yeh jo aarzuu-e-shikast hai kahiN qarz-e-jaan hi chukaa na de...

aAp kahin naswar to nai khatien ?

[QUOTE]
*Originally posted by superglue: *

aAp kahin naswar to nai khatien ?
[/QUOTE]

saro :p

http://www.stopstart.fsnet.co.uk/smilie/boozer.gif

http://www.stopstart.fsnet.co.uk/smilie/jump.gif

saro??? :confused:

[QUOTE]
*Originally posted by Paglee: *

salam Sham uncle kesay hain ap..aur kaha they ap itnay dino se any way welcome back......:)..aur sab theek hia na..:)
[/QUOTE]

Salaaam

Kiya arz karooN

baqol e shayer
Gau main raha raheen e sitam ha-i- rozgaar
lekin teray khayal say ghafil nahee raha

Kuchh mashghooliyaat safar ki theeN - kuchh mera laa - ubaali pan

aapki dua-On say sab kuch behtareen hai -

aap sunaa-iyay kiya haal ehwaal hain -

Mah ki post kii huee ghazal parh kar dil bay ikhtiyaar chaha k iss ghazal ko agar na saraha gaya to saheb e ghazal aur paishkarda e ghazal dono
say naa insaafi hogi.

khair kuchh bhi ho lekin aik baar phir gup shup par ehbaab say mulaqat to ho gayee.

aay dost kissi hum dum e daireena ka milna
behtar hai mulaqat e maseeha o khizar say.

nawazish

sham

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *

Salaam Shaam Sahab,
Aaaj kafi arsay kay baad aapko dekha bohat acha laga,
Ummed qavi hai keh aap ke deedar hota rahay ga aur hum aap ki achi achi baaton say mustafeed hotay rahain gay. Aameeen
Was'Salaam
[/QUOTE]

w/slaaam Mohtaram

Zarra nawazi hai aap ki

warna Man aanum k man daanum

Mamnoon hoon iss pazeera-ee k liyay.

sham

Salaam salaam salaam

yaani aap ko chen nahee yahaaN bhi maujood hain aur aab o taab k saath.

aap bhi issm e baa nusamaa hain “superglue”

har jagah chaspaaN hain aur aisay k chuRayay nahee chhortay :lol:

( jumla moa-tarizaa ho to khuwastgaar e muaafi)

khair saheb “UNN” kay jootay to hamaray hi khoon paseenay ki kamaee se khareeday jatay hain iss liyay hamen baRay azeez hain.
Raha sawal karakhtagi aur sakhti ka to sinf e nazzuk ki kissi bhi shay main agar yeah sifaat hoN to woh sinf e nazuk na hokar sinf e kirakht kehlayegee. ( jo hum aisay shayer mizaj ko bilkul qubuul nahee)

aur sunaa-iyay ( khari khari nahee) apnay ehwaal aur ehwaal e dostaaN

yahaN to pichlay dinoN Ravee ne safar par likha huwa thha
yaani
hum garm e safar garm e safar garm e safar hain
sadiyoN ki thakan kehtii hai aaraam hamain do.

duaa-oN ka talib
sham