Jo Utar K Zeena-E-Shaam Say
Tayri Chashm-E-Khush Main Sama Ga’ey
Wahi Jaltay Bujhtay Charagh Say
Mayray Bam-O-Dar Ko Saja Ga’ey
Yeh Ajeeb Khail Hay Pyaar Ka
Mainay Aap Daykha Yeh Mo’ajzaa
Jo Lafz Mayray Gumaa’n Main Thay
Woh Tayri Zubaa’n Pay Aa Ga’ey
Jo Geet Tum Nay Suna Nahee’n
Mayri Umer Bhar Ka Riyaaz Thaa
Mayray Dard Ki Thi Woh Daastaa’n
Jissay Tum Hansi Main Urra Ga’ey
Woh Charagh-E-Jaa’n Kabhi Jis ki Low
Na Kissi Hawa say Nigoo’n Howee
Tayri Baywafai Kay waswasay
Ussay Chupkay Chupkay Bujha Ga’ey
Woh Tha Chand Shaam-E-Visaal Ka
Kah Roop Tha Tayray Jamal Ka
Mayri Rooh Say Mayri Aankh Tak
Kissi Roshni Main Nahaa Ga’ey
Yeh Jo Bandagaan-E-Niyaaz Hain
Yeh Tamaam Hain Wahi Lashkari !!
Jinhain Zindagi Nay Aamaa’n Na Di
Tou tayray Huzaoor Main Aa Ga’ey
Tayri Bayrukhi Kay Diyar Main
Main Hawaa K Saath Hawaa Howaa
Tayray Aa’eenay Ki Talaash Main
Mayray Khwaab Chahraa Gunwaa Ga’ey
Tayray Waswasoo’n Kay Fishaar Main
Tayra Shaher- e- Rung Ujarr Gaya
Mayri Khwahishoo’n Kay Ghubaar Main
Mayray Mah-O-Saal-E-Wafa Ga’ey
Woh Ajeeb Phool Say Lafz Thay
Tayray Hont Jin Say Mahak Utthay
Mayray Dasht-E-Khwaab Main Door Tak
Koi Baagh Jaisay Laga Ga’ey
Mayri Umer Say Na Simatt Sakay
Mayray Dil Main Itnay Sawaal Thay
Tayray Paas Jitnay Javaab Thay
Tayri Ek Nigaah Main Aa Ga’ey
**AmjaD Islam AmjaD’s
^^~Zara Phir Say Kahna ~^^
**