yaad aya

[FONT=Lucida Handwriting, Cursive]**Aaj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya..

Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya..

Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya..

Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya…

Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
aaj jab dil nay bulaya tu bohot yaad aaya…

Mere jevan ki her khushi main wohi tha bus
aaj jab yaad woh aaya tu bohot yaad aaya…**

Re: yaad aya

nice ghazel , its really killer one

:kaboom: :rotfl:

yaad aya

Aaj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya..
Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya..
Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya..
Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya...
Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
aaj jab dil nay bulaya tu bohot yaad aaya...
Mere jevan ki her khushi main wohi tha bus
aaj jab yaad woh aaya tu bohot yaad aaya..... :(

Re: yaad aya

thanx to fring at my ghazal

Re: yaad aya

**mann ki pyas meray mann say na nikleee

Aysaaay turpoo gaaay jasay jal bin machlii

Payal anhaayy baraaaay ghangrooo roeee sang sang meraay **

kyaaa samajhee , kush samajh ayaa ya naheee

Re: yaad aya

nice one lagta ap ko ye bohat achi lagi is leay 2 dafa :p

Re: yaad aya

Very nice stuff Ghazal. Thanx for posting. By the way, I merged your two threads of same ghazal :slight_smile:

Re: yaad aya

thanx to like it amal ya err ki wajha say 2 times sent hogey the :(

Re: yaad aya

Nice stuff ghazel Sis :)

Re: yaad aya

yeah- sometimes i hate yadein....

Re: yaad aya

bouhat achay… :k:

Re: yaad aya

Dil dharakne ka sabab yaad aaya
wo teri yaad thi ab yaad aaya

aaj mushkil tha sambhalna ay dost
tuu museebat main ajab yaad aaya

din guzarta tha barhee mushkil se
phir tera vaada-e-shab yaad aaya

haal-e-dil ham bhi sunaate lekin
jab vo ruqsat hu ae tab yaad aaya

baeth kar saaya-e-gul main Nasir
ham bohat roye vo jab yaad aaya

By: Nasir Kazmi

Re: yaad aya

hmmm u hate yadien dont b sad and hate becoz yadien just yadien we cant do any thing

Re: yaad aya

thanx dear to like it

Re: yaad aya

that,s very nice too

Re: yaad aya

Bhulaa ta laakh huun lekin baraabar yaad aate hain
Elaahi tark-e-ulfat per wo kyu kar yaad aate hain

Na cheyrh ay ham nasheen kaifiyat-e-sahbaa ke afsaane
Sharab-e-bekhudi ke mujhko sagar yaad aate hain

nahee aati tu yaad unki maheeno'n bhar nahee aati
magar jab yaad aate hain tu aksar yaad aate hain

Haqeeqat khul gaee Hasrat tere tark-e-mohabat ki
tujhe tu ab wo pehle se bhi barhkar yaad aate hain

By: Hasrat Mohani

Re: yaad aya

wah abbas bhai zaberdast kyun na hoon jay kuch or shar yadoon per

Re: yaad aya

Phir mujhe deeda-e-tar yaad aaya
dil jigar tashna-e-faryaad aaya

dum liya tha na qayamat ne hanuuz
phir tera waqt-e-safar yaad aaya

zindagi yun bhi guzar he jaati
kyu tera raah guzar yaad aaya

koee viraani see viraani hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aaya

aah wo jurrat-e-faryaad kahaan
dil se tang aake jigar yaad aaya

By: Mirza Ghalib

Re: yaad aya

wow it,s really zaberdast bhe app key pass to yadoon ka khazana hey carry on

Re: yaad aya

**
[quote=twin_born]
mann ki pyas meray mann say na nikleee **

Aysaaay turpoo gaaay jasay jal bin machlii

Payal anhaayy baraaaay ghangrooo roeee sang sang meraay \quote]
ye to wohi baat ho gai kay
Ikhtiyarre tabbasum ki lau ko tarranume numayish se aghaa dena...
Jo iska matlab samajh aaye to please mujhe bhi bata dena....