Zara deyr main hai milna...

***Yeh Haseen Sham Apni
Abhi Jis Main Ghul Rahee Hay
Tiray Peyrahan ki khushboo
Abhi Jis Main Khil Rahay Hain
Mairay Khab Kay Shagoofay

Zara Dair Main Ufaq Par
Khilay Ga Koee Sitara
Tairee Simt Daikh Kar Woh
Karay Ga Koee Ishara
Tairay Dil Ko Aay Ga Phir
Kissi Yaad Ka Bulawa
Koee Qissa e Judaee, Koee Kaar e Namukammal
Koee Khab e Naashaguftaa, Koee Baat Kehnay Walee

Hamain Chahiaay Tha Milnaa
Kissi Ehd e Meharbaa’n Main
Kissi Khab Kay Yaqee’n Main
Kissi Aor Aasmaa’n Main
Kissi Aor Sarzamee’n Main
Hamay Chahiaay Tha Milnaa…***

Re: Zara deyr main hai milna…

very nice :k:

Also beautifully sung by Tina Sani :slight_smile: