WAZOO MAI'N PAIRO'N KA DHONA YA MASAH KARNA??? KIA DURUST HAY?

Re: WAZOO MAI'N PAIRO'N KA DHONA YA MASAH KARNA??? KIA DURUST HAY?

Agar masah karnay kay baja-a kisee nay pair dho lee-a tow iss say kia faraq parta hay ? Agar kisee nay gardan ka masah kar lee-aa , kaan ka masah kar lee-aa tow kia farq parh jata hay. Allah kay hukum say barh kar amal karnay ka ziada sila nahi milay ga kia ?
Agar nahi tow phir , nafil aur sunnat parhnay ka sila kaisay milay ga ?
Aik aur sawal yeh hay kah agar kisee ko pata hay kah uskee gardan par kisee qasam kee gandagee lagee thee , yah us kay kaan main bohat ziada mail hay tow agar us nay wozoo kay doran gardan ya kaan saaf kar lee-a tow uska wuzu batil ho ga-ya ?
Kaisee ajeeb ajeeb bahsain kartay hain hamaray ulema bhee . Agar koi admi sewer processing plant main kaam karta hay aur usko iss baat say sakoon miltay hay kah woh wuzu kartay waqat kuch ziada he safa-e kar lay tow uska wuzu batil ho ga ?
Wuzu kay lee-a allah nay aik mukhtasar framework bataya hay agar aap iss say ziada kar lain tow aapko ziada ajar milna chah-e-a. Zakaat dhai feesad (2.5 percent) hay aga iss kay ilaway aap sadaqat ya khairaat kartay hain tow aapko ziada ajar milay ga ya nahi ?