Zamana Khush huwa deewaron pe saja ke mujhe

Re: Zamana Khush huwa deewaron pe saja ke mujhe

kia ye zamana khush huwa wala shair kisi qomi leader ke bare main hai?

Re: Zamana Khush huwa deewaron pe saja ke mujhe

Muhammad Ali Jinnah

Re: Zamana Khush huwa deewaron pe saja ke mujhe

Nahi mera dil kehta hai, unke ooper iss shair ka pehla misra nahin saje ga.. kisi corrupt leader per saje ga

Re: Zamana Khush huwa deewaron pe saja ke mujhe

lekin pehlay misra mein aisi koi ghalat baat zahir nahi ho rahi, kya ap ko pata hai ye kis leader kay baray mein hai?

Re: Zamana Khush huwa deewaron pe saja ke mujhe

pehle misre main azab e qabr ki baat hai, aur naik logon ke bare main acha gumaan rakhna chahiye. ye kisi corrupt party ke corrupt leader ka haal lagta hai

Re: Zamana Khush huwa deewaron pe saja ke mujhe

Zamana khush howa deewaron par saja kay mujhay

un ki tasveer ko hi deewaron par sajaya jata hai

Re: Zamana Khush huwa deewaron pe saja ke mujhe

aur mujhay azab e qabar nahi samajh a raha pehlay misray mein aisa kuch, agar ap ko aisa kuch lag raha hai plz is par roshni dalein aur akasi karein

Re: Zamana Khush huwa deewaron pe saja ke mujhe

shair hai:

Mian apni qabr main mahv e azaab tha lekin
zamana khush huwa deewaron pe saja ke mujh ko

matlab qabar ka haal murda janta hai.. hamari society main aajkal shahadat thok ke bhao bikti hai, lekin uss so-called shaheed ke sath aage kia ho raha hai, uski akkasi ki gai hai iss shair main

Re: Zamana Khush huwa deewaron pe saja ke mujhe

mein is ko is tarha say lay raha hon, jaisa ke insan apnay ap ko gunahgar hi tasavor karta hai, like "hum tu baray hi gunehgar hain" lekin chonkay ye shair kisi nay kisi kay liyay likha hai wo aisi baat kisi kay liyay nahi kar sakta, tu phir yaqeenan kisi aur leader kay liyay hoga

Re: Zamana Khush huwa deewaron pe saja ke mujhe

Nice.

Re: Zamana Khush huwa deewaron pe saja ke mujhe

usay yaqeen k main jaan day na paou ga
mujay ye khouf k roye ga azma kay mujay

Re: Zamana Khush huwa deewaron pe saja ke mujhe

yes, third shair :k: