinddar, shanasaai ka
aaj hamm apni wo pehchan badal kar daikhain
meri aankhain bhi naye rung talab karti hain
ghar ka saara sar o saaman badal kar daikhain
wo jo harr baat ko halaat pe rakkh deta he
apnay andar ka wo insaan badal kar daikhain
meri dua to qabool hoti nahi hai ROOMI
mann k mandir ka hi bhaghwan badal kar daikhain…!**
Kinzz
2
Re: zindagi aa, teray armaan badal kar daikhain
Armano ka gala ghont ke unko mar dena chahiye.
LP
3
Re: zindagi aa, teray armaan badal kar daikhain
most do tht 
enter10
4
Re: zindagi aa, teray armaan badal kar daikhain
aisa krna zarori hota hy…?
enter10
5
Re: zindagi aa, teray armaan badal kar daikhain
hmm…baat to sach hy magar baat hy ruswa`e ki…
**
Agar Hum Waqiaa Kam Hoslaa Hotay Muhabbat Mein
Marz Bharne Se Pehlay Dawa Tabdeel Kar Letay
Tumharay Sath Chalne Per Jo Dil Raazi Nahin Hota
Bohat Pehlay Hum Apna Faisala Tabdeel Kar Letay
Tumhari Tarah Jeenay Ka Hunar Aata to Phir Shayed
Makaan Apna wohi Rakhtay Pata Tabdeel Kar Letay
Judaai Bhi Na Hoti Zindagi Bhi Sahal Ho Jati
Jo Ek Dusray Se Masla Tabdeel Kar Letay
Bohat Dundlaa Geya Hai Yaadoon Ki Rim Jhim Mein Dil Saada
Woh Mil Jata To Hum Bhi Aaina Tabdeel Kar Letay.**
LP
6
Re: zindagi aa, teray armaan badal kar daikhain
niceee :k:
