uss maseeha k naam jo mujhay zindagi ki raah dikha kar meri zindagi say farar ki raah dhoondh raha hai
yeh mera tujh say vaadaa hai
k jab tak iss jahan main
ek bhi jeevan baqi hai
woh jab tak saans laita hai
woh jab tak soch sakta hai
aur jab tak har khushi
aur fiqar ko mehsoos karta hai
yeh mera tujh sya vaadaa hai
k jab tak gulistaan main
akhri jo phool khilta hai
rahay ga shaakh pay jab tak
mehek phelayay ga apni
zameen say asmanon tak
falak k akhri taray ko
jab tak jagmagana hai
k jab tak lehlahatay khaiton ko
zindagi kay kaam ana hai
k jab tak haath iss qabil hain
k uthain duaon ko
k jab tak akhri badal
dharti pay barasna hai
k jab tak iss zameen pay
zeher ka taryaq mumkin hai
yeh mera tujh say vaadaa hai
k jab tak jism hai
aur jism main yeh jaan baqi hai
aur jab tak iss zameen par
aik bhi insaan baqi hai
hazaron meel lambay
faslay jo beech main ayen
to meri justujo in say bhi
bay dum nahi hogi
MOHABBAT KUM NAHI HOGI
MOHABBAT KUM NAHI HOGI