Ek ajnabi shehar ka ek ajnabi hon main
Yahaan ke har rastay mere leye naye hain
Na yeh rastay main ne kabhi pehle dekhay
Na hi yahaan se kabhi mera guzar huwa hai
Na yahaan mujhe koi janta hai
Na hi yahaan mein kisi ko janta hon
Per agar is lamhay, is jagah, mera koi apna hai
Tu woh 'Tum' ho...
Kyon ke tumhari yaad hamesha mere sath rehti hai
Uth'tay beth'tay, jaag'tay sotay, chaltay phirtay
Tum hamesha mere tasavur mein rehti ho
Agar is lamhay, is jagah, mujh se koi yeh poochay
Kia main ajbai houn? tu mein kahonga 'Nahee'
Kyon ke main is ajnabi shehar mein akaila nahee
Kyon ke mein yahaan tumhain jaanta hon
Isliye main ek ajnabi nahee
Per jab log mujh se poochtay hain
Ke 'Tum' kahaan ho
Tu main unhain kaise samjhaon ke tum
Tum mere dil mein rehti ho
Aur is dil ki har dharkan mujhe tumhari yaad dilaati hai
Per agar mein koi ajnabi nahee tu phir?
Main kaun hon?
Issi sawwal ke jawaab ke leye
Aaj mein in rastoon per aa nikla hon
Ke shayad yeh rastay hi mujhe
Mere sawaal ka jawaab de sakain
Per jo rastay mere apne nahee
Jo log mujhe jantay nahee
Woh mujhe mere sawaal ka jawab kaise de sakte hain
Shayad koi mera apna hi mere is sawak ka jawab de sakta hai
Tu phir yeh sawaal mein tum se kyon nahee karta
Tum hi batao kh,
Main kaun houn?
Par nahin...
Main yeh sawal tum say nahi kar sakta,
Yeh sochtay huwe keh kaheen tum yeh na socho,
Keh is ko apna aap nahi pata, to isay mera kia pata ho ga,
Par such to yeh hai keh main apnay aap say ziada,
Tumhain jaanta houn,
Kisi nay mujhe kaha tha keh
Agar mujhe apnay aap ko jaan-na hai,
To main apnay dil main jhankoun,
Par jab main nay apnay dil main jhanka,
To mujhay har taraf tum hi nazar aa-ay,
To phir main apnay aap ko kaisay jaan sakta houn,
Jab mera dil ka har hissa tumhari he taraf ishara karta hai,
To agar main tum say nahin pooch sakta,
To main yeh kis say poochoun,
Ke main kaun houn?
Kia mera khuda meri koi madad kar sakta hai,
Agar mera dil kisi kay liay dharakta hai...
Mera zehan kisi aur kay ba ray soochta hai...
Yahan tak keh meri jaan bhi "Tum" ho...
To phir mera kia hay,
Aur agar mera kuch nahin,
Tu main kaun houn?
Par mujhe in sawaloun ka jawab nahi chahiyeh,
Kyon ke mere liye itna hi kafi hai,
Ke Tum meri ho, Sirf meri.....
very cool :k:
Thanks Nazish and Ulluji...
awesome collection :k: