ager shaeyri k thread main BAIT BAZI
ka thread khul sakta hay tou yaha
ganou yani songs ka aisa silsila
kioo nahi khula?
chaleay main start kerti hoo
maira gana jiss word pay khatum hou
ga next koee ussi word say start karay
tou ahum ahum…aaaaaaa
roothay hou tum tum ko kaisay manayoo peaya
bolo na`bolo na!!!
khushboo ban k ayoo
sansou main bas jayoo
kaisay tum ko manayoo!!!
roothay hou tum tum ko kaisay manayoo peayaa
bolo na bolo naaaa
BTW yaha abhi tuk diffrent thread main
hindi ganay hi gaey ja rahay hain
tou iss thread k leay kioo nahi
yaan pher doosaray thread main bhi log gana band ker dain…kia kheal hay…ya pher
koee next song yaha post kernay laga hay!!!
heheheh sabha jitna bhi khat likha
bouhut acha likha,waisay thanks yaar
support kernay ka,ha mujhay maloom
hay iss ko antaak-shiri Kahtay hain
lakin may urdu ka word dhoond rahi
thi wou nahi milla tou aisay bhi likh
dea,oh well urdu zubaan tou aisi hay
k her tarha ki zubaan ko apnay ander
samou laiti hay,iss leay i feel more
comfortable with urdu,
or haan yay baat sach hay k desimunda
hi ko yay thread shuroo kerna chaheay
lagta hay wou desi under baitha baitha
WELAYTEE hou gea hay
Yay lo yay say hazer hay,yay gana mujhay
iss leay pasand hay k main apnay nikaah
say pahlay jab ready hou k baithi thi tou
movie walay nay jou movie main back ground
gana dala hay wou yay dala hay,or yay gana
uss k hisaab say bara acha lagta hay
iss say pahlay k AZKER CHOUDHRY aa k yay
kahain k larki shadee ki batain mairay thread main hou gi lo gana hazer hay
yay samaaaaaaan
samaaaa hay yay peayar ka
kissi k intezaar ka
dil na chura lay kahee maira
mousam bahaar ka
Bhabho kya baat hai jee, pyaara song hai
abt. is forum ka Mod. mujhe to yeh bhi yaad nahin ke main ne kabhi ise 'dekha' bhi hai ya nahin, but jad tak sano dhnad want na pae assi khush
Noon se gana hazir hai, aur haan last word nahin use kerna kya??
Na na kerte pyaar tumhein se ker baithe
kerna tha inkar
magar iqrar tumhein se ker baithe
--Yey
[This message has been edited by sabah (edited May 18, 1999).]
ye duniya wale poochenge
mulakat huii, kya baat huii
ye baat kisise na kehana
ye duniya wale puchenge
ye aat agar koi pooche
kyoon nain tere jhook jate hain
ye kehana unki adat hain
ye nain yoo hi sharamate hain
tum logon se ye na kehana
saanwariya se lage naina
saawariya se laage naina.....
does anyone know the lyrics for this song? I think it is a Dev Anand one!
Main zindagee ka saath nibhaathaa chalaa gayaaa...
har fikr ko dhuae main udaathaa chalaa gayaa..
Barbaadiyon pe shok manaana fizool thaa , manaana fizool thaa...
barbadiyon ka jashn manaathaa chalaa gayaa..
har fikr ko dhuae main udaatha chalaa gaya...
[This message has been edited by queer (edited May 18, 1999).]
aeay hou mairi zindagi main tum bahaar ban k
mairay dil main yoon hi rahna !!!hi
mairay dil main yoon hi rahna tum peayar peayar ban k
aey hou mairi zindagi main tum bahar ban k
ankhou main tum basay hou sapnay hazaar ban k
mairay dil main yoon hi rahna tum peayar peayar ban k…