yuuN tu har lamha teRi yaad ka bhojal guzra

Yeh bhi acHaa haai

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

**mujhe isske jawaab meiN kucH soojh hi nahi raha ..Lajawaaab

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

**

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif


**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**

hmmm Shaier ko lajawab nahi hona chahiey

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


~pochteY ho wo kidheR gaya
daRd buN kaR
meRay dil maiN uteR gaya~

kHer Mazrat ke saath

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

Fazaa sahih tallafuz hota hai na keh Fizaa

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

( mind na kijiyega)

chalein phir apni aik Nazm aap ki Nazar

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

Lajawaab nahi honaa chaiye

**

Bohat Sunsaan hooN maiN

Mere Shehr-e-Samaa’at meiN
kHamoshi kab se MehmaaN hai
Hawa ke Qeh’qahoN ki aik Muddat se
Koi Konpal nahiN phooTi
bata kis ki Udaasi ne
Tere Chehre pe youN SarsoN mali hai?
bata de keya huwa tujhko?
Hinaai Haath kiouN chupp haiN?
Udaasi apne HaathoN meiN lagaai kis liye tune?
Teraa Gajraa Hawaa-e-Shab se Sargoshi nahiN kartaa
Sabaa ne Peraahan NohoN ka tan pe Orh rakha hai
barhaa Arsaa huwa hai
Man ke Gulshan meiN
Teri AaahaT ki koi bhool kar Titli nahiN aai
Kalli koi nahiN ChaTki

Bohat Din se
mere Shehr-e-Samaa’at meiN
teri paayal nahiN boli
teri Choorhi nahiN cHanki**

(Poet = Tassneef)

[This message has been edited by Tassneef (edited July 15, 2002).]

Udaasi Ka Agarchay Aapna Koi Ghar NahiN Hota Magar Jab Bhi NigahooN MeiN GuzargahooN Ka SoonaPan Khatakta Hai Kisi Kay Aks MeiN Doobi Hoi AankhaiN Kabhi Jo BarishooN Ka Sath Daiti HeiN Safar Ki Shab AkailayPan Ka Geehra Rang Jab Veeran DehlizooN Ki Pheeki ZardiyooN Par Phail Jata Hay Musafir Ko Magar Phir Bhi Koi Pursa NahiN Daita Udaasi Teh’har Jati Hay!

btw i am mindless Nikami..is leay mind nahi karti

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


~pochteY ho wo kidheR gaya
daRd buN kaR
meRay dil maiN uteR gaya~

wowwwwwwwwww beautiful shair with beautiful img

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif


MÙhb@t kÀ ÃnÒkhå SîÌSîÎã Hãï
KÆhî ý@$®Úb Káhï kîBàÎå H@ï

Shukriaa Chaand Sahibaa ..Aaap hi se seekhaa hai

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

Thanx for both sikhaane ka bhi aur Passand karne ka bhi
Jazakkallah

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**

Nice Nikammi Sahibaa (Shukriaa mind na karne ka)

**

Dard ke rishtey ajeeb hotey haiN
koi in ki hadd nahi
or koi in ki taih(gehrai) nahi
ye zameeN or ye makaaN
ye qurbateiN
ye dooriyaaN
door tak bicHi ZameeN
or us pe phelaa AasmaN
dard ke RishtoN ke Aage in ki saari Wus’ateiN
Rait ke ik be-thikaanaa zarrey se ziyaadaa nahi**


**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**

[quote]
Originally posted by Tassneef:
** Nice Nikammi Sahibaa (Shukriaa mind na karne ka)

**

Dard ke rishtey ajeeb hotey haiN
koi in ki hadd nahi
or koi in ki taih(gehrai) nahi
ye zameeN or ye makaaN
ye qurbateiN
ye dooriyaaN
door tak bicHi ZameeN
or us pe phelaa AasmaN
dard ke RishtoN ke Aage in ki saari Wus'ateiN
Rait ke ik be-thikaanaa zarrey se ziyaadaa nahi**

**
[/quote]

tujhey kis dard ka rishta merey dar pe kheyNch laaya
tujhey kis ney keh diya tha merey paas har dawaa hey

par gila nahi hey tujh sey merey khaloos meiN hi kami hey
meiN ney jisey bhi dil sey chaaha usey laga ke wo khuda hey

meiN koi waaqeya nahi hooN mujhey is tarhaN na socho
meri daastaaN ko chorro bhala is meiN kya maza hey


~pochteY ho wo kidheR gaya
daRd buN kaR
meRay dil maiN uteR gaya~

Nice

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

and now my Favorite

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

Poori nahi Post kar rahaa kaafi lambi hai

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

**
Jo dard sisakte huwe HarfoN meiN Dhallaa hai
Shaayad keh yeh AagHosh-e-Judaai meiN pallaa hai

gHam deke kise Fikr-e-Mareez-e-Shab-e-gHam hai
Yeh kon hai jo dard meiN Rass ghol rahaa hai

Yeh kis ne mere dard ko jeene ki Tallab di
dil kis ke lyie Umr-e-kHizar maaNg rahaa hai

Har Roz haiN naye Fikr, har Shab haiN naye gHam
Yaa-Rabb yeh meraa dil hai keh Mehmaan-saraa hai

YaadoN ke Musaafir ho TammanaaoN ke Paikar
Bhar dete ho dil, phir bhi wohi aik kHalaa hai**


**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**

[This message has been edited by Tassneef (edited July 15, 2002).]

bohat he khoobsurat…plzz sari post kareN gaiN ap

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

yaadeiN chaliN Khayaal chalaa ashk-e-taR chale lekar payaam-e-shauq ka_ii naamabaR chale

dil ko sambhaalate raheY haR haadase pe ham
ab kyaa kareN ki Khud tere gesuu bikhaR chale

har gaam pe shikast ne yuuN hausalaa diyaa
jis tarah saath saath koi ham_safar chale

shauq-e-talab na ho koi baang-e-jaras to ho
aaKhir koi chale to kis ummiid par chale

ab kyaa karoge sair-e-chaman_zaar-e-aarazuu
rut jaa chuki chaRheY hue dariyaa utar chale

raahoN meiN

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/teary3.gif

sang baraste haiN haR taraf
lekar ye kaaravaan-e-tamannaa kidhar chale


~pochteY ho wo kidheR gaya
daRd buN kaR
meRay dil maiN uteR gaya~

ufffff ** janO and tasneef gi ** u both got great choice

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

keeeeep em coming guyz

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


MÙhb@t kÀ ÃnÒkhå SîÌSîÎã Hãï
KÆhî ý@$®Úb Káhï kîBàÎå H@ï

hehe aur aap kiouN baahir

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif

yeh to wo Hisaab huwaa..do PehalwaanoN ko larhaa diyaa aur kHud beThe tamaahsa dekhte haiN

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif

hamaara pseena nikal nikal raha hai lolzz


**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**

Nice Choice aur barhi assar-angez hai yeh ghazal main ne pehli amrtaba suni

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

**Lohe-JahaN pe harf-e-NumaiyaaN na ban sake
Ham jis jagah bhi jaa ke rahe Be-nishaan rahe

Itnaa to yaad hai keh jahaaN they Udaas they
yeh kis ko Hosh hai keh kahaaN they kahaaN rahe

Haal-e-Dil-e-kHaraab to koi na pa-saka
Chain-e-JabeeN se Ehl-e-jahaN bad-gumaaN rahe

AankhoN ne Raaz-e-Soz-e-DarooN to keh diyaa magar
Bazm-e-Tarab meiN HonT tabassum-kunaaN rahe

Mujhko jo dukh diye haiN nahiN tujh se kucH gilaa
Meri duaa yahi hai keh tu ShaadmaaN rahe

Apni to Umr rote kaTi hai per is se keya
Jaa, meri Jaan , teraa kHudaa PaasbaaN rahe

Ehsaas-e-Namuradi-e-dil Shoalaa sa uThaa
Ham JaaN Balab parhe rahe Aatish-bajaaaN rahe**


**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**

[This message has been edited by Tassneef (edited July 16, 2002).]

ufffff Chando g bus ap hamara sabar azmati rahna khud na kuch karna

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/frown.gif

…aik be sher ka reply nahi …(totey totey)


~pochteY ho wo kidheR gaya
daRd buN kaR
meRay dil maiN uteR gaya~

[quote]
Originally posted by Tassneef:
**


**Lohe-JahaN pe harf-e-NumaiyaaN na ban sake
Ham jis jagah bhi jaa ke rahe Be-nishaan rahe

Itnaa to yaad hai keh jahaaN they Udaas they
yeh kis ko Hosh hai keh kahaaN they kahaaN rahe

Haal-e-Dil-e-kHaraab to koi na pa-saka
Chain-e-JabeeN se Ehl-e-jahaN bad-gumaaN rahe

AankhoN ne Raaz-e-Soz-e-DarooN to keh diyaa magar
Bazm-e-Tarab meiN HonT tabassum-kunaaN rahe

Mujhko jo dukh diye haiN nahiN tujh se kucH gilaa
Meri duaa yahi hai keh tu ShaadmaaN rahe

Apni to Umr rote kaTi hai per is se keya
Jaa, meri Jaan , teraa kHudaa PaasbaaN rahe

Ehsaas-e-Namuradi-e-dil Shoalaa sa uThaa
Ham JaaN Balab parhe rahe Aatish-bajaaaN rahe**

**
[/quote]

V nice..ab is ka jawab hmmmm ...


~pochteY ho wo kidheR gaya
daRd buN kaR
meRay dil maiN uteR gaya~

haha to maiN ne konsaa jawaab diya thaa..aapni passandeeda Ghazal hi post ki thi agar jawaab nahi aataa to
sazaa ke taur per koi Img post karke Baat ka rukH badal deiN

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif

gg pata hia ap ne gazal mukamil ki hia aur jawab tu pahlay be nahi kah tha dainay ko ap ne but but o nikami he kia jo gazal aur sher ko dekhay aur jawab dye bina rah jaiey

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


~pochteY ho wo kidheR gaya
daRd buN kaR
meRay dil maiN uteR gaya~

nahiN gHazal Mukammal nahi ki
wohi likhne jaa raha athaa
Urdu meiN hai na wo Nazm to iss wajah se ussko Roman-urdu mein type karte huwe waqt lagegaa

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**

yeh lijyie mukammal Nazm

**Jo dard sisakte huwe HarfoN meiN Dhallaa hai
Shaayad keh yeh AagHosh-e-Judaai meiN pallaa hai
gHam deke kise Fikr-e-Mareez-e-Shab-e-gHam hai
Yeh kon hai jo dard meiN Rass ghol rahaa hai

Yeh kis ne mere dard ko jeene ki Tallab di
dil kis ke lyie Umr-e-kHizar maaNg rahaa hai

Har Roz haiN naye Fikr, har Shab haiN naye gHam
Yaa-Rabb yeh meraa dil hai keh Mehmaan-saraa hai

HaiN kis ke badan Des meiN paband-e-Salaasil
Pardes meiN ik rooh Giraftaar-e-balaa hai

Keya tumko kHabar hai Rah-e-Maulaa ke Aseero!
tum se mujhe ik Rishtaa-e-JaaN sab se siwaa hai

Aaa jaate ho karte ho Mulaaqaat Shab-o-Roz
Yeh Silsilaa-e- Rabt-e-Beham Subho Masaaa hai

Aye Tangi-e-ZindaaN ke sataaye huwe Mehmaan
Waa Chashm hai, Dil baaz, dar-e-Seenaa khula hai

Tumne meri Jalwat meiN naye Rang bhare haiN
Tumne meri tanhaaiyoN meiN saath diyaa hai

Tum chaandni RaatoN meiN mere Saath rahe ho
tum se hi meri Naqrai-Sub'hoN ki Ziyaa hai

Kis din mujhe tum yaad nahi aaye magar Aaaj
Keya Roz-e-Qayaamat hai! ik Hashar bapaa hai

YaadoN ke Musaafir ho TammanaaoN ke Paikar
Bhar dete ho dil, phir bhi wohi aik kHalaa hai

Seene se lagaa lene ki Hasrat nahiN miTti
pehloo meiN biThaane ki tarhap Had se siwaa hai

Ya Rab yeh Gadaa tere hi dar ka hai Sawaali
Jo daan milaa teri hi chokhaT se milaa hai

Gum-gashtaa Aseeraan-e-Rah-e-Maulaa ki kHaatir
Mudaat se Faqeer aik Duaa maaNg rahaa hai

Jis Rah meiN wo khoye gaye us Raah pe Gadaa aik
Kashkol liye chaltaa hai Lab pe yeh Sadaa hai

kHairaat kar ab inki Rihaai mere Aaaqaa!!!
Kashkol meiN bhar de jo mere Dil meiN bharaa hai

MaiN tujh se na maangooN to na maangooNga kissi se
Main teraa hooN , tu meraa kHudaa meraa kHudaa hai**


*Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
*

awwww jano gi naraz na hoye plzzz i told u na
ajka mera mood aheeeeem

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/french.gif

phir kyu totay totay :redface:


MÙhb@t kÀ ÃnÒkhå SîÌSîÎã Hãï
KÆhî ý@$®Úb Káhï kîBàÎå H@ï

[This message has been edited by chand_chehra (edited July 16, 2002).]