yahii hua k hawa le gae uraa k mujy

yahii huaa ki hawaa le gayii uRhaa ke mujhe
tujhe to kuchh na milaa Khaak meN milaa ke mujhe

bas ek gooNj hai jo saath-saath chaltii hai
kahaaN ye chhoRh gaye faasale sadaa ke mujhe

chiraaGh thaa to kisii taaq hii meN bujha rahtaa
ye kyaa kiyaa ki havaale kiyaa, hawaa ke mujhe

ho ek adaa to use naam dooN tamanna kaa
hazaar raNg haiN is shola-e-hinaa ke mujhe

bulaNd shaaKh se uljha thaa chaaNd pichhale pahar
guzar gayaa hai ko_ii Khwaab sa dikhaa ke mujhe

hazaar baar khula zehan baadbaaN kii tarah
nukoosh-e-paa na mile umr-e-baad paa ke mujhe

maiN apnii mauj meN Dooba huaa jaziira hooN
utar gayaa hai samaNdar bulaNd pa ke mujhe

Re: yahii hua k hawa le gae uraa k mujy

:hehe:
MUQA KA LIAY KAM AAYA :blush:

Re: yahii hua k hawa le gae uraa k mujy

aur bataen.. ab main jaan ki amaan paon to shayari pe comment karoon :sid:

Re: yahii hua k hawa le gae uraa k mujy

:omg:

han ji :snooty:

Re: yahii hua k hawa le gae uraa k mujy

bulaNd shaaKh se uljha thaa chaaNd pichhale pahar
guzar gayaa hai ko_ii Khwaab sa dikhaa ke mujhe

kiya koi bhootni thi jo shaakh se latak kar :zobo: karti thi.

BTW zazira kia hota hai? :hmmm:

Re: yahii hua k hawa le gae uraa k mujy

nahi churail ne PARI BANNE KA SAPNA DEKH LIAY THA :cb:

orr koe hukm mery aqa ZAZIRA to gaya :hat:

Re: yahii hua k hawa le gae uraa k mujy

Jassi jaisi koi nahin drama dekha tha na? uss main Mona Singh cuRail se pari banene ki koshish karti hai

Re: yahii hua k hawa le gae uraa k mujy

PHIR KIA BANA USKA :bummer:

Re: yahii hua k hawa le gae uraa k mujy

phir wohi jo Indian soaps main hota hai. plastic surgery aur kia

Re: yahii hua k hawa le gae uraa k mujy

Bohat Khoob…:k:

Re: yahii hua k hawa le gae uraa k mujy

meri plastic surgery kesi lagi :cb:

TULSI KI WAPSI:devil:(AV)

Re: yahii hua k hawa le gae uraa k mujy

tulsi to darkht pe bethti to darakht toot jata.

Re: yahii hua k hawa le gae uraa k mujy

o hahha LOLZZZZZZ

sobho sobho me ese :blush:

:jazak: ALLAH APKO HAMESHA KHOSH RAKHEN AMEEN