Yaad

Bhool kar zaat tumhaeN yaad kia,
Baat bay baat tumhaeN yaad kia.
Neend naraaz ho gaee hum say,
Hum nay jis raat tumhaen yaad kia.

niceeeeeeeeeeee


**
سكورپین کنگ
§©ö®Þïoñ_kîñg
**
Even If You Are Basically Stupid
You Can Still Meet Nice People !

very nice. farhet abbas ka ye bohat khobsurat sheir hai. thanks for sharing


mohabat aesa derya hai
k baarish rooth bhi ja a
to pani kum nahi hota!

Thanks SM and Mahee

BOHAT achha sher hae... hum jawaab mein kuch aisa kahein ge...

bin piyay nashay mein aaya houn
mein ne dekhee hein kitnee barsaatein
aaj bhi yaad ke jazeeron mein
raqs-farmaa hein saeNkarron raatein...


zindagi zinda billi ka naam hae...!

[quote]
Originally posted by Capricorn:

*Bhool kar zaat tumhaeN yaad kia,
Baat bay baat tumhaeN yaad kia.
Neend naraaz ho gaee hum say,
Hum nay jis raat tumhaen yaad kia. *

[/quote]

jis raat ko phiR dil ne tujhay yaad kia
usi raat inhi yaadooN se is wairaN dil ko abad kia


~pochteY ho wo kidheR gaya
daRd buN kaR
meRay dil maiN uteR gaya~

Neend Ko manao!!!

Beautiful

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/flower1.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

[quote]
Originally posted by NikamiJano:
**

jis raat ko phiR dil ne tujhay yaad kia
usi raat inhi yaadooN se is wairaN dil ko abad kia

**
[/quote]

Raat jal thal meree aankhon mein utar aaya tha
soorat-e-abr koi toot ke barsa hoga

[quote]
Originally posted by toh phir:
**BOHAT achha sher hae... hum jawaab mein kuch aisa kahein ge...

aaj bhi yaad ke jazeeron mein
raqs-farmaa hein saeNkarron raatein...

**
[/quote]

too mere saath chalta aur dunya dekhtee
raat ko sooraj na dhalta aur dunya dekhtee..

bas ek khwab ne neendein nachor leen apnee!
sama gaya meree nas nas mein dar woh aisa tha…

Why msukuraing? meree neend uree aur aap number barhane ke chakkar mein?

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif

bohat khoon

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

aur jab yaad ki bujhtee huee shammoN mein nazar aaya kaheen
aik pal, aakhree lamha teree dildaaree ka
dard itna tha keh iss se bhi guzarna chaha
hum ne chaha, magar dil na ttheharna chaha (faiz)


zindagi zinda billi ka naam hae…!

Tujhe ruswaee ka dar hai na aaya kar
bichar jana hee behtar hai na aaya kar…

abb ke bicharr ke uus ko nadaamat thee iss kadar
jee chahta bhi ho toh palatt kar na aa-ay ga
mein jaan-ba-lub houn tark-e taal’uk ke zehr se
woh muutmaeen, ke harf toh uss par na aa-ay ga


zindagi zinda billi ka naam hae…!

very Nice cap

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

khud apne liye beth kar sochay gay kisi din
yo hai ke tujhay bhool kar dekhay gay kisi din


~~~~~~~~
phiRa aj haq kaliye jaa’N fida karay koi
wafa bhi jhooM uthay yo wafa karay koi
nimaaZ 14 sadi se hai muntaziR logo|
HussaiN ke tarha aye ada karay koi
~~~~~~~~~

~~Experience is the worst teacher; it gives the test before presenting the lesson.~~*

Kabhee to muheet-e-hawas tha’ so na raha
mein tere bagahir udas tha’ so na raha…

terey saath gae wo ronaq
ab is sheher may kya rakha hai

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


mohabat aesa derya hai
k baarish rooth bhi ja a
to pani kum nahi hota!

bichrray woh ik adaa se keh rut hee badal gaee
ik shakhhs saaray shehr ko veeraan kar gyaa


zindagi zinda billi ka naam hae…!

[quote]
Originally posted by toh phir:
** bichrray woh ik adaa se keh rut hee badal gaee
ik shakhhs saaray shehr ko veeraan kar gyaa

**
[/quote]

ik shakhhs saaray shehar ko veeraan kar gyaa
neendiaN meRi uRa k mujhay he preshaN kar gaya


~pochteY ho wo kidheR gaya
daRd buN kaR
meRay dil maiN uteR gaya~