[thumb=B]ansoo_aur.JPG[/thumb]
buhat khoob :k:
Gin gin taaray langdeyaan raataan
Sanpaan waangar dangdeyaan raataan
Ranjha takht hazaaraan bhuleyya
Bhulleyya naee par chand deyyan raataan
Ankheyyan wich jag raatay rehnday
Sooli uttay tung deyyan raataan
Haur kisay wal jane na dewaan
Apne rang wich rang deyyan raataan
Mainu tay samajh na aaway
Aayeyyan kairay dhang deyyan raataan
Bari nigah nou yaad naee mainu
Hun khabray ki mangdeyyan raataan
Ek roz yunhi
bethay bethay
ek lamhay ko socha mein ne
khud ko tum bin dekha mein ne
such maano tu mere dil say
mere jeewan ke sab lamhay
us lamhay ki pehchaan
abhi tak maangtay hain
Woh lamhay yaad ate hain mujhe har pal
Tera dilnasheen chehra yaad ata hai
Tera woh rothna aur muskurana yaad ata hai
Teri ek ek ada mujh ko nazar ati hai khwaboon mein
Tera woh jhomna aur khil-khilaana ab bhi yaad ata hai
Na milne ki shikayat karna
Phir tera shab bhar khafa rehna
Zara si baat per rona aur phir aansoo bahana yaad ata hai
Woh shaam ka lamha suhaana ab bhi
Aksar yaad ata hai
Tum laut aoge chalo hum maan lete hain ke
Yeh wakt e judai hai magar yeh bhi tu mumkin hai
Ke yeh wakt e judai ho Ta'aluq tarq kar dena
Tumhein aasaan lagta ho magar na ho
Naye manzil ki jaanib ka safar aasaan sahi lekin
Jisay ab chaahtay ho woh qareeb e jaan sahi lekin
Jo undekhi si ek zanjeer pairoon mein pari hai us ka kya hoga
Ussay tum tor saktay ho? bhula saktay ho woh lamhay?
Woh lamhay jinhain tum zeest ka hasil samajhtay thay
Ke mere lams ko wajh e sukoon e dil samajhtay thay
Meri tasveer ko locket mein rakh kar
Dil ki har dharkan sunaatay thay
Mere khat chup ke parhtay aur parh kar muskuratay thay
Kya woh sab jhoot thaa?
Hargiz nahee kyo ke yeh dil gawahi de raha hai
Ke tum laut aaoge haan ek din laut aaoge
Woh jo khushboo on key sath sath chalney ki baat thi
shayed key bas yunhi behelney ki baat thi
Jisko masihaa e wafa khula chor gaye they
aik puraney zakham key silney ki baat thi
Woh jis ko najaney kis rawani main khey gaye
asal main wohi baat to badalney ki baat thi
Kia teri kam sukhni ka gila hamain rahey
baat to bas sitaroon key milney ki baat thi
Woh jis ko buhut aasaani sey supurd merey ker gaya
sard barishoon main bhi jalney ki baat thi
Khud ba khud pehchan main aa gaye kuch dost
bas aik baar gir key sambhalney ki baat thi
Woh aankhain theen jo ek raaz huwa karti theen
Ajnabi na aashna awaaz huwa karti theen
Jin pe kaii phehray koi bithaye rakhta thaa
Band gharoon mein kaii khuwaab sajaye rakhta thaa
Husn e bepayaan tu utra tha per ek ghehrai tak
Masihaae bhi thee per bas marz e masihaee tak
Is se zeyada ke khooji khali haath rahay
In main doobne wale kinaroon ke sath rahay
Jo khone gaye tu be kali se laut aye
Kai musafir band gali se laut aye
Phir aaj yun huwa ke nazar mein aya aik shaks
Jis ke dam se qayam thay teri ankhoon ke sab raaz
Phir jo roshan kiye gaye teri rooh key andheroon main charaagh
Aik aansoo sey haar gaye teri aankh key zabt
Tujh ko ayaan ker gaye tere daaman pey chand paani ke daagh...
Har gham ko yun dil say lagaaya nahee kartay
Har saaz e zindagi ko tu bajaaya nahee kartay
Mausam badal raha hai ya kisi ka khayal hai
Bewajhaa tu rang chehray pe aaya nahee kartay
Seepi main hi qaid chahay kyon na ho gohar ho
Yeh log tu kisi pe bhi reham khaaya nahee kartay
Har aasmaan ki qismat tu nahee sitaroon ki roshni
Har raat ko to chaand chamkaaya nahee kartay
Yaqeen o gumaan ke darmeyaan kahen muhabbat si reh gae
Ke yunhi tu girte huwe aansoo chupaaya nahee kartay
Suna hai, shikaar e khizaan hokar bahaar ki rut main
Jo shajar sookh jatay hain woh phir harray nahee hotay
Suna hai, wafa deemak ban kar jinhain chaat jaati hai
Woh wafaoon ke paikar kuch aise bikhartay hain
Ke kirchiyoon mein bhi phir un ka pata nahe milta
Suna hai, kabhi yeh rut aise bhi badalti hai
Ke sare meharbaan lafz yakdam kaheen kho jate hain
Aur kisi meharbaan si sa'aat ka koi sira nahee milta
Suna hai, jab wajood raiza raiza hota hai
Tu toot phoot bahut be-awaaz hoti hai
Faqat aik khamoosh sa mausam
Aik sunsaan sa raasta
Aik weeraan si sa'aat
Aur aik gumnaam sa lamha
Yun hamsafar hotay hain goya sadeyoon ki rafaqat ho
Suna hai, aandheyoon ki zad mein
Aa kar phool jo bikhar jaayain
Woh phir simta nahee kartay
Kisi pur ranj si sa'aat ka jo nishaana ban ke kho jayain
Woh phir palta nahee kartay
Ay chaaraagar !!!
Suna tu main ne yeh sab kuch hai
Magar meri duayeen hai aik silsila
Meri umeed hai mera hausla
Mujhe maujazoon pe yaqeen hai
Mujhe maujazoon pe yaqeen hai
Hamaari shamain tu udaas hi huwa karti hain aksar
Kuch khwahishain dil ki yunhi mara karti hain aksar
Andheri raaton mein tumhari yaad ke jugnoo
Chamkain tu baarishain hi huwa karti hain aksar
Jab reh jaati hai dil mein koi natamaam si khwahish
Tu hansi mein bhi talkheyaan ghula karti hain aksar
Shoroo din ki bahaar mein jo tum ne kiya thaa
Us waday ka zikar yeh hawaayein kia karti hain aksar
Us ek yaad ke sahaaray hum apni yeh umar bita dain
Ke us ek naam se hi yeh fazaayein saja karti hain aksar
Miltay hain rehguzar pe bichar jate hain maur per
Muhabbat mein yehi baatain aam huwa karti hain aksar
some of them are awsome :k:
Abhi bhoolne mein waqt lagega
Abhi bhoolne mein zamaanay lagenge
Abhi tu kitaaboon mein gulaam hain taaza
Abhi un dinoo ke azaab hain taaza
Abhi roshni ke woh saaye hain zinda
Abhi zakhmi chaahat ki goonjain hain zinda
Abhi aasmaan ka rang wohi hai
Abhi parbatoon pe dhund wohi hai
Abhi us ki surat hain aankhoon mein zinda
Abhi us ki chaahat hai khwaaboon mein zinda
Abhi mausamoon ka taghayyor wohi hai
Abhi un fizaoon mein khushboo wohi hai
Abhi dil mein ussi ki muhabbat basi hai
Abhi aankh mein us ki surat saji hai
Abhi bhoolne mein waqt lagega
Abhi bhoolne mein zamaanay lagenge
wah....ye wali bhee bohat achi hai.
kya baat hai ? sab kuch aaj he post karna hai????
Phir hawaoon ne chehri hai baharoon se dushmani
Shayad phir kisi phool ke bikhar jane ke din hain
Umar bhar ki riyazat se
Be-simt musafat se
Poochta hai mera dil
Bol kya paaya tu ne
Chand bikhre huwe aansoo
Chand tooti huwi soochain
Aik thaka huwa chehra
Aur bas
Aik hansta huwa lamha???
Mein dil ko kaise samjhaaoon
Muhabbat zindagi ho tau
Kuch shumaar nahee kartay
Muhabbat mein sood o ziyyan ka
Kuch hisaab nahee hota
Mein dil ko kaise samjhaaoon
Muhabbat zindagi ho to
Kuch shumaar nahee kertey
Muhabbat main sood o ziyaan ka
Kuch hisaab nahee hota
Jaise amaavas raatoon mein
Mahtaab nahee hota
Magar taaray chamaktay hain
Aur baarish bhi hoti hai
Mein dil ko kaise samjhaaoon
Ke bahaar ke mausamoon mein
Kuch shaakhain aksar
Shagofoon se jhuk jaati hain
Aur kuch shakhoon pe aakhir tak bhi
Aik gulaab tak nahee hota
Mein dil ko kaise samjhaaoon
Ke kabhi kabhi bas ek
Hansta huwa lamha hi
Umar bhar ki riyaazat hai
Be-simt musafat hai
Zindagi ka haasil hai...
Phir bol raha hai woh aik jhoot khubsoorat
Phir kheh raha hai dil chalo aitebaar kartay hain
Jab rotay rotay hans jaoge ya hanste hanste rologe
Ya khwaboon ko dhondoge ya bin khuwaboo ke sologe
Aata jata wakt tumhain phehroo phehroo sataayega
Yaadoon ke pardey pe ek kas sa dhundhelaaeyga
Aahat aahat jaaogoge aik nazar ki khwahish mein
Jab chand bhi tumhain dekh kar taroon mein chup jaega
Aankhain ask pirotay pirotay khamosh si ho jayengi
Ek anjaan sa khwaf tumhari nas nas mein bas jaayega
Us wakt tum aas ke daman se sare moti chun laina
Aik hamaari yaad ke badle har ghum ko tum dho laina
Chun lena un taroon ko jo hum ne tum ne chunne thay
Bun lena un khwaboon ko jo hum ne mil kar bune thay
Tanha yunhi hanste rotay tum aansoo'on ko pee laina
Bas ek hamaari yaad ke sang tum tanha tanha ji laina
Tanha akeli ratoon main jab koi khushboo urti hai
Aankhen band kertey hi jab koi jhonka choo sa jata hai
Jab bin bahar key mausam main kuch kaliyaan jhoom key khilti hain
Udas amavas ratoon main koi jugnoo tara jagmagata hai
Anndhioon key baad kabhi jab khul key barish hoti hai
Ghup andheri rahoon main koi door aik dia jalata hai
Aankhen kisi lims key tasawwur sey roshan hoti hain
Khuab koi chupkey sey aa key neendoon main so jata hai
Aesey main tumhari yaad key dareechey holey holey khultey hain
Aik khayal ki khushboo sey yun aangan mehek sa jata hai
Dil key band darwazoon pey aik umeed ki dastak hoti hai
Meri rooh ka her ik chaak buhut ahistagi sey sil jata hai
Aur ashkoon ko ab dil mein utaara na jaayega
Ab wakt yeh khattin hum se guzaara na jaayega
Chalne ka qasad kar chuke ho tu ay hamsafar sunoo
Ab saath hamare qismat ka sitaara na jaayega
Umeed ki kirnain hon ya ho aas ki khushboo
Aik sahaara hai yaadoon ka jo sahaara na jayega
Chahay un ki aankh mein na ho door tak nami
Hum jantay hain dil se khayal hamaara na jayega