Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa Karta Tha

**Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa Karta Tha
Mujhse Milta Tha Tou Talqeen-E-Wafa Karta Tha
**
Uske Daman Main Koi Phool Nahi Meray Liye
Jo Meri Tangi-e-Damaa.n Ka Gila Karta Tha

Aaj Jo Usko Bulaya Tou Wo Gumsum Hee Raha
Dil Dhadaknay Ki Jo Awaz Suna Karta Tha

Aaj Wo Meri Har Ek Baat Ke Maayni Poochay
Jo Meri Soch Ki Tafseer Likha Karta Tha
**
** Uski Dehleez Par Sadiyon Se Khada Hoon “Mohsin”
Mujhsay Milnay Ko Jo Lamhaat Gina Karta Tha

Re: Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa Karta Tha

**Aaj Wo Meri Har Ek Baat Ke Maayni Poochay
Jo Meri Soch Ki Tafseer Likha Karta Tha

bouhat khoob… :k:**

Re: Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa Karta Tha

**Uski Dehleez Par Sadiyon Se Khada Hoon “Mohsin”
Mujhsay Milnay Ko Jo Lamhaat Gina Karta Tha

:k:

yunhi mosam ki ada dekh ke yaad aya hai
kis qadar jald badal jate hain insaan janaan :hinna:
**

Re: Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa Karta Tha

:lajawab: stole this one as well

Re: Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa Karta Tha

stole?

Re: Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa Karta Tha

Audio poetry mein. :emmy:

Re: Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa Karta Tha

jee

waddi aai Parveen Shakir :snooty:

Re: Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa Karta Tha

Aap bhi wahan bhool ker post ker dein.

Re: Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa Karta Tha

Jealous? :mocking:

Re: Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa Karta Tha

inko chammiyan chammiyan ati hain :hoonh:

Re: Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa Karta Tha

Chalein wohi post ker dein. :hehe:

Re: Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa Karta Tha

chamiyan matlab sharam :fatee:

inki koyel ny mana kiya hoga na :cb:

Re: Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa Karta Tha

koyel

acha naam hai

:cb:

Re: Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa Karta Tha

Inn kee koyel bhi hai? :hmmm:

Re: Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa Karta Tha

apni unko Koyal bolti hain na .. :hehe:

buhat ala :k: