[QUOTE]
*Originally posted by Mirza Ruswa: *
Salaam Maah
kaisee hain aap?
Ghazal itni behtareen post ki hai k majbooran mujhay jawab post karna hi paRa.
Aap k intekhab ( of course i m talking about poetry) k hum hamesha se qayal thay ab woh yaqeen aur pukhta ho gaya.
issi zameen maiN ghaliban shakeel badyuuni marhoom ki baRi mashhoor ghazal hai uss ka maqta kuchh yuun hai:
Woh Uthay haiN lay k khumm o subbu Arey O Shakeel kahaN hai tuu
Tera jaam lenay ko bazm maiM koee aur haath baRhaa na day .
Saheb e ghazal yaani shayer saheb Mustahaq e midah thehray aur aap mustahaq e Shukriya. k aap k tawassut say inta umda kalam Parhnay ka moqa mila.
[/QUOTE]
salam Sham uncle kesay hain ap..aur kaha they ap itnay dino se any way welcome back......:)..aur sab theek hia na..:)
[QUOTE]
*Originally posted by Mirza Ruswa: *
Salaam Maah
kaisee hain aap?
Ghazal itni behtareen post ki hai k majbooran mujhay jawab post karna hi paRa.
Aap k intekhab ( of course i m talking about poetry) k hum hamesha se qayal thay ab woh yaqeen aur pukhta ho gaya.
issi zameen maiN ghaliban shakeel badyuuni marhoom ki baRi mashhoor ghazal hai uss ka maqta kuchh yuun hai:
Woh Uthay haiN lay k khumm o subbu Arey O Shakeel kahaN hai tuu
Tera jaam lenay ko bazm maiM koee aur haath baRhaa na day .
Saheb e ghazal yaani shayer saheb Mustahaq e midah thehray aur aap mustahaq e Shukriya. k aap k tawassut say inta umda kalam Parhnay ka moqa mila.
[/QUOTE]
Salaam Shaam Sahab,
Aaaj kafi arsay kay baad aapko dekha bohat acha laga,
Ummed qavi hai keh aap ke deedar hota rahay ga aur hum aap ki achi achi baaton say mustafeed hotay rahain gay. Aameeen
Was'Salaam
Amma mian sham o sehar
kaysay hain baray miaan ?
kam dhanda kaysa chal raha hai ?
aur aunty jaan kay jutay main kuch narmi aiye ya vohi pehlay jaysi sakhti aur karaghtagi pai jati hai…