yuuN tu har lamha teRi yaad ka bhojal guzra


MÙhb@t kÀ ÃnÒkhå SîÌSîÎã Hãï
KÆhî ý@$®Úb Káhï kîBàÎå H@ï

waaah bohaat kHoobbbbb

Keya baat hai
wesse Haalaa se yaad aaiya emri cHoTi si (piyaali shee) Bhateeji ka naam bhi Haalaa hai
wohi Chaand ka Haalaa

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**

Chando

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif

g kia baat hia sher ka mood keon nahi…kahin koi Geedar tu tu tu

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif


~pochteY ho wo kidheR gaya
daRd buN kaR
meRay dil maiN uteR gaya~

Bohat he khobsurat gazal hai thanks…

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

4 sharing


~pochteY ho wo kidheR gaya
daRd buN kaR
meRay dil maiN uteR gaya~

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

shukriaa Nikammi


**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**

shukria se kaam kia chalnay wala ap ki baqie ki gazalin kahan..

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


~pochteY ho wo kidheR gaya
daRd buN kaR
meRay dil maiN uteR gaya~

hehee yaar wo
maiN zara pareshaan tha aik dost ki kammi hai naa
wo nayaab hain na wo bechaari enter nahi ho paa rahi GS per unke nick ko patta nahi keya hogaiya hai to mujhe bohaat ajeeb sa mehsoos ho raha hoga keh wo bhi teen roz se koshish akr rahi hongi hamare saath shareek hone ki magar na aa paane ki wjaah se kitni bore ho rahi hongi?
unka Nick hi nahin mil rahaa Pak.org waalon ko wo jab bhi enter hone ki koshish karti hain to aa jaataa hai keh User not found
aaj mujhe unka email aaiya thaa to patta chala

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/frown.gif

hehee wesse allah na akre aapke saath ho, magar yaqeen kijyie, aap, chohaan bhai, chand chehra kissi ke satah bhi hotaa to mujhe afsoss hotaa

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

can you do something for her?

chalein amin koi ghazal aapko likh detaa hooN

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**

[This message has been edited by Tassneef (edited July 19, 2002).]

Sorry, your browser doesn't support Java(tm).
**dekh kar us haseen Paikar ko Nashaa saa aa gayaa Samandar ko

Dolti Dag-magaati si naao
pi gai aa ke saare Saagar ko

kHushk perhoN meiN jaan parhne lagi
dekh kar roop ke samandar ko

Behar pyaase ki justajoo meiN hai
hai Sadaf ki talaash gauhar ko

Koi to neem-waa dareechoN se
dekhe us rat-jage ke manzar ko

Aik dewi hai muntazir ‘FaarigH’
Waa kiye paT sajaaye mandar ko
**

ab aapke Img aur Kalaam ka Muntazir

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**

[This message has been edited by Tassneef (edited July 18, 2002).]

(nice img and shers)

tu ja raha tha loat k mahmaa'N ki tarha bikhRa huwa tha dil teRay samaaN ki tarha

kesay khiinchaY ye teeR k ye hai tu maiN be hooN
paywast hai ragoo maiN raG-e-jaaN ki tarha

ik chaap se thei raat kahiN jaaN k aa’s paas
dil neem wa rahaa daR-e-imkaaN ki tarha

jesaY tumaam jism maiN miti se bhaaR gaye
dukh be-Amma tha gaard k toofaaN ki tarha

likh hum ne dya aur img ap ka lay lea theek…cuz hamin aisa img nahi karna ata..i mean java wala


~pochteY ho wo kidheR gaya
daRd buN kaR
meRay dil maiN uteR gaya~

Koi baat nahiN
But aaapki Choicee bohaat hi acHi haai mashaallah

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

** Unko Shikwaa hai keh Hijr meiN kiouN Tarhpaiyaa saari raat
Jinki kHaatir Raat luTaa di, Chain na paiyaa saari Raat

Un ke AndeshoN meiN dil ne kaisse kaisse ghabraa kar
seene ke Deewaar-o-dar se Sar Takraiyaaa saari Raat

kHoob sajji YaadoN ki Mehfil, MehmaanoN ne taape Haath
Ham ne apnaa Koilaa Koilaa, dil dehkaiyaa saari raat

Un se Shikwaa kaisaa jinki Yaad ne beTh ke Pehloo meiN
saari Raat AankhoN meiN kaaTi, dard BiTayaa saari raat

Un se Shikayaat kis mounh se ho jin ke hoN Ehsaan bohat
Jinki komal Yaad ne dukhtaa dil sehlaiyaa saari raat

Gard-alood tha patta patta, kalli kalli kajlaai hui
TooT ke YaadeiN barsiN, har booTaa nehlaiyaa saari Raat

Rotey rotey seene per sar rakh ker so gai unki Yaad
Kon Piyaa thaa? kon Premi? Bhaid na paiyaa saari Raat

Wo Yaad aaye jinke Aaansoo they gHam ki kHaamosh kathaa
Mere saamne beTh ke roye, dukh na bataiyaa saari Raat

Wo Yaad aayye jinke Aaansoo ponchne waala koi na thaa
soojhey Nain dikhaye apne aur rulaiyaa saari Raat

Bachey bhookey giriyaaN tarsaaN, deepak ki Lo larzaaN larzaaN
KuTiyaa meiN Iflaas ke Bhoot kaa nachaa Sayaa saari raat

AuroN ke dukh dard meiN tu kiouN Na-Haque Jaan gaNwaataa hai
Tujhko, keya koi, beshak tarhpey MaaN kaa Jaayaa saari Raat

Subh-e-Saadiq per SideeqoN ka Imaan nahiN Dolaa
Andhi Raat ke ghor andheroN ne behkaiyaa saari Raat

RaatoN ko kHudaa se pyaar ki Lo aur Sub’ho ButoN se Yaaraane
Nadaan GaNwaa beThey din ko jo Yaar Kamayaa saari Raat **

itni acHi Ghazal hai keh bass likhte likhte mukammal hi likh gaiyaa

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif


**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**

thanks and bohat he achi likhi hai k ab is k leay itni tafseel wali kia gazal dhondhi jaiey…2 lufzooN main he

pichhalaa pahar thaa hijr ki shab kaa jaagtaa rab sotaa insaaN taaroN ki chaa'ooN meiN koi "Firaq" saa moti pirotaa thaa

and thanks 4 liking ma gazal ..

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


~pochteY ho wo kidheR gaya
daRd buN kaR
meRay dil maiN uteR gaya~

Nice Sher (my favorite Poet faraaz)Thanx
Shukriaa Nikaammi Saahibaa

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

** kon Rah-e-Firaaq se lauT ke phir naa aa sakaa
Kiss ke naqoosh reh gaye be-mahal parhey**


**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**

[quote]
Originally posted by Tassneef:
**

firaaq-e-diidaa huuN maiN vasl-e-yaar baaqi hai KhizaaN rasiidaa chaman ki bahaaR baaqi hai

~pochteY ho wo kidheR gaya
daRd buN kaR
meRay dil maiN uteR gaya~

yeh aapko Firaaq yaad agaiya ya aaagaiN ..KiouN

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/eek.gif

**Meri ChaahteiN meri Qurbatei jisse yaad aain qadam qadam
to wo sab se chup ke Libaas-e-shab meiN lipaT ke aah-o-bukaa kare

Kabhi taiy kare younhi soch soch meiN wo Firaaq ke Faasle
Mere peecHey Aaa ke dabbay dabbey meri AaankheiN mooNd hansaa kare**


**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**

a gaya nahi a gaayeen..

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif

firaaq-e-diidaa huuN maiN vasl-e-yaar baqi hai KhizaaN rasiidaa chaman kii bahaar baaqii hai

~pochteY ho wo kidheR gaya
daRd buN kaR
meRay dil maiN uteR gaya~

yeh aik hi sher klo dobaaraa ..
lagta hai badaam mehnge ho gaye HaiN

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/frown.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/teary3.gif

ye sara firaaq ne kaam kharab kia


~pochteY ho wo kidheR gaya
daRd buN kaR
meRay dil maiN uteR gaya~

To aap Firaaq ko bhgaaiN..wassal ko laaiN
maslaan aisse

**yeh na thi hamaari qismat ke wisaal-e-yaar hotaa
agar aur jeete rehte to yahi intezaar hotaa **

[quote]
Originally posted by Tassneef:
** To aap Firaaq ko bhgaaiN..wassal ko laaiN
maslaan aisse

yeh na thi hamaari qismat ke wisaal-e-yaar hotaa
agar aur jeete rehte to yahi intezaar hotaa **

[/quote]

teRay visaal k lamhaY shumaaR kaaartey huweY
bikhaR gaya hooN teRa intzaaR kaaartey huweY


~pochteY ho wo kidheR gaya
daRd buN kaR
meRay dil maiN uteR gaya~

waaaaah waaaah bohaat kHOOOb maazaa agaaiyaa
waah

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

Rahaa kHwaab mein unse Shab bhar Wassaal
mere bakHt jaage maiN soyaaa keyaa!!!

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif