Kaii titliyon kay rang hain phailay
Yeh pagal dil na abb kisi say behlay
Woh jo aik shaam udass chehra hay
Khayal raat bhar ussi say khailay
Adab Arz
(Azad)
p.s. Janum janum hum mubat kay safar main rahay, hum nay khud ko bhi agahi ke lamohon main hayrat zada hi paya hay… our yeh sooch kar hi reh jatay hain keh akhair humari chahat ki akhari hud kahan ja kar khutum hoti hay.
so aap sub ki nazar our uss ke naam jiss ka humain bhi nahi maloom ke hum ussay kitna chahtay hain
[QUOTE]
*Originally posted by ameen: *
aap ka thanx qabool kiya. laikin i m Ameen not Ameed.
[/QUOTE]
well hum lekhna chah rahay they Umeed, hay to kuch ajeeb say baat, behooda bhi ho sakti hay, phir bhi batanay main koi her nahi, hum nay khwab main suna aap umeed say ho ...... well matlub ka to humain nahi pata ... ho sakta hay aap ka janna zaroori ho is liya bata diya.