warna mujhe deewana banana hi nahi tha

**
ay wada shikan khwaab dikhana hi nahi tha
kyun pyaar kiya tha jo nibhana hi nahi tha

is tarha mere haath se daaman na chhudao
dil tord ke jaana tha to,aana hi nahi tha

Allah! na milne ke bahane thay hazaron
milne ke liye koi bahana hi nahi tha

dekho mere sar phord ke marne ki adaa bhi
warna mujhe deewana banana hi nahi tha

rone ke liye sirf muhabbat hi nahi thi
gham aur bhi thay dil ka fasana hi nahi tha

na hum sahi kehte na bani dil ki kahani
ya gosh bar’aawaz zamana hi nahi tha

*Qaisar *koi aaya tha meri bakhya’gari ko
dekha toh garebaa ka thikana hi nahi tha

**

3 Likes

Re: warna mujhe deewana banana hi nahi tha

bohut khoob

Re: warna mujhe deewana banana hi nahi tha

buhat khoobsurat :k:

Re: warna mujhe deewana banana hi nahi tha

**thank u muchly muchly REDji

thanks hiba.
**

Re: warna mujhe deewana banana hi nahi tha

:k:
Awesome Dear JW…Bohat he umdaa kalaam…!!!
har shair he bay-misaal hai…
Amazing !!!

Re: warna mujhe deewana banana hi nahi tha

waah g jaburjang sharing

Re: warna mujhe deewana banana hi nahi tha

nice :k:

Re: warna mujhe deewana banana hi nahi tha

rone ke liye sirf muhabbat hi nahi thi
gham aur bhi thay dil ka fasana hi nahi tha

very nice :k:

Re: warna mujhe deewana banana hi nahi tha

ay wada shikan khwaab dikhana hi nahi tha
kyun pyaar kiya tha jo nibhana hi nahi tha

nice sharing :) J wali

Re: warna mujhe deewana banana hi nahi tha

Bohat khoob..

Re: warna mujhe deewana banana hi nahi tha

Bohat khoob Jhanjharewali..

Re: warna mujhe deewana banana hi nahi tha

wonderful :)

Re: warna mujhe deewana banana hi nahi tha

bohut khub :k:

Re: warna mujhe deewana banana hi nahi tha

Awesome............very nice:)

Re: warna mujhe deewana banana hi nahi tha

Good ghazal Jw :k:

Re: warna mujhe deewana banana hi nahi tha

Thank you mere pyare doston. Dil khush ho jata hei jab aap sab itna pyar deten hein aur mere thread ko sarahtein hein.

Re: warna mujhe deewana banana hi nahi tha

dil to kay jana tha to ana hi nahi tha … :frowning:
very niceeee :k:

Re: warna mujhe deewana banana hi nahi tha

me ko semg neehe aie me ne perhe he nehe :AID:

Re: warna mujhe deewana banana hi nahi tha

pyari bachhi- tum video section mei jao aur wahan maze maze ki vidoes dekh kar apna mann behlao- ye section bilkul tumhe suit naee karta :D

Re: warna mujhe deewana banana hi nahi tha

Wow yaar beautiful, zabardast...