Re: Why doesn't Pakistan have any billionaires?
**
I think point 2 makes sense**
Pakistan does not have any innovative industry
India has many high-tech billionaires
*Our industry is still rural based instead of urban based
*
Excuse me have you ever seen India and Pakistan.
Main nain daikh hai India bhi aur Pakistan bhi jitnay main nain shahri ilaqon footpath pay rahnay busnay walay India main daikhain hain Pakistan main utnay Allah ka shukr hai Masha Allah aik adh hi nazar aay hai wo bhi wo jo gaon say aay huway hotay hain khali haath ya kis parayshani ki wajah say.
Kia aap ko maloom hai kay wahan pootpath pay sonay walon ko itni bhi jagah naheen milti kay pooray seedhay ho kar so sakain. adhay adhay aik doosray par so rahay hotain hain.
Ankhon daikha hai India aur Pakistan dono.
Waisay aapki batain mazhaka khaiz lugti hain mujhay.
Jitnay billionair hain India main us say kaheen ziaada blllion kia trillions main pootpathi hain.
Mera mashwara hai yoon un billionairs pay khush honay kay bajaay na sirf un billionar ko balkay aap ko bhi sharm say doob marna chahyay kay bar'aian hanktay phir rahay hain aur khush ho rahain hain.
Hamari taraf say to laanat hai hai billionair mulk pay jahan itnay bhookay nungay pootpathi hain.
sharam say doob marnay ka muqaam hai.
Mujhay to bar'a dukh huwa tha daikh kar.
Haath saay sawari kichnay walay un kamzor natawaan lar'kon aur boo'rhay mardon pay bhi jo kai kai aur hattay kaattay pakistanion ko sair karatay hain thor'ay say paison kay liaay.
Kitnay haath saay kheenchnain walay rikshay daikhay aap nain Pakistan main?