yaad

HH g nay naye topic keleye kaha tha, kion na nya topic “yaad” ho jaye

shair hazir hay

yaad tum ik din karoge mohabat kay zamany ko
chalain jain gain hum jiss din kabhi wapis na any ko


tumharii yaad mien hum ne duniya bhula dii
tumhien bhool ker bhee hum na yaad aye

wah nice

Gaya wo jub say tabiyyat udaas rehti hay
ik uski yaad hay jo merey pass rehti hay

kiya tha tark-e-talluq to soch ker hum nay
mager dilon main abhi tuk bharas rehti hay

thankyou :)

yaadon ka ik jhonka aaya hum se milne barson baad
itna roye pehle na thay jitna roye barso`n baad

naa thaa shaer sae koi waastaa, naa thaa shairie sae maen aashnaa
teraay dard neh, terie yaad neh, mujhaay shaer kahnaa sikha diyaa

^ nice..:k:

*kub yaad mein tera saath nahi kub haath mein tere haath nahi sud shukR k apnii raato`n mien ab hijR ki koii raat nahi *

zabar10

apni tanhai mere naam pe abaad kare
kon hoga jo mujhe us ki tarah yaad kare


*
is shehR mien kitnay chehre thay kuch yaad nahi sub bhool gaye
ik shaks kitabo`n jaisa tha wo shaks zubanii yaad howa*

maktabe ishq ka dastoor nirala dekha
oos ko chutti na mili jis nay sabaq yad kia

*

~Qateel~ mujh ko burra us ne keh bhee diya tu kia
yehii boht hai wo yaad tu ker raha tha*

aaj duniya nay woh sitam dhaye k dil toot gya
teri batin tera andaz-e-wafa yaad aya

*
gira hai toot ker shayad merii taQdeer ka tara
koii awaz aatii hai shikast-e-jaam se pehle
na janay kio hamien us dum tumharii yaad aatii hai
jub ankho`n mien chamaktay hien sitaray shaam se pehle*

wah wah

kash hum tujh ko mana letay na janay detay
muddaton bad ye ehsas-e-khata yaad aya

*
sans lene ki fursat kahan thee ~ada~
yaad aanay ko wo yaad aatay rahay*

hum hi mai thi koi baat yaad tumko na aa sakay
tumnay humko bhula deya hum tumko na bhula sakay


* jala dala mujhe maarnay k baad us ne
k merii yaadien usse mazaar tuk na le ayein*

dard ka toofan tujhay ik din baha lay jaye ga
yaad k khooni bhanwar main bay sabab utra na kar


hathelii se ponch ker sub aansoo` dekhna ik din
phir yaad na kabhi aanay dien ge hum tujhe

nice

kash kay duwa'oon mai itna asar ho jaie
kay hum ussay yaad kurain aur ussay khabar ho jai


yaadon ki aag mien merii ankhien sulag utheen
raato
n ko sochne ki aadat na thee mujhe
shayad wo mere ishQ ki inteha hee thee
k tere hum-safaR se raQabat na thee mujhe