Zara sahil pe aa kar wo jo thora muskura deta

**Zara sahil pe aa kar wo jo thora muskura deta
Bhanwar ghabra k khud mujh ko kinaray pr lga deta

Wo na ata magar itna to keh deta main Aaon ga
Sitaray, chand, Sara Aasman Raah me bicha deta

Khabar hoti agar ye jaal hai Qismat ki sazish ka
Lakirain apne hathon ki main usi lamhe mita daita

Shajar hota to Tera naam Patton par likh likh kar
Tmharay shehar ki janib hawaon me Urra deta…!**

Re: Zara sahil pe aa kar wo jo thora muskura deta

**Khabar hoti agar ye jaal hai Qismat ki sazish ka
Lakirain apne hathon ki main usi lamhe mita daita

Lakeeren mitane se agar qismat badalti to her koi apne hath kaat leta
**

Re: Zara sahil pe aa kar wo jo thora muskura deta

lakeerain qismat hoti tou jinke hath nahi unka kya ?

Re: Zara sahil pe aa kar wo jo thora muskura deta

Aap dono ny sahi kaha.........lykin
Log haathon ki lakirain daikh k kismat ka haal to bataty hyn na............?

Re: Zara sahil pe aa kar wo jo thora muskura deta

jhoot bolne pe pabandi kab se lagi.. pabandi to kal Karachi main bike chalane per hai.. Thanks to Pedaishi jhoota :hehe:

Re: Zara sahil pe aa kar wo jo thora muskura deta

**Wo na ata magar itna to keh deta main Aaon ga
Sitaray, chand, Sara Aasman Raah me bicha deta

****Shajar hota to Tera naam Patton par likh likh kar
Tmharay shehar ki janib hawaon me Urra deta...!

shair ne ziada hi lambi lambi chori hain
**

Re: Zara sahil pe aa kar wo jo thora muskura deta

Jhoot nhi hota…
Aap kis pay ja`ay gay…bus ki chhat pay/gate py latk kr…?ya

BMW…?

Re: Zara sahil pe aa kar wo jo thora muskura deta

kahan hai BMW

Re: Zara sahil pe aa kar wo jo thora muskura deta

BMW ki pauti hai meri paas :blush:

Re: Zara sahil pe aa kar wo jo thora muskura deta

Khila pila k jaldi bara kryn…

Re: Zara sahil pe aa kar wo jo thora muskura deta

kya naam hai us ka:faizy:

Re: Zara sahil pe aa kar wo jo thora muskura deta

bro k pass.........

Re: Zara sahil pe aa kar wo jo thora muskura deta

Cultus

beautifull..