Inhi RastoN ne jin per kabhi gaamzan the hum
Mujhe rok rok kar poocha tera humsafar kahan hai.
Re: Word of the Week (Humsafar)
Don’t kill me ![]()
Re: Word of the Week (Humsafar)
mai apni socho main
khiyaloo main
waqat ke sath chal para
mere sath kuch khawab thay
kuch rastoo ke azaab thay
kuch manziloo ki cha'ah thi
kuch dil mai mere wafa bhi thi
waqat kat'ta giya
or mai chalta reha
rafta rata sab se bicharta reha
nah wapsi ka rasta
nah paye koi mazil
mera humsafar hai
aaj bhi mera
ISHAK-E-LA'HASIL
Re: Word of the Week (Humsafar)
i think humnawai shuld've been the word instead! :D
Re: Word of the Week (Humsafar)
mujhe apne zabt pe naaz tha, sar-e bazm raat ye kiya howa
meri aankh kaise chalak gai, mujhe ranj hay ye bura howa
meri zindagi k charagh ka ye mizaaj koi naya nahi
abhi roshni abhi teergi, na jala howa na bujha howa
mujhe jo bhi dushman-e jaa.n mila, wohi pukhta kaar-e jafa mila
na kisi ki zarb ghalat pari na kisi ka teer khata howa
mujhe aap kiyu na samajh sake, kabhi apne dill sey bhi pocheye
neri dastaan-e hayaat ka tu waraq waraq hay khula howa
jo nazar bacha k guzar gay merey saamne sey abhi abhi
ye mery hi shehr k log they, merey ghar sey ghar hay milaa howa
humain is ka koi bhi huq nahi k shareek-e bazm-e kholoos hon
na humarey paas naqaab hay, na kuch aastee.n main chupa howa
merey aik gosha-e fik’r main, meri zindagi sey aziz tar
mera aik aisa bhi dost hay, jo kabhi mila na juda howa
mujhe ik gali main para howa, kisi badnaseeb ka khat mila
kahee.n khoon-e dill sey likha howa, kahee.n ansoo.n sey mita howa
**mujhe hum-safar bhi mila koi tu shikasta haal meri tarha
kai manziloo.n ka thaka howa, kahee.n raaste main luta howa
**
humain apney ghar sey chaley howe, sar-e raah um’r guzar gaii
koi justuju ka sila mila, na safar ka huq hi ada howa
Re: Word of the Week (Humsafar)
*Humsafar ban ke hum saath hain aaj bhii
phir bhii hai ye safar ajanabii ajanabii
raah bhii ajanabii mor bhii ajanabii
jaayen hum kidhar ajanabii ajanabii *
Re: Word of the Week (Humsafar)
Mujhay yaad koi dua nahi, Meray humsafar abhi soach lay
Tu meri jabeen pay likha nahi, meray hum safar abhi soach lay
Abhi rasta bhi hai dhool main, abhi faida bhi hai bhool main
Abhi mujh ko tujh say gila nahi, meray hum safar abhi soach lay
Main janam janam say naraz hoon, main janam janam say udas hoon
Main kabhi bhi khul k hansa nahi, meray hum safar abhi soach lay
Tu hai khawab khawab pukarta, meri ankh main nahi ashk bhi
Main k mudatoon say jiya nahi, meray hum safar abhi soach lay
Tujhay khushboon ki hai arzoo, tujhay roshni ki hia justujoo
Main hawa nahi, main diya nahi, meray hum safar abhi soach lay
Tujhay ansoon ko pata nahi, tujhay rutjagoon ka gumaan nahi
Tujhay is say aagay pata nahi, meray hum safar abhi soach lay
Kaheen chhoot sakta hai darmiyaan, na zameen milay ge na aasmaan
Tujhay raasatoon ka pata nahi, meray hum safar abhi soach lay
Mujhay dhondta hi phiray ga tu, na jiye ga roz maray ga tu
Main kabhi bhi ghar pay mila nahi, meray hum safar abhi soach lay
Kahoo ! Loutna hai kabhi yahan, mera dard sun meray meharbaan
Meray pass waqt zara nahi, meray hum safar abhi soach lay
Re: Word of the Week (Humsafar)
mere chaara gur
mere dard ki tujhey kia Khabar
tu mere safar ka shareek hai
nahi humsafar
mere chaaragur, mere chaaragur
tere haath se mere haath tak
voh jo haath bhar ka tha fasla
kai mausamoon maiN badal gaya
isey naaptey, isey kaaTtey
mera sara waqt nikal gaya
nahi jis pay koi nishan-e-paa
mere samney hai voh rehguzar
mere chaaragur
mere dard ki tujhey kia Khabar
yeh jo raig-e-dasht-e-faraq hai
mere raastooN maiN bichey hoey
kisi maud pay yeh rukey kaheen
yeh jo raat hai mere chaar soo
magar iski koi sehar nahi
na he chaahooN hai na samar koi
main nay chaan dekha shajar shajar
mere chaaragur
mere dard ki tujhey kia Khabar
Re: Word of the Week (Humsafar)
Mujhe maaf kar maire humsafar ...Tujhey chahna meri bhool thee
Re: Word of the Week (Humsafar)
tmhe akal kab ayiee gi .. ![]()
![]()
Re: Word of the Week (Humsafar)
tere badan se jo chhoo kr idhar bhi ata hai
misal e rang wo jhonka nazar bhi ata hai
tamam shab jahan jalta hai ik udaas diya
hawa ki raah me ik aisa ghar bhi ata hai
wo mujhko toot k chahay ga , chhor jaye ga
mujhe khabar thi usse ye hunar bhi ata hai
** ujaar bann me utarta hai ik jugnoo bhi
hawaa k sath koi hamsafar bhi ata hai **
wafa ki kon c manzil pe usne chora tha
k wo to yad humain bhul kar bhi ata hai
jahan lahu k samandar ki hadd theherti hai
waheen jazeera lal o guhar bbhi ata hai
chalay jo zikar farishto ki parsaayi ka
to zer e behes maqaam e bashar b ata haii
abhi sinaan ko sambhalay rahain adoo mere
k in safon me kaheen mera sarrr b ata hai
kabhi kabhi mujhe milnay bulandiyo se koi
shuwaa e subh ki soorat utar b ataa hai
esi liye me kisi shab na so saka mohsin
wo maahtaab kabhi baaam per b ataa hai
Re: Word of the Week (Humsafar)
Koi Kaisa HuMsafar Hai Ye Abhi Se Mat Batao,
Abhi Kya Pata Kisi Ka Ke Chali Nahi Hai Naao,
Ye Zaroori To Nahi Hai Ke Sada Rahein MarasiM,
Ye Safar Ki Dosti Hai Ise Rog Mat Lagao,
Mere Chaara-Gar Bahut Hai Ye Khalish Magar Hai Dil Mein,
Koi Aisa Ho Ke Jisko Ho Azeez Mere Ghaao,
TuMhe Aayena-Gari Mein Hai Bahut KaMaal Haasil,
Mera Dil Hai Kirchi Kirchi Ise Jod Kar Dikhao,
Koi Qais Tha To Hoga, Koi Kohan Tha To Hoga,
Mere Rang Mukhtalif Hai Mujhe Unse Mat Milao...
(Aitbar Sajid)
Re: Word of the Week (Humsafar)
Koi Kaisa HuMsafar Hai Ye Abhi Se Mat Batao, Abhi Kya Pata Kisi Ka Ke Chali Nahi Hai Naao,
Ye Zaroori To Nahi Hai Ke Sada Rahein MarasiM, Ye Safar Ki Dosti Hai Ise Rog Mat Lagao,
Mere Chaara-Gar Bahut Hai Ye Khalish Magar Hai Dil Mein, Koi Aisa Ho Ke Jisko Ho Azeez Mere Ghaao,
TuMhe Aayena-Gari Mein Hai Bahut KaMaal Haasil, Mera Dil Hai Kirchi Kirchi Ise Jod Kar Dikhao,
Koi Qais Tha To Hoga, Koi Kohan Tha To Hoga, Mere Rang Mukhtalif Hai Mujhe Unse Mat Milao...
(Aitbar Sajid)
Wah wah!
Re: Word of the Week (Humsafar)
Gaye dinon ka suragh lay ker kidhar say aya kidhar gaya wo
Ajeeb manoos ajnabi tha mujhay to heraan ker gaya wo
Bus aik moti si chhub dikha ker bus aik meethi si dhun suna ker
Sitara e shaam bun kay aya barang e khaab e sahar gaya wo
Khushi ki rut ho ke ghum ka mausam nazar usay dhoondti hai her dum
Wo boo e gul tha ke naghma e jaan meray to dil main utar gaya wo
Na ab yaadon ka charhta darya na fursaton ki udaas berkha
Yunhi zara si kasak hai dil main jo zakm gehra tha bhar gaya wo
Kuch ab sambhalnay lagi hai jaan bhi badal chala rung aasmaan bhi
Jo raat bhaari thi tul gai hai jo din kaRaa tha guzar gaya wo
**Shikasta paa rah main khara hoon gaye dinon ko bula raha hoon
Jo qafla mera humsafar tha misaal e gard e safar gaya wo
**
Hawas ki bunyad per na Thehre kisi bhi umeed ka gharonda
Chali zara si hawa mukhalif Ghubar bun kay bikhar gaya wo
Bus aik munzil hai bu alhawas ki hazar rastay hain ehl e dil kay
Yehi to farq hai us main mujh main guzar gaya main Theher gaya wo
Wo mekaday ko jaganay wala wo raat ki neend uranay wala
Yeh aaj kia us kay jee main aai ke shaam hotay hi ghar gaya wo
Wo jis kay shaanay pe haath rukh ker safar kia tu nay manzilon ka
Teri gali say najaanay kyun aaj sur jhukaaye guzar gaya wo
Wo hijr ki raat ka sitara wo hum-nafs hum sukhan hamara
Sada rahay us ka naam pyara suna hai kul raat mer gaya wo
Wo raath ka benawa musafir wo tera shaair wo terra Nasir
Teri gali tuk to hum nay dekha tha phir najanay kidhar gaya wo
(Nasir Kazmi)
Restored attachments:
Re: Word of the Week (Humsafar)
Teri Nigah Ke Jaadoo Bikhartey Jate Hain
Jo Zakhm Dil Ko Miley The Wo Bhartey Jate Hain
Tere Baghair Wo Din Bhi Guzar Gaye Akhir
Tere Baghair Yeh Din Bhi Guzarty Jate Hain
*Liye Chalo Mujhe Dariya-E-Shauq Ki Maujon!
Ke Humsafar To Mere Paar Utartey Jate Hain
*
Tamam Umr Jahan Hanstey Kheltey Guzri
Ab Us Gali Mai Bhi Hum Dartey Dartey Jate Hain
Mai Khuwahishon Ke Gharondey Banaaye Jata Hun
Wo Mehnatein Meri Barbaad Kiye Jate Hain
(Nasir Kazmi)
Re: Word of the Week (Humsafar)
Humsafar Banke Hum Saath Hain Aaj Bhee
Phir Bhee Hai Ye Safar Ajnabi Ajnabi
Raah Bhee Ajnabi Mod Bhee Ajnabi
Jaayen Hum Kidhar Ajnabi Ajnabi
Zindagi Ho Gayee Hai Sulagta Safar
Door Tak Aa Raha Hai Dhuaan Sa Nazar
Jaane Kis Mod Par Kho Gayee Har Khushi
Deke Dard-e-jigar Ajnabi Janabi
Humne Chun Chun Ke Tinke Banaaya Tha Jo
Aashiyaan Hasraton Se Sajaaya Tha Jo
Hai Chaman Mein Wahi Aashiyaan Aaj Bhee
Lag Raha Hai Magar Ajnabi Ajnabi
Kisko Maaloom Tha Din Ye Bhee Aayenge
Mausamon Kee Tarah Dil Badal Jaayenge
Din Hua Ajnabi Raat Bhee Ajnabi
Har Ghadi Har Pahar Ajnabi Ajnabi









