Why Bollywood Songs are not good for Muslims ?!

mere nazar say tafseelan Allama iqbaal ki yeh nazam nahi guzree na main is per ulma-e-karaam kay aytrazaat say waaaqif hoon

STP ka reply perhnay kay baad app ka aytraaz ki koi wajah baaqe nahi rehtee !

Alllama iqbaal ki ummat-e-muslima k baray main apne shaairana salahiytoon say madad sir ankhoon per lakin behrhaal woh ALIM nahi thay

un say ghalatee hona mumkin thee ..or app ik aisa baat ko hujjat bana rahay hain jis k baaray main app nahi jaantay //k Allama iqbal nay apnee shairee per uthnay walay aytraazat kay baad bohat mumkin hay rujoo ker lia ho

app ik deene or sharayee maslay ko jo ja'yad ulma say saabit hay us k saamany daleel Allama iqbal ki nazam ko banaain gay ?

mujhay yaqeen hay jub app baymaar hotay hoon gay to ilaaj k ley docter k pass hee jatay hoon gay na k kissi aisay banday k paas jis ka medical say talu'q na ho

mainy apne tasal'ee k ley is masla ko ik Alim say discuss ker liya or un ki raaye waohe the jo mainy app tak pohnchayee

behter hay k app bhi apnee tasal'ee k lay isay kisi Alim say discuss ker lain takay app sahee rahnumayee pa sakain !

Allah app k or humaaree sahee rah ki terah rah'numaye fermayee ameen !