KKF
June 11, 2012, 3:58pm
1
salaam dosto,
kaise mizaaj haiN? ummed hai k ba_Khair hoNge.
aap logoN ne lafz-e-"MIZGAAN’ to bahooot paRhaa hogaa she’r o shaa’irii meN…magar bol chaal meN kam hii iste’maal kiyaa hogaa kiuN k ab yeh lafz itnaa raa’ij nahiiN hai.
achchhaa, ab zaraa yeh to bataaiye k lafz-e-“mizgaaN” ke baare meN aap kia jaante haiN? simply, tell us ALL you know about this word.
Good Luck N Happy maGhaz-maaring!
faqat Khaak-e-paa,
_______KKF
Restored attachments:
Re: zaraa bataaiye to sahii-2
Ye lafz to shayar apne aap ko padha likha sabit karne ke liye istemal karte hain
KKF
June 11, 2012, 4:05pm
3
Re: zaraa bataaiye to sahii-2
lol…yeh bhii Khoob kahii…magar, ziyaada tar ustaad sho’araa ‘paRhe likhe’ nahiiN the jaisaa k ham aajkal ‘paRhaaii likhaaii’ kaa matlab nikaalte haiN…no degree shigree!
TS
June 11, 2012, 4:26pm
4
Re: zaraa bataaiye to sahii-2
Khuda na kare keh aap khaak-e-paa hone lagein.
Aap ki jagah to hamaare saron par hei.
KKF
June 11, 2012, 4:32pm
5
Re: zaraa bataaiye to sahii-2
lol…mele/nahaan ke dauraan Indian Trains par musaafireen [in the unreserved lowest class of service] kaa chaRhnaa chaRhaanaa ek aisaa kaam hai jis meN kisii kaa sar kisii ke paauuN par to kisii kaa paauuN kisii ke sar pe honaa koii baRii baat nahiiN hai … is liye, Indian Railways ne station par yeh sign lagaayaa…
“sar pe chaRhnaa yaa chaRhaanaa saKht man’a hai”
TS
June 11, 2012, 4:33pm
6
Re: zaraa bataaiye to sahii-2
Iss lafz ke ista’maal ki koi misaal dein.
Re: zaraa bataaiye to sahii-2
Jab zabt-e-Gam dil pe na jaanaaN ko_ii rahaa
Motii sajaa liye hain sar-e-muzgaaN kabhi kabhii
Re: zaraa bataaiye to sahii-2
While reading some sherz and context of them, I’ve always strongly felt that Mizgan means eye lashes. I may be wrong though.
KKF
June 11, 2012, 4:38pm
9
Re: zaraa bataaiye to sahii-2
shaa’irii meN hotaa hai ziyaada…jaise Ghalib kaa yeh she’r:
chaahe hai phir, kisii ko muqaabil meN aarzoo
surma se tez dushna-e-miZgaaN kiye huye
KKF
June 11, 2012, 4:40pm
10
Re: zaraa bataaiye to sahii-2
eyelashes nahiiN bal k eyelid…palak …magar…eyelashes ke ma’nii meN bhii musta’mil hai.
in a way, both meanings are derived.
Re: zaraa bataaiye to sahii-2
Parveen Shakir ne kaha tha:
Baj Uthe Hawa Ke Daf Wajd Mein Kali Aayi
Zindagi Ke Mele Mein Raqs Ki Ghadi Aayi
Main Bhi Kitni Bholi Thi Ek Lutf-E-Mubham Par
Raqs-Gah Mein Gurgaabi Chhod Chali Aayi
**Chashm-E-Dil Ke Sab Aansoo Is Hawa Mein Khil Utthe
**Shaakhsaar-E-Mizgaan Par Rut Gulaab Ki Aayi
Iske Qabl Bhi Saaye Kab Qareeb Aaye The
Is Naye Safar Mein Bhi Kaam Dhoop Hi Aayi
Ab gurgaabi kia hai? Cindrella ki chappal ?
Re: zaraa bataaiye to sahii-2
uncle
eye lashes are palaken
eyelid is papotta
KKF
June 11, 2012, 4:44pm
13
Re: zaraa bataaiye to sahii-2
uncle
eye lashes are palaken
eyelid is papotta
papoTaa is a Hindi word…palak also means ‘eyelid’
MizgaaN ke asl ma’nii palak hai magar palak ba’ma’nii eyelashes ke bhii musta’mil hotaa hai…it’s an implied meaning.
Re: zaraa bataaiye to sahii-2
KKF ke liye uncle sun ke meri Mizgaan bheeg gai
Re: zaraa bataaiye to sahii-2
abhi abhi amad hui. mulahiza farmaiye:
bheegi jo mizgan-e-yaar to kajal nikal gaya
mascara jo tha laga, ansoon mein dhal gaya
KKF
June 11, 2012, 4:52pm
16
Re: zaraa bataaiye to sahii-2
gurgaabii vo jootii hotii hai jo sirf panjoN tak cover karti hai…
aisii, magar iskii sides izaafii haiN:
KKF
June 11, 2012, 4:56pm
17
Re: zaraa bataaiye to sahii-2
are janaab, kitnaa roiiyegaa? aaNsoo zaay’a na kareN…ab to log mujhe koi uncle to koi chachaa to koii baba kahne lagaa…kuchh aap log kareN yaa na kareN ek kaam to kar hii deN aur vo yeh k:
**ek 'adad chacha ke liye chachii, yaa uncle ke liye aunty yaa phir Baabaa ke liye ‘Bobby’ hii laa deN!!! **
abhi abhi amad hui. mulahiza farmaiye:
bheegi jo mizgan-e-yaar to kajal nikal gaya
mascara jo tha laga, ansoon mein dhal gaya
vwaah jii, waah! bahot Khoob! aapke to:
**dil ke armaaN aaNsuuoN meN bah gaye! **
Re: zaraa bataaiye to sahii-2
Lahola wala uncle
hamein ye beemari nahi he
KKF
June 11, 2012, 5:06pm
19
Re: zaraa bataaiye to sahii-2
miyaaN, hote der bhii nahiiN lagtii…baRii contagious beemaarii hai, lagne ke ba’d hii pataa chaltaa hai!
Re: zaraa bataaiye to sahii-2
ji hum ne beemari se pehle pre-emptive ilaj kar lya tha