Re: Waseela Se Mangna
I dont know how far is that true, but mujhay anjanay me bhi shirk se darr lagta hay. Allah hum sab ko iss se bachaaye. Ofcourse koi Muslim nahin chahay ga ke wo shirk karay.
As far as about dua, main hamesha Mohammad Mustafa S.A.W ke sadqay main mangti hun. Allah hum sab ki sheh-rag se bhi zada qareeb hay, aur uss se maangnay k liye mujhay kisi ki zaroorat nahin hay… wo naik banday bhi Allah se maangtay thay… beshak un naik bando ki qadar kerti hun, izzat kerti hun aur ye khuahish rakhti hun ke Allah ne jesi apni mohabbat UNKE dilo main jagaayi, mere bhi dil main jagaaye, magar main samajhti hun ke Allah se maangnay k liye mujhay kisi ke saharay ki zaroorat nahin hay. Wo Maira Allah hay. Aur wo sattar maaon se zada chahta hay apnay banday ko. Agar mujhay apni Maa se kuch chahye hota hay to main seedha unhee ke paas jati hun, mujhay kisi ki zaroorat nahin hoti ISI tarhan mujhay Allah se kuch mangna hota hay to me Allah ke pas jati hun, wo mairay bohat qareeb hay aur mujhay bharosa hay mukammal ke Allah se main jab jab baat kerti hun, wo meri baat ZAROOR sun raha hota hay!!