Re: WAZOO MAI'N PAIRO'N KA DHONA YA MASAH KARNA??? KIA DURUST HAY?
Mazhab-e-Ahl-e-Bait a.s., paow’n ka masah karna hay.
Hazrat Ameer-ul-Momeneen Ali Ibn-e-Abi Talib a.s., bhi wazoo mai’n paow’n ka masah hi kartay thay, mulahizah kijiay masnad-e-imam-e-ahl-e-sunnat wal jamaat Ahmad bin Hambal, mat’booa Misr, Jild 1, Safah 116.
Imam Muhammad Baqar a.s., bhi masah hi kartay thay, mulahizah kijiay “tafseer tarjuman-ul-quran” Ahl-e-Hadees Allama Siddique Hassan Bhopali, mat’booa Lahore, jild 3, safah 842.
As’haab-e-Rasool s.a.w.a.w., or Taba’een ka amal.
Mandarjah balaa satoor mai’n Fakhar-uddin Razi or Allama Bhopali kay iqrar say sabit hay keh Hazrat Ibn-e-Abbas r.a., Akrama, Sho’bi, Qatadah or Hassan Basri waghair’ham ka amal wazoo mai’n pairo’n ka masah karna tha, iss silsilay mai’n mazeed saboot hasb-e-zail kutub mai’n mulahizah karai’n.
1. Umdatul tafseer, Hafiz Ibn-e-Kaseer, Mat’booa dar-ul-ma’aarif, Misr, jild 4, safah 97.
2. Tafseer tarjuman ul quran, nawab bhopali, jild 3, safah 842 mai’n Ibn-e-Umroo Al’qama, Imam Muhammad Baqar a.s., -o- Hassan Basri-o-Jabir or Ibn-e-Zaid waghair’ham say paow’n ka masah hi maravvi hay.
3. Tafseer-e-ma’aalam-ul-tanzeel, bar hashiah tafseer khazin, mat’booa Misr, Juzv al sani, safah 16.