WAZOO MAI'N PAIRO'N KA DHONA YA MASAH KARNA??? KIA DURUST HAY?

Re: WAZOO MAI'N PAIRO'N KA DHONA YA MASAH KARNA??? KIA DURUST HAY?

Agar masah karnay kay baja-a kisee nay pair dho lee-a tow iss say kia faraq parta hay ? Agar kisee nay gardan ka masah kar lee-aa , kaan ka masah kar lee-aa tow kia farq parh jata hay. Allah kay hukum say barh kar amal karnay ka ziada sila nahi milay ga kia ?
Agar nahi tow phir , nafil aur sunnat parhnay ka sila kaisay milay ga ?
Aik aur sawal yeh hay kah agar kisee ko pata hay kah uskee gardan par kisee qasam kee gandagee lagee thee , yah us kay kaan main bohat ziada mail hay tow agar us nay wozoo kay doran gardan ya kaan saaf kar lee-a tow uska wuzu batil ho ga-ya ?
Kaisee ajeeb ajeeb bahsain kartay hain hamaray ulema bhee . Agar koi admi sewer processing plant main kaam karta hay aur usko iss baat say sakoon miltay hay kah woh wuzu kartay waqat kuch ziada he safa-e kar lay tow uska wuzu batil ho ga ?
Wuzu kay lee-a allah nay aik mukhtasar framework bataya hay agar aap iss say ziada kar lain tow aapko ziada ajar milna chah-e-a. Zakaat dhai feesad (2.5 percent) hay aga iss kay ilaway aap sadaqat ya khairaat kartay hain tow aapko ziada ajar milay ga ya nahi ?

Re: WAZOO MAI'N PAIRO'N KA DHONA YA MASAH KARNA??? KIA DURUST HAY?

mirch uncle the answer to all of ur questions is no!!

bcuz its clearly said that dont try to surpass my prophet if u will do that u will be zalim to ur own self

and doing sumthing extra that is not mentioned in quran and sunnah is wrong u wil not get any ajar for that instead u will be a sinner

and sunnah and nafal prayers is not extra it is not sumthing that u invented after prophet

he used to do that he asked other ppl to do that so they r not extra things they r part of our prayers but they r not fard it is just for ur ease

allah knows that this human that he has created will not even pray 5 fard prayers thats y all the other prayers r optional

i repeat it is optional not extra

if u invent sumthing in ur religion it cud be anything,it is sin even if its a good thing!!!

and if sum1 is extra dirty he can wash the parts he considers dirty but before or after the wudu but will not consider them as part of wudu

PS : anything u do by urself and say it is part of religion is bidah and it is a sin evenif its a good thing!!

Re: WAZOO MAI'N PAIRO'N KA DHONA YA MASAH KARNA??? KIA DURUST HAY?

can someone summarize this thread in ENGLISH and not in roman urdu. Its kinda hard to read all that like this.

Re: WAZOO MAI'N PAIRO'N KA DHONA YA MASAH KARNA??? KIA DURUST HAY?

Jazak Allah kali billi, aap nay mirch uncle ko bilkul durust jawab dia hay. Allah paak aap ki tofeeqat o ilm mai'n izafa farma'en, Elahi ameeen.

Re: WAZOO MAI'N PAIRO'N KA DHONA YA MASAH KARNA??? KIA DURUST HAY?

wazoo ka tareeqa.


jab ham ayat-e-wazoo ki tilawat kartay hai'n to maloom ho jata hay keh haqeeqi wazoo char (4) cheezo'n ka naam hay.

1. munh dhona.
2. dono'n hatho'n ko koh'nio'n tak dhona.
3. sar ka masah.
4. dono'n paow'n ka takhno'n tak masah karna.


1. munh dhona.


mushahidah gawah hay keh insan amooman saray kaam seedhay haath say karta hay or ulta hath mehez aik moawan-o-madad'gar ki si haisiat rakhta hay. kioo'n keh wazoo sirat-e-mustaqeem (seedhay rastay) kay safar ki tayyari kay liay kia jata hay lehaza behtar hay keh hath bhi seedha hi istamal kia jaey. or yehee sunnat-e-Rasool s.a.w.a.w., nasb-e-ahl-e-sunnah say bhi sabit hay. chunaa'n cheh Mulla Ali Muttaqi Hassam-uddin likhtay hai'n keh munh ko dae'n hath say dhoe'n kioo'n keh Hazrat Risalat Ma'aab s.a.w.a.w., apnay mubarak munh ko dae'n hath say dhotay thay. (kanz-ul-ammal, jild 5. safah 110).


Insan ka chehra azoo-e-shareef hay is liay daya'n hath hi munasib hay. baya'n hath istanja waghaira kay liay muqarrar hay yani "khees azaa" ya khees kamo'n kay wastay hay, laikin dae'n hath ko dhotay hooay choo'n keh daya'n hath farigh nahee'n hota is liay majbooran bae'n hath say daya'n hath dhoya jata hay.


2. dono'n hatho'n ko unglio'n kay saro'n tak dhona.

hatho'n ko is tarah dhoya jaeh keh unglio'n kay siray zameen ki janib ho'n or koh'nio'n ki taraf pani dal kar unglio'n ki taraf bahaya ja'ay is tarah koh'nio'n samai't hath dhoay jae'n. pehlay daya'n phir baya'n. ham is baat ka lehaaz rakhtay hai'n keh deegar musalmano'n ki tarah pani unglio'n ki janib say koh'nio'n ki taraf na bahaya ja'ay kioo'n keh yeh tareeqa ulta hay. aap nay mushahidah farmaya ho ga keh jab kisi kapray waghaira par koi najasat ya dagh lag jata hay to us ko pakar kar dhotay waqt pani ko neechay ki taraf bahaya jata hay na keh oopar ki janib. is hi tarah quran majeed ki ayat-e-wazoo mai'n jo alfaz "ilal marafeqe" warid hooay hai'n un say yeh murad nahee'n hay keh koh'nio'n ki taraf dhoya ja'ay balkeh mehez yeh batana maqsood hay keh kitna hissah dhoya ja'ay kioo'n keh hath baghal tak hota hay. Allama Ibn-e-Hajar Asqalani nay fatah-ul-bari, sharah sahih bokhari, jild 1, safah 146 par yehee iqrar kia hay.


3. sar ka masah karna.


hamaray mazhab mai'n hatho'n ko dhonay kay bad jo tari hatho'n mai'n reh gai usi say dae'n hath ki tari say sar ka masah kartay hai'n.


isi tarah muntahi-ul-arab, jild 4, safah 546 or matan mateen mai'n tasleem kia gaya hay keh ayat-e-wazoo mai'n "beroo'ose kum" mai'n "baa" (bay) tab'eez ki hay. or Neel-ul-otar Shokani, jild 1, safah 150 mai'n hay keh sar kay baz hissay ka masah kafi hay, behtar hay keh sar kay oopar kay hissay ka masah kia ja'ay.


4. paow'n ka masah.

hamaray haa'n usi baqyah tari say dono'n paow'n ka masah takhno'n tak kia jata hay jis par mufassal behes guzishtah satoor mai'n paish-e-khidmat kar di gai hay.

*aik hadees-e-faro-e-kafi, jild 1, kitab-ul-taharat, baab 22 mai'n hay jisay naqal kar kay molvi karam-uddin dabeer sahab nay apni kitab "aftab-e-hidayat" safah 346 mai'n dawa kia hay keh "is hadees ka koi jawab shia nahee'n day saktay or yeh hadees khilaf-e-shia hamaray paas aik zabardast harbah hay jis say un kay tamam is'tad'lal par pani phir jata hay" *


or woh harbah yeh hadees hay keh "agar sar ka masah bhool ja'ay or pehlay paow'n ko dho dalay to sar ka masah phir kar lay or bad azaa'n paow'n dho dalay".


is ka sub say pehla jawab yeh hay keh jo rawayat quran kay khilaf ho woh qabil-e-qabool nahee'n hay or pairo'n ka masah quran say sabit hay, lehaza ayat ko ayat hi man'sookh ya tabdeel kar sakti hay na keh hadees.
doam yeh keh hadees mazkoorah mo'siq hay or is kay ravi "ghair shia" hai'n or baz nay isay "maj'hool" tasleem kia hay keh is ki tasdeeq quran o hadees say nahee'n hoti.


pass agar quran ki ayaat kay muqablay mai'n rawayat-e-ghair motabirah paish karna hi zabardast harbah hay to fil'waaqe ham shio'n kay paas is harbay ka koi elaaj nahee'n hay.
**
Wazoo kay in 4 farz arkan kay ilawa 3 sunnat arkan bhi hai'n jo keh farz arkan say pehlay ada kiay jatay hai'n. yeh 3 arkan kuch is tarah say hai'n.

1. hatho'n ko kalaio'n tak dhona.
2. munh mai'n pani daal kar kulli karna.
3. naak ki naram haddi tak pani ko char'hana.

**

Re: WAZOO MAI'N PAIRO'N KA DHONA YA MASAH KARNA??? KIA DURUST HAY?

^ all muslims scholars agree that u have to wash your feet as per instructions of the Quran....
wonder why shiaas have the problem of washing feet....

jab wudhoo hee theek na raha to baaqi aamaal ka kia ho ga....

Re: WAZOO MAI'N PAIRO'N KA DHONA YA MASAH KARNA??? KIA DURUST HAY?

tamam muslim scholars agar wazoo mai'n pair dhonay par muttafiq hotay to aap ko jawab dainay kay liay fidvi kay paas aap kay baro'n mai'n say kisi ka bhi koi hawalah naa hota magar yehee thread gawah hay keh fidvi nay tamam tar hawalah jaat hi aap ki hi kitabo'n mai'n say aap kay hi ulama say naqal kar kay likhay hai'n jin ka aap kay paas koi jawab nahee'n, agar hay to jawab paish karai'n.

jin ulama ka aap tazkirah kar rahay hai'n un mai'n say kisi say bhi jaa kar zara yeh to poochai'n keh sajday mai'n aankho'n ko khula rakhna hay ya band???

Fidvi ka eeman hay keh un kay paas aap kay iss sawal ka bhi koi ilmi ya maqool jawab to yaqeenan nahee'n ho ga magar haa'n sub hi muttafiq ho kar (jis tarah woh sub muttafiq ho kar "baqol aap kay" wazoo mai'n ummat kay pair dhulwa rahay hai'n) aap ko yeh mashwarah day saktay hai'n keh "jaow or jaa kar shia ka sajda daikh lo, agar uss nay aankhai'n khol rakhi hai'n to tum sajday mai'n apni aankho'n ko band rakhna or agar shia ki aankhai'n sajday mai'n band ho'n to apni khol kar sajdah karna".

Allah o Akbar......

hairat hay aisay mazhab par jis ki bunyad sirf ikhtalaf bara'ay ikhtalaf ho.

kisi baat ki tehqeeq to karo, apna faisla to aap thread kay shuru hotay hi suna chukay thay or yeh bhi ham bakhoobi jaan'tay hai'n keh kisi ko bhi "lack of knowledge" ki dastar pehnanay walo'n kay apnay knowledge ka kia aalam hay?

sirf aik baat hi aap nay haq likhi or woh yeh keh

jab wudhoo hee theek na raha to baaqi aamaal ka kia ho ga.....

Khud bhi iss baat par zara ghor karo or socho.

Re: WAZOO MAI'N PAIRO'N KA DHONA YA MASAH KARNA??? KIA DURUST HAY?

Salam Alikum Brother:

I am wondering that every time to show back when ever True Arrives..

Mr Zaidi has shut ur moth and now turning back to him, instead of proving from Quran Majeed.

My ally guide you, by opening ur eyes and unlocking ur heart and brain.

Re: WAZOO MAI'N PAIRO'N KA DHONA YA MASAH KARNA??? KIA DURUST HAY?

*wazoo mai'n pairo'n ko dhonay kay qaael bay shakk rukan-e-wazoo kay tehet pairo'n ko masah karnay ki bajaay dhotay rahai'n magar aglay wazoo say pehlay aik martabah fidvi ki paish kardah guzarishat ki tehqeeq zaroor kar lai'n..... *


kahee'n aisa na ho keh "ghalat wazoo" ki wajah say sub kuch hi ghalat ho jaay.

**agar koi hawala mila ho to paish karai'n, fidvi abhi tak muntazir hay.....

Jazak Allah!
**