Why Bollywood Songs are not good for Muslims ?!

Kaisi shairi :konfused:

wo jaisi marzi shairi karain, Aap kia Poetry ki DSP lagi hoi hain ju aitraz kar rahi hain ?

Doosroon pe aitraz karney se pehley hamain apney garebaan main jhank-na chaheye !

Abrar-ul-haq ek pakistan our musalman singer hai our wo kayee aisey qabil-e-aitraz ganey ga chuka hia ju islami tashakhus our rivayaat ke manafi hain.

Hazrat Umar (ra) ne aisey tamam shairi ko ban kar dia tha jismain kisi dosheeza ya khatoon ko naam le kar mukhatib kia gaya ho

Abrar sahab apney har doosrey ganey main aisa hi kaam karta hai our jiski waja se mulk main fasad our larayee hoti hai

Aapka naam problem_girl ki jaga parveen hota tu apko is baat ka ehsaas hota :grumpy: