SJ
1
Uss Say Poochon…
Kabhi shikastoon k dukh uthay tu uss say poochon
Woh maree manind toot jaiy tu uss say poochon
Ussay mohabat mein konsa dukh diya hai mein nay
kabhi nazar say nazar mila’ay tu uss say poochon
Safar mein woh bhi kisi kaaray imtehan guzray
Ussay bhi koi aazma’ay tu uss say poochon
Maree tarhaan din charhay talak woh bhi soo’ay
Usay bhi shab bhar na neind ay tu uss say poochon
Re: UUss Say Poochon.....................
Meri taraf se b poochna :)
By the way, NICE POEM. So what agar ye poem kuch din pehlay b POST ho chuki hai :D
V can wait 4 something new.
SJ
3
Re: UUss Say Poochon.....................
Meri taraf se b poochna :)
By the way, NICE POEM. So what agar ye poem kuch din pehlay b POST ho chuki hai :D
V can wait 4 something new.
just wait n watch!!!!!
:)
Re: UUss Say Poochon.....................
Woh jub samnay aatay hain tow kuch bhi yaad nahi rehta
waisay achi feelings hain
Re: UUss Say Poochon.....................
shumaar-e-gardish-e-lael-o-nihaar kartay hoay
guzar chali hai tera intezaar kartay hoay :(
SJ
6
Re: UUss Say Poochon.....................
Teray firaq k lamhay shumar kartay hoay
Bikhar gay hain tera intezar kartay hoay
Wo kah rahe the samndar nahin hain ankhain hain
Mein inn mein doob gaya aitbar kartay hoay
Re: UUss Say Poochon.....................
ajeeb log hein ye ehl-e-intezaar k jo
khud apni aag mein jal kar sanwartay jaatay hein
SJ
8
Re: UUss Say Poochon.....................
tehar tehar k zameen saya'dar kartay hoay
shajar khray hain tera intazar kartay hoay
ab us ke zad say bhala kya bachaa'on khud ko saud
woh khud bhee toot gaya mujh pay war kartay hoay
Re: UUss Say Poochon.....................
zakhmon se badan gulzaar sahi, par un k shikasta teer gino
khud tarkash walay keh dein gay, ye baazi kis ne haari hai
Re: UUss Say Poochon…
Maree tarhaan din charhay talak woh bhi soo’ay
Usay bhi shab bhar na neind ay tu uss say poochon
kya kehnay bohat khoob :k:
Suno …
Tum Buray Ho To Jahan Mein Nahi Acha Koi !!!
SJ
11
Re: UUss Say Poochon.....................
Zakhm muskaraty hain ab bhi taree ahaat par
dard bhool jatay hain ab bhi taree ahaat par
Umer kaat dee lakin bachpana nahin jata
hum diay jalatay hain ab bhi taree ahaat par
Re: UUss Say Poochon.....................
zakhm khaata hon muskuraata hon
muj mein himmat hai zakhm khaanay ki
tu tabassum ki mere baat na kar
mujko aadat hai muskuraanay ki
pk786
13
Re: UUss Say Poochon.....................
nice shair ppl :)