ussay meri chup nay rula dia jissay guftagoo may kamal tha

kahan jao gay mujhay chor kar may yeh pooch pooch kar thak gia
wo jawab mujh ko na day saka wo tu khud sirapa e sawal tha

mera dard kaisay wo janta meri baat kaisay wo manta
wo tu khud fanna k safar may tha ussay rokna bhi mahal tha

ussay apnay farda ki fikar thi wo jo mera waqif e haal tha
wo jo us ki subh e urooj thi wohi mera waqat e zawal tha

dam e wapsi ussay kia huwa na wo roshni na wo taazgi
wo sitara kaisay bikhar gia wo tu aap apni misaal tha

maray saath lag k wo ro deya mujhay faqt itna wo keh saka
jissay janta tha may zindagi wo tu sirf wehm o khyal tha

wo mila tu sadion k baad bhi maray lab pay koi gila na tha
ussay meri chup nay rula dia jissay guftagoo may kamal tha

Re: ussay meri chup nay rula dia jissay guftagoo may kamal tha

Welcome sweet sana to the Poetry section of Gupshup. You have started with a beautiful ghazal but only problem is that it's in a wrong place. It's being moved...:)

Re: ussay meri chup nay rula dia jissay guftagoo may kamal tha

Thx Amal for ur welcome note n liking of the ghazal .......... but where to move this as i really don't know its correct placement???

Re: ussay meri chup nay rula dia jissay guftagoo may kamal tha

It was in Sho'ra-e-Gupshup, but has been moved to Intikhaab. About placement, if you write something of your own, put it in Sho'ra-e-Gupshup, if you post work of some other poet, post it in Intikhaab. That's it :)

Re: ussay meri chup nay rula dia jissay guftagoo may kamal tha

wo mila tu sadion k baad bhi maray lab pay koi gila na tha
ussay meri chup nay rula dia jissay guftagoo may kamal tha

thats one is really Zlim shair ....

kiss ki ghazl haiii i..... sweet san

par really really nice ...aik tazgiiiii hai iss mein ...

Re: ussay meri chup nay rula dia jissay guftagoo may kamal tha

great it,s always touchi
usey merey chup nay ruladiya jasy guftugo mey kamal tha
both achi hey
sweet sana great zoq

Re: ussay meri chup nay rula dia jissay guftagoo may kamal tha

thx Twin_Born n Ghazel Rizvi for liking it ........ i really love this ghazal

Re: ussay meri chup nay rula dia jissay guftagoo may kamal tha

Buhat achchay …:flower1:

Re: ussay meri chup nay rula dia jissay guftagoo may kamal tha

bohat khoob

Re: ussay meri chup nay rula dia jissay guftagoo may kamal tha

one of my fav sweet thanks fro sharing :)

Re: ussay meri chup nay rula dia jissay guftagoo may kamal tha

beautiful ghazal... welcome Sana on GS

Re: ussay meri chup nay rula dia jissay guftagoo may kamal tha

thanks to all of u for liking of the ghazal and ur welcome notes

Re: ussay meri chup nay rula dia jissay guftagoo may kamal tha

:k:

Zabardast and very touching. Sometimes someone’s khamoshi speaks more than anything else :k:

Re: ussay meri chup nay rula dia jissay guftagoo may kamal tha

:)yeah true........ thx for liking

Re: ussay meri chup nay rula dia jissay guftagoo may kamal tha

bohat khoob :k:

Re: ussay meri chup nay rula dia jissay guftagoo may kamal tha

Ham he main thi na koee baat yaad na tumko aa sakey
tumne hamein bhula diya ham na tumhe bhulaa sakey

tum he na sunn sake agar, qissa-e-gham sune ga kon
kisi ki zabaan khule gi phir ham na agar sunaa sakey

shauq-e-visaal hain yahaan lab pe sawal hain yahaan
kis ki majaal hain yahaan ham se nazar milaa sakey

aesaa bhi koee naamabar baat pe kaan dhar sakey
sunn kar yaqeen kar sakey jaa ke unhein sunaa sakey

raunaq-e-bazm bann gae lab pe hiqaayatein raheen
dil main shikayatein raheen lab na magar hilaa sakey

By: Hafeez Jallundahry

Re: ussay meri chup nay rula dia jissay guftagoo may kamal tha

beautiful… :k:

Re: ussay meri chup nay rula dia jissay guftagoo may kamal tha

thx to all

nice :)